Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
tu nigaahon se pilaane kaa jo vaada kar le
pheink dungaa ye suraahi ye bharaa jaam abhi
تو نگاہوں سے پلانے کا جو وعدہ کر لے
پھینک دوں گا یہ صراحی یہ بھرا جام ابھی
तू निगाहों से पिलाने का जो वादा कर ले
फेंक दूँगा ये सुराही ये भरा जाम अभी
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
ruuh se lipTe dard ke manzar
TuuT rahe hain zakhm ke paikar
kahin salib kahin karbalaa nazar aae
jidhar nigaah uThe zakhm saa nazar aae
ai ahl-e-vafaa daad-e-jafaa kyuun nahin dete
soe hue zakhmon ko jagaa kyuun nahin dete
nai bahaar kaa muzhda bajaa sahi lekin
abhi to agli bahaaron kaa zakhm taaza hai