Shayari
mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
us mulk ki sarhad ko koi chhu nahin saktaa
jis mulk ki sarhad ki nigahbaan hain aankhein
اس ملک کی سرحد کو کوئی چھو نہیں سکتا
جس ملک کی سرحد کی نگہبان ہیں آنکھیں
उस मुल्क की सरहद को कोई छू नहीं सकता
जिस मुल्क की सरहद की निगहबान हैं आँखें

mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
ye bhi to ik dalil hai us ke vajud ki
jab tak na maaniye use dil maantaa nahin
zaahid sharaab piine de masjid mein baiTh kar
yaa vo jagah bataa de jahaan par khudaa na ho
na khudaa hi milaa na visaal-e-sanam na idhar ke hue na udhar ke hue
rahe dil mein hamaare ye ranj-o-alam na idhar ke hue na udhar ke hue
kabhi teraa dar kabhi dar-ba-dar kabhi 'arsh par kabhi farsh par
gham-e-'aashiqi tiraa shukriya main kahaan kahaan se guzar gayaa
mahfil mein chaar chaand lagaane ke baavajud
jab tak na aap aae ujaalaa na ho sakaa
hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai
kaun mar kar dobaara zinda huaa
kaun mulk-e-fanaa se lauTaa hai
har gadaa gosha-e-qanaaat mein
shaah hai mulk-e-be-niyaazi kaa
agar mazhab khalal-andaaz hai mulki maqaasid mein
to shaikh o barhaman pinhaan rahein dair o masaajid mein
shaamil hamaaraa khuun bhi khaak-e-vatan mein hai
miTTi isi zamin ki hamaare badan mein hai
ghurbat ki ThanDi chhaanv mein yaad aai us ki dhuup
qadr-e-vatan hui hamein tark-e-vatan ke baad