SHAWORDS

baarhaa Duub ke har baar ubhar aane kaa — Kalim Shadab

HomeKalim ShadabGhazal
"baarhaa Duub ke har baar ubhar aane kaa zindagi naam hai mar mar ke jiye jaane kaa mustarad jis ko kiyaa tu ne bahaana kar ke vahi kirdaar aham thaa tire afsaane kaa main to suraj ko hatheli pe liye phirtaa huun main charaaghon se miyaan khauf nahin khaane kaa ahl-e-daanish hain takabbur mein karein kyaa saahib un mein jazba hai samajhne kaa na samjhaane kaa ham ne majzub mizaaj apnaa banaa rakkhaa hai hai yahi ek bahaana tire yaad aane kaa dil-e-muztar ye taDap ishq kaa eazaaz samajh chain mil jaae to har haal mein Thukraane kaa is liye chaand si raushan hain bujhi ho kar bhi meri aankhon mein hai jo khvaab tujhe paane kaa mai-kashi naam-o-nasab ki jo ghulaam aaj hui saaqiyaa raaz khulaa ab tire maikhaane kaa tu na majnun hai na farhaad na raanjhaa 'shaadaab' haan magar aks hai tujh mein kisi divaane kaa"
Urdu

بارہا ڈوب کے ہر بار ابھر آنے کا زندگی نام ہے مر مر کے جئے جانے کا مسترد جس کو کیا تو نے بہانہ کر کے وہی کردار اہم تھا ترے افسانے کا میں تو سورج کو ہتھیلی پہ لئے پھرتا ہوں میں چراغوں سے میاں خوف نہیں کھانے کا اہل دانش ہیں تکبر میں کریں کیا صاحب ان میں جذبہ ہے سمجھنے کا نہ سمجھانے کا ہم نے مجذوب مزاج اپنا بنا رکھا ہے ہے یہی ایک بہانہ ترے یاد آنے کا دل مضطر یہ تڑپ عشق کا اعزاز سمجھ چین مل جائے تو ہر حال میں ٹھکرانے کا اس لئے چاند سی روشن ہیں بجھی ہو کر بھی میری آنکھوں میں ہے جو خواب تجھے پانے کا مے کشی نام و نسب کی جو غلام آج ہوئی ساقیا راز کھلا اب ترے میخانے کا تو نہ مجنوں ہے نہ فرہاد نہ رانجھا شادابؔ ہاں مگر عکس ہے تجھ میں کسی دیوانے کا

Hindi

बारहा डूब के हर बार उभर आने का ज़िंदगी नाम है मर मर के जिए जाने का मुस्तरद जिस को किया तू ने बहाना कर के वही किरदार अहम था तिरे अफ़्साने का मैं तो सूरज को हथेली पे लिए फिरता हूँ मैं चराग़ों से मियाँ ख़ौफ़ नहीं खाने का अहल-ए-दानिश हैं तकब्बुर में करें क्या साहिब उन में जज़्बा है समझने का न समझाने का हम ने मज्ज़ूब मिज़ाज अपना बना रक्खा है है यही एक बहाना तिरे याद आने का दिल-ए-मुज़्तर ये तड़प इश्क़ का ए'ज़ाज़ समझ चैन मिल जाए तो हर हाल में ठुकराने का इस लिए चाँद सी रौशन हैं बुझी हो कर भी मेरी आँखों में है जो ख़्वाब तुझे पाने का मय-कशी नाम-ओ-नसब की जो ग़ुलाम आज हुई साक़िया राज़ खुला अब तिरे मयख़ाने का तू न मजनूँ है न फ़रहाद न राँझा 'शादाब' हाँ मगर अक्स है तुझ में किसी दीवाने का

bārhā Duub ke har baar ubhar aane kā
Kalim Shadab
Kalim Shadab
Kalim Shadab
poet19 quotes

