Shayari
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
dhime suron mein koi madhur giit chheDiye
Thahri hui havaaon mein jaadu bikheriye
دھیمے سروں میں کوئی مدھر گیت چھیڑئیے
ٹھہری ہوئی ہواؤں میں جادو بکھیریے
dhīme suroñ meñ koī madhur giit chheḌiye
Thahrī huī havāoñ meñ jaadū bikheriye

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
main sach kahungi magar phir bhi haar jaaungi
vo jhuuT bolegaa aur laa-javaab kar degaa
vo kahin bhi gayaa lauTaa to mire paas aayaa
bas yahi baat hai achchhi mire harjaai ki
laDkiyon ke dukh ajab hote hain sukh us se ajiib
hans rahi hain aur kaajal bhigtaa hai saath saath
tujhe manaaun ki apni anaa ki baat sunun
ulajh rahaa hai mire faislon kaa resham phir
ab to is raah se vo shakhs guzartaa bhi nahin
ab kis ummid pe darvaaze se jhaanke koi
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
saaqi kaa aur sharaab kaa ho zikr baar baar
zaahid ko bhuul kar na kabhi paarsaa likhein
ye zakhm-e-ishq hai koshish karo haraa hi rahe
kasak to jaa na sakegi agar ye bhar bhi gayaa
'zafar' hai behtari is mein ki main khamosh rahun
khule zabaan to izzat kisi ki kyaa rah jaae
barbaad gulistaan karne ko bas ek hi ullu kaafi thaa
har shaakh pe ullu baiThaa hai anjaam-e-gulistaan kyaa hogaa