Quote
"kyon tasavvur men ji raha huun main jab haqiqat men mar hi jaana hai"
A world of emotion in just two lines — the purest form of Urdu & Hindi poetry
"kyon tasavvur men ji raha huun main jab haqiqat men mar hi jaana hai"
"apne hain sab paraya koi nahin par mire dukh men aaya koi nahin"
"Thiik aa.i tan pe apne qaba-e-barahnagi baani libas chhoTe hue ya baDe hue"
"zara parda haTa do samne se bijliyan chamken mira dil jalva-gah-e-tur ban jaa.e to achchha ho"
"us ke munh pe mukar gaya tha dil aaj had se guzar gaya tha dil"
"koi bhi khush nahin hai is khabar se ki duniya jald lauTegi safar se"
"tumhen fursat ho duniya se to ham se aa ke milna hamare paas fursat ke siva kya rah gaya hai"
"sab khvab purane hain har chand fasane hain ham roz basate hain ankhon men na.i duniya"
"nahin nahin main bahut khush raha huun tere baghair yaqin kar ki ye halat abhi abhi hui hai"
"kisi ke jism-o-jan chhalni kisi ke bal-o-par TuuTe jali shakhon pe yuun laTke kabutar dekh aaya huun"
"adab hi zindagi men jab na aaya adab men itni mehnat kis liye hai"
"zarurat Dhal ga.i rishte men varna yahan koi kisi ka apna kab hai"
"jaan jaane ko hai aur raqs men parvana hai kitna rangin mohabbat tira afsana hai"
"aur koi pahchan miri banti hi nahin jante hain sab log ki bas tera huun main"
"saare saval asan hain mushkil ek javab ham bhi ek javab hain koi saval kare"
"ham ghulami ko muqaddar ki tarah jante hain ham tiri jiit tiri maat se nikle hue hain"
"mohabbat, hijr, nafrat mil chuki hai main taqriban mukammal ho chuka huun"
"dil ne paaya qarar pahlu men gardish-e-ka.enat khatm hui"
"ghazal men jab talak ehsas ki shiddat na ho shamil faqat alfaz ki karigari mahsus hoti hai"
"koi bhi shakhs duniya men tumhen chhoTa nazar na aa.e tum apne sochne ka da.era itna baDa kar lo"
"phuul is khak-dan ke ham bhi hain mudda.i do jahan ke ham bhi hain"
"dulhan ki mehndi jaisi hai urdu zaban ki shakl khushbu bikherta hai ibarat ka harf harf"
"tumhara zikr jab se aa gaya hai maza aane laga hai guftugu men"
"apne hone ka kuchh ehsas na hone se hua khud se milna mira ik shakhs ke khone se hua"