More by Kalim Shadab

View all →
Quote
"amir-e-shahr ke ban kar vazir baiThe hain to kyaa vo bech ke apnaa zamir baiThe hain qalandaron ki ye 'azmat karam khudaa kaa hai faqir-e-shahr ke dar par amiir baiThe hain hain pattharon se pareshaan machhliyaan saari nadi kinaare jo bachche sharir baiThe hain nigaah-e-naaz ne dil teraa intikhaab kiyaa hadaf banaae kamaan mein vo tiir baiThe hain fasil-e-'ishq mein be-shak daraar aaegi anaa ki khinch ke donon lakir baiThe hain hasad ki aag mein jalne lage raqib tamaam jo ru-baru mire vo be-nazir baiThe hain tiri nigaah ne chheDaa koi fasaana kyaa qalam ko toD ke jo sab 'dabir' baiThe hain rafiq-e-vaqt mein vo saahib-e-khulus kahaan mafaad-e-hirs-o-havas hain haqir baiThe hain tire khulus ko 'shaadaab' kyaa vo samjheinge jo ho ke apni anaa ke asiir baiThe hain"
Kalim ShadabKalim Shadab
Quote
"bikhar bikhar gae sab mere khvaab tere baghair har ek saans hui hai azaab tere baghair tire baghair tabassum haraam kar Daalaa masarraton se kiyaa ijtinaab tere baghair baDe sukun se makin hain udaasiyaan ghar mein huaa hai jaan miraa khaana-kharaab tere baghair tiri nigaahon ke vo jaam khuub hote the lage hai zahr hamein ab sharaab tere baghair shab-e-visaal mein to tirgi bhi nuur lagi bujhaa bujhaa saa lagaa maahtaab tere baghair rafaaqaton mein tiri khaar goyaa komal the chubhe hain khaar ki surat gulaab tere baghair"
Kalim ShadabKalim Shadab
Quote
"dil mein ik shor machaa ho jaise dard phir chikh rahaa ho jaise teri furqat mein ye mahsus kiyaa jism se ruuh judaa ho jaise in havaaon mein ghuTan hai aisi phuul khushbu se khafaa ho jaise yuun mujhe yaad kiyaa hai us ne sang par phuul khilaa ho jaise so gayaa shahr magar khvaab miraa niind ko DhunD rahaa ho jaise dard yuun ruuh ki taskin huaa zakhm khaane mein mazaa ho jaise us ki tanqid ke lahje ki miThaas zahr mein shahd ghulaa ho jaise jaam piitaa hai ghazal ke 'shaadaab' shaaeri koi nasha ho jaise"
Kalim ShadabKalim Shadab
Quote
"sang par phuul khilaane kaa hunar aataa hai mujh ko ehsaas jagaane kaa hunar aataa hai aaine mujh se khafaa rahte hain kyunki mujh ko sher mein shakl dikhaane kaa hunar aataa hai kaun hai koi nahin rab ke alaava jis ko aag ko phuul banaane kaa hunar aataa hai aankh ko khvaab dikhaaein sabhi lekin mujh ko khvaab ko khvaab dikhaane kaa hunar aataa hai is tavassut se bhi pariyaan mujhe pahchaanti hain chaand par rang jamaane kaa hunar aataa hai aankh ke paar mire dekh nahin saktaa koi dard-e-dil mujh ko chhupaane kaa hunar aataa hai ye hunar mujh ko viraasat mein milaa purkhon se dasht mein khaak uDaane kaa hunar aataa hai main samundar nahin ik abr huun 'shaadaab' jise dasht ki pyaas bujhaane kaa hunar aataa hai"
Kalim ShadabKalim Shadab
Quote
"meri hasti ko miTaa kar dekho khaak mein khaak milaa kar dekho aag mein aag to lag jaaegi aag paani mein lagaa kar dekho vasl kaa shahd chakhaa hai tum ne hijr kaa zahr bhi khaa kar dekho sang koi bhi uThaa letaa hai aasmaan sar pe uThaa kar dekho meraa daa'vaa hai bharegaa hi nahin phuul kaa zakhm to khaa kar dekho donon 'aalam mein na sar kham hogaa sar namaazon mein jhukaa kar dekho ye bhi mumkin hai havaa ho jaae dard mein dard milaa kar dekho dhuup dahshat ki chali jaaegi amn kaa peD lagaa kar dekho rote rote bhi kabhi hans denaa dhuup mein chhaanv milaa kar dekho"
Kalim ShadabKalim Shadab

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar