Shayari
main kahkashaaon mein khushiyaan talaashne niklaa
mire sitaare meraa chaand sab udaas rahe
tiri hayaat se juD jaaun vaaqia ban kar
tiri kitaab mein meraa bhi iqtibaas rahe
تری حیات سے جڑ جاؤں واقعہ بن کر
تری کتاب میں میرا بھی اقتباس رہے
तिरी हयात से जुड़ जाऊँ वाक़िआ' बन कर
तिरी किताब में मेरा भी इक़्तिबास रहे

main kahkashaaon mein khushiyaan talaashne niklaa
mire sitaare meraa chaand sab udaas rahe
zamin mere sajde se tharraa gai
mujhe aasmaan se pukaaraa gayaa
bichhaD jaaeinge ham donon zamin par
ye us ne aasmaan par likh diyaa hai
vasl mein suukh gai hai miri sochon ki zamin
hijr aae to miri soch ko shaadaab kare
likkhaa hai taarikh ke safhe safhe par ye
shaahon ko bhi daas banaayaa jaa saktaa hai
aaj meri ik ghazal ne us ke honTon ko chhuaa
aaj pahli baar apni shaairi achchhi lagi
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
aashuftagi azal se mire aab-o-gil mein hai
kul lazzat-e-hayaat gham-e-jaan-gusil mein hai
siine ke biich 'saaqib' aisaa hai marnaa jiinaa
ik yaad ji uThi thi ik yaad mar gai hai
hamaari kaarobaari zindagi kaa kul asaasa
ye kuchh sikke hain aur kuchh parchiyaan rakkhi hui hain