Shayari
main zaraa saa kyaa khulaa vo khud simaTne lag gayaa
jo kahaa kartaa thaa mujh se khul ke kyon milte nahin
jab zindagi ne maut ko aavaaz di tabhi
maano kisi ne jiine kaa elaan kar diyaa
جب زندگی نے موت کو آواز دی تبھی
مانو کسی نے جینے کا اعلان کر دیا
जब ज़िंदगी ने मौत को आवाज़ दी तभी
मानो किसी ने जीने का एलान कर दिया

main zaraa saa kyaa khulaa vo khud simaTne lag gayaa
jo kahaa kartaa thaa mujh se khul ke kyon milte nahin
ik tire kahne se meraa kam nahin kirdaar hogaa
ye alag hai baat main teri kahaani mein nahin huun
jis ne kiyaa hai qatl vahi chikh chikh kar
sab se ye kah rahaa hai ki qaatil pata karo
shahr ke pakke makaanon mein daraarein aa gaiin
gaanv ke kachche gharon ki niinv pakki thi bahut
vo ishaara kar ke pichhe haT gayaa thaa ek din
us ishaare ko samajhne mein lagaa huun aaj tak
aag se rishta hai meraa aur dariyaa bhi hai apnaa
aae din donon ke jhagDe mein ulajh kar rah gayaa huun
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
apne haathon se zahr mat diije
ye kahin zindagi na ban jaae
apnaa baadal talaashne ke liye
umar bhar dhuup mein nahaae ham
umr bhar sang-zani karte rahe ahl-e-vatan
ye alag baat ki dafnaaeinge eazaaz ke saath