Shayari
maan TuuTe to phir nahin juDtaa
bad-gumaani kabhi na aa ke gai
ishq vo chaar su safar hai jahaan
koi bhi raasta nahin ruktaa
عشق وہ چار سو سفر ہے جہاں
کوئی بھی راستہ نہیں رکتا
इश्क़ वो चार सू सफ़र है जहाँ
कोई भी रास्ता नहीं रुकता

maan TuuTe to phir nahin juDtaa
bad-gumaani kabhi na aa ke gai
ishq tu bhi zaraa Tikaa le kamar
dil bhi ab so gayaa hai raat gae
main vo mahrum-e-inaayat huun ki jis ne tujh se
milnaa chaahaa to bichhaDne ki vabaa phuuT paDi
jitni aankhein thiin saari meri thiin
jitne manzar the sab tumhaare the
main khud ko saamne tere biThaa kar
khud apne se gila kartaa rahaa huun
yaa husn hai naa-vaaqif-e-pindaar-e-mohabbat
yaa ishq hi aasaani-e-atvaar mein gum hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sun vasf-e-dahan dijiye kuchh munh se piyaare
mujh shaaer-e-muflis ki hai guzraan sile par
marnaa to bahut sahal si ik baat lage hai
jiinaa hi mohabbat mein karaamaat lage hai
ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamaane lage hain
ham ishq mein hain fard to tum husn mein yaktaa
ham saa bhi nahin ek jo tum saa nahin koi