"kyaa yahi us kaa mudaavaa na huaa ek bimaar jo achchhaa na huaa chaar tinke hi sahi jal to gae kyaa mire dam se ujaalaa na huaa un ki qurbat hi sahi haasil-e-zist ye to andaaz-e-tamannaa na huaa hai tamannaa-e-tulu-e-khurshid aur agar phir bhi saveraa na huaa pursish-e-gham to hui thi lekin ham se izhaar-e-tamannaa na huaa lazzat-e-dard-e-mohabbat ke sabab ham ko marnaa bhi gavaaraa na huaa gham ne vo bazm sajaai 'ehsaas' main zaraa der ko tanhaa na huaa"
dil se dil ke vaaste paighaam kaise aa gayaa — Ehsas Muradabadi
"dil se dil ke vaaste paighaam kaise aa gayaa mere honTon par tumhaaraa naam kaise aa gayaa un ki mahfil mein hamaaraa naam kaise aa gayaa aaj zikr-e-gardish-e-ayyaam kaise aa gayaa dil si shai ne kaise rasm-e-aarzu kar li qubul taair-e-aflaak zer-e-daam kaise aa gayaa log kahte hain masarrat zindagi kaa naam hai phir ye mujh par ziist kaa ilzaam kaise aa gayaa ishrat-e-ahd-e-guzashta kis tarah yaad aa gai haath mein aaina-e-ayyaam kaise aa gayaa shisha-e-dil bas-ki naazuk ishq ki mai tund-o-tez tum pe ilzaam-e-shikast-e-jaam kaise aa gayaa fikr ke baadal jabin-e-husn par 'ehsaas' kyuun ye sahar ke vaqt zikr-e-shaam kaise aa gayaa"
دل سے دل کے واسطے پیغام کیسے آ گیا میرے ہونٹوں پر تمہارا نام کیسے آ گیا ان کی محفل میں ہمارا نام کیسے آ گیا آج ذکر گردش آیام کیسے آ گیا دل سی شے نے کیسے رسم آرزو کر