Shayari
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
namaaziyon ne tujh abru ko dekh masjid mein
ba-samt-e-qibla sujud-o-qayaam bhuul gae
نمازیوں نے تجھ ابرو کو دیکھ مسجد میں
بہ سمت قبلہ سجود و قیام بھول گئے
नमाज़ियों ने तुझ अबरू को देख मस्जिद में
ब-सम्त-ए-क़िबला सुजूद-ओ-क़याम भूल गए

ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
sard jhonkon se bhaDakte hain badan mein shoale
jaan le legi ye barsaat qarib aa jaao
nikal gae hain jo baadal barasne vaale the
ye shahr aab ko tarsegaa chashm-e-tar ke baghair
tire payaam hi se surkh ho gayaa hai badan
ki meinh paDaa nahin hai khil uThe kanval pahle
vo ghusse mein sidhi baat nahin kartaa
tufaanon mein baarish tirchhi hoti hai
kabhi to baaDh aa ke apne saath sab bahaa gai
kabhi kisaan baarishon ki raah dekhtaa rahaa