SHAWORDS

chaand aangan mein jab utartaa hai — Asim Ejaz

HomeAsim EjazGhazal
"chaand aangan mein jab utartaa hai zard patton mein rang bhartaa hai kaun ruktaa hai umr bhar ke liye aks paani mein kab Thahartaa hai koi kaise kahin pe ruk jaae vaqt har haal mein guzartaa hai husn-e-be-khud ko dekhne ke liye aaina der tak sanvartaa hai husn-e-be-kal ki ru-numaai tak koi jiitaa hai koi martaa hai apne jaison mein mo'atabar ho kar aadmi aadmi se Dartaa hai"
Urdu

چاند آنگن میں جب اترتا ہے زرد پتوں میں رنگ بھرتا ہے کون رکتا ہے عمر بھر کے لیے عکس پانی میں کب ٹھہرتا ہے کوئی کیسے کہیں پہ رک جائے وقت ہر حال میں گزرتا ہے حسن بے خود کو دیکھنے کے لیے آئنہ دیر تک سنورتا ہے حسن بے کل کی رونمائی تک کوئی جیتا ہے کوئی مرتا ہے اپنے جیسوں میں معتبر ہو کر آدمی آدمی سے ڈرتا ہے

Hindi

चाँद आँगन में जब उतरता है ज़र्द पत्तों में रंग भरता है कौन रुकता है उम्र भर के लिए अक्स पानी में कब ठहरता है कोई कैसे कहीं पे रुक जाए वक़्त हर हाल में गुज़रता है हुस्न-ए-बे-ख़ुद को देखने के लिए आइना देर तक सँवरता है हुस्न-ए-बे-कल की रू-नुमाई तक कोई जीता है कोई मरता है अपने जैसों में मो'तबर हो कर आदमी आदमी से डरता है

chāñd āñgan meñ jab utartā hai
Asim Ejaz
Asim Ejaz
Asim Ejaz
poet20 quotes

More by Asim Ejaz

View all →
Quote
"visaal-o-hijr ke dauraaniye paDe hue hain kahin pe khvaab kahin ratjage paDe hue hain lahu kaa rang bhi taaza hai jaa-ba-jaa dekho kahin pe baste kahin qaaede paDe hue hain juDaa huaa hai mire ghar se koi viraana jahaan pe duur talak vaaqiye paDe hue hain tumhaare lams ne lazzat kaa ras nichoDaa hai abhi badan mein kai zaaiqe paDe hue hain main khud ko kaise sanbhaalun jo karbalaa pahunchun qadam qadam pe vahaan saanehe paDe hue hain hamein safar kaa ishaaraa nahin huaa varna zamin pe raaste hi raaste paDe hue hain kisi kaa aks kisi se badal na jaae kahin ik aaine mein kai aaine paDe hue hain"
Asim EjazAsim Ejaz
Quote
"chaand jis vaqt Dhalne lagtaa hai ghar mein suraj nikalne lagtaa hai pahle paDti hai dhuup jismon par phir to saaya bhi jalne lagtaa hai vahshat-e-gham utarne lagti hai ek khatra jo Talne lagtaa hai ek patthar mein jaan hai sab ki phir vo patthar pighalne lagtaa hai saaraa manzar badal saa jaataa hai jab vo pahlu badalne lagtaa hai paaon rakhtaa hai apne jhiil mein vo aur paani ubalne lagtaa hai do qadam jis ke saath chaltaa huun vo hi rasta badalne lagtaa hai lazzat-e-did jab adhuri ho chaand hamraah chalne lagtaa hai lafz jab baazyaab hote hain lab pe misra machalne lagtaa hai jab sitaaraa ho auj par 'aasim' kam-nazar bhi uchhalne lagtaa hai"
Asim EjazAsim Ejaz
Quote
"tire bimaar se uljhaa huaa hai mire mohsin ko jaane kyaa huaa hai safina saahilon tak aa to jaae havaa ne raasta badlaa huaa hai fazaa mein tishnagi phaili hui hai musaafir dasht mein Thahraa huaa hai ikaTThe ghumte hain qais-o-lailaa zamaana is-qadar badlaa huaa hai main ab tak gir gayaa hotaa zamin par kisi ke haath ne thaamaa huaa hai tiri jaanib qadam uThte nahin hain mujhe haalaat ne rokaa huaa hai adhuri khvaahishein kab tak sameTun ye malba duur tak bikhraa huaa hai hamaare ghar ke andheron kaa 'aasim' pas-e-divaar bhi charchaa huaa hai"
Asim EjazAsim Ejaz
Quote
"jab bhi peDon se jaan nikalti hai zindagi be-amaan nikalti hai ham jise vaaqia samajhte hain vo koi daastaan nikalti hai mahfil-e-jaan-e-jaan kaa mat puchho hasrat-e-did vaan nikalti hai jab bhi mausam ho sabz patton kaa hasrat-e-bad-gumaan nikalti hai saahibaan-e-karam ke sadqe se masti-e-jism-o-jaan nikalti hai aah uThti hai vaadi-e-dil se phir su-e-asmaan nikalti hai jaanib-e-raftagaan nahin jaati zindagi phir kahaan nikalti hai jin ke honTon ko chup si lag jaae un ki puuri zabaan nikalti hai yaad-e-maazi bhi dida-e-tar se surat-e-kaarvaan nikalti hai"
Asim EjazAsim Ejaz

More on Maa

View all →
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri