Shayari
mat puchhiye kyaa jitne niklaa thaa main ghar se
ye dekhiye kyaa haar ke lauTaa huun safar se
zindagi ke is safar ne aur kyaa mujh ko diyaa
ek TuuTaa aaina do chaar patthar aur main
زندگی کے اس سفر نے اور کیا مجھ کو دیا
ایک ٹوٹا آئنہ دو چار پتھر اور میں
ज़िंदगी के इस सफ़र ने और क्या मुझ को दिया
एक टूटा आइना दो चार पत्थर और मैं

mat puchhiye kyaa jitne niklaa thaa main ghar se
ye dekhiye kyaa haar ke lauTaa huun safar se
badan ki qaid se chhuTaa to log pahchaane
tamaam 'umr kisi ko miraa pata na milaa
ye safar ye Dubte suraj kaa manzar aur main
jaane kab ho paaeinge baaham miraa ghar aur main
shu’ur-e-tishnagi ik roz mein pukhta nahin hotaa
mire honTon ne sadiyon karbalaa ki khaak chumi hai
aankhein hain ki ab tak usi chaukhaT pe dhari hain
detaa huun zamaane ko magar apnaa pata aur
pahle thaa bahut faasla baazaar se ghar kaa
ab ek hi kamre mein hai baazaar bhi ghar bhi
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
idhar to tuul diyaa hai umiid ko us ne
udhar hayaat ataa ki hai mukhtasar mujh ko
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein