SHAWORDS

ab parindon ki yahaan naql-e-makaani kam hai — Abbas Tabish

HomeAbbas TabishGhazal
"ab parindon ki yahaan naql-e-makaani kam hai ham hain jis jhiil pe us jhiil mein paani kam hai ye jo main bhaagtaa huun vaqt se aage aage meri vahshat ke mutaabiq ye ravaani kam hai de mujhe anjum-o-mahtaab se aage ki khabar mujh se faani ke liye aalam-e-faani kam hai gham ki talkhi mujhe nashsha nahin hone deti ye ghalat hai ki tiri chiiz puraani kam hai ghaib ke baagh kaa vo bhed khulaa hai mujh par jis kaa iblaagh parindon ki zabaani kam hai hijr ko hausla aur vasl ko fursat darkaar ik mohabbat ke liye ek javaani kam hai itnaa mushkil to na thaa gum-shudagaan kaa milnaa ham ne ai dasht tiri khaak hi chhaani kam hai is samay maut ki khushbu ke muqaabil 'taabish' kisi aangan mein khili raat-ki-raani kam hai"
Urdu

اب پرندوں کی یہاں نقل مکانی کم ہے ہم ہیں جس جھیل پہ اس جھیل میں پانی کم ہے یہ جو میں بھاگتا ہوں وقت سے آگے آگے میری وحشت کے مطابق یہ روانی کم ہے دے مجھے انجم و مہتاب سے آگے کی خبر مجھ سے فانی کے لئے عالم فانی کم ہے غم کی تلخی مجھے نشہ نہیں ہونے دیتی یہ غلط ہے کہ تری چیز پرانی کم ہے غیب کے باغ کا وہ بھید کھلا ہے مجھ پر جس کا ابلاغ پرندوں کی زبانی کم ہے ہجر کو حوصلہ اور وصل کو فرصت درکار اک محبت کے لئے ایک جوانی کم ہے اتنا مشکل تو نہ تھا گمشدگاں کا ملنا ہم نے اے دشت تری خاک ہی چھانی کم ہے اس سمے موت کی خوشبو کے مقابل تابشؔ کسی آنگن میں کھلی رات کی رانی کم ہے

Hindi

अब परिंदों की यहाँ नक़्ल-ए-मकानी कम है हम हैं जिस झील पे उस झील में पानी कम है ये जो मैं भागता हूँ वक़्त से आगे आगे मेरी वहशत के मुताबिक़ ये रवानी कम है दे मुझे अंजुम-ओ-महताब से आगे की ख़बर मुझ से फ़ानी के लिए आलम-ए-फ़ानी कम है ग़म की तल्ख़ी मुझे नश्शा नहीं होने देती ये ग़लत है कि तिरी चीज़ पुरानी कम है ग़ैब के बाग़ का वो भेद खुला है मुझ पर जिस का इबलाग़ परिंदों की ज़बानी कम है हिज्र को हौसला और वस्ल को फ़ुर्सत दरकार इक मोहब्बत के लिए एक जवानी कम है इतना मुश्किल तो न था गुम-शुदगाँ का मिलना हम ने ऐ दश्त तिरी ख़ाक ही छानी कम है इस समय मौत की ख़ुश्बू के मुक़ाबिल 'ताबिश' किसी आँगन में खिली रात-की-रानी कम है

ab parindoñ kī yahāñ naql-e-makānī kam hai
Abbas Tabish
Abbas Tabish
Abbas Tabish
poet195 quotes

More by Abbas Tabish

View all →
Quote
"dukhon kaa dasht aankhon kaa samundar chhoD aayaa huun jo ghar mein laa na sakta thaa vo baahar chhoD aayaa huun tum agli baarishon ke baa'd jaakar dekhnaa pyaare tumhaaraa naam divaaron pe likh kar chhoD aayaa huun mohabbat ki hai us ghar mein rihaaish to nahin ki hai abhi to sirf darvaaze pe bistar chhoD aayaa huun tiri baanhon mein aa kar bhi yahi mahsus hotaa hai ki khud ko vaqt ke rahm-o-karam par chhoD aayaa huun abhi kuchh der mein phailegi khushbu saari basti mein vahaan ke ik dariche mein gul-e-tar chhoD aaya huun khudaa-na-khvaasta main bhi agar banbaas luun 'taabish' vahaan kis ko bataaungaa bharaa ghar chhoD aaya huun"
Abbas TabishAbbas Tabish
Quote
"koi Takraa ke subuk-sar bhi to ho saktaa hai meri taamir mein patthar bhi to ho saktaa hai kyuun na ai shakhs tujhe haath lagaa kar dekhun tu mire vahm se baDh kar bhi to ho saktaa hai tu hi tu hai to phir ab jumla jamaal-e-duniyaa teraa shak aur kisi par bhi to ho saktaa hai ye jo hai phuul hatheli pe ise phuul na jaan meraa dil jism se baahar bhi to ho saktaa hai shaakh par baiThe parinde ko uDaane vaale peD ke haath mein patthar bhi to ho saktaa hai kyaa zaruri hai ki baahar hi numu ho meri meraa khilnaa mire andar bhi to ho saktaa hai ye jo hai ret kaa Tiila mire qadmon ke tale koi dam mein mire uupar bhi to ho saktaa hai kyaa zaruri hai ki ham haar ke jitein 'taabish' ishq kaa khel baraabar bhi to ho saktaa hai"
Abbas TabishAbbas Tabish
Quote
"isi liye to ye shaamein ujaDne lagti hain ki lau baDhaa ke havaaein sukaDne lagti hain main kaise apne tavaazun ko barqaraar rakhun qadam jamaaun to saansein ukhaDne lagti hain yunhi nahin mujhe dariyaa ko dekhne se gurez sunaa hai paani mein shaklein bigaDne lagti hain isi liye to havaa apne ghar nahin jaati ki us ke baa'd ye galiyaan ujaDne lagti hain rahein khamosh to honTon se khuun Tapaktaa hai karein kalaam to khaalein udhaDne lagti hain agar main saans bhi aahista se na luun 'taabish' mire badan mein daraaDein si paDne lagti hain"
Abbas TabishAbbas Tabish
Quote
"yuun to shiraaza-e-jaan kar ke baham uThte hain baiThne lagtaa hai dil junhi qadam uThte hain ham to is razm-gah-e-vaqt mein rahte hain jahaan haath kaT jaaein to daanton se alam uThte hain sahl angaar-tabiat kaa buraa ho jis se naaz uThte hain tire aur na sitam uThte hain koi raunde to uThaate hain nigaahein apni varna miTTi ki tarah raah se kam uThte hain niind jaati hi nahin arz-e-hunar se aage daftar-e-gham hi sadaa kar ke raqam uThte hain din ki aaghosh-e-razaaat se nikal kar 'taabish' raat ki raat kaf-e-khaak se ham uThte hain"
Abbas TabishAbbas Tabish

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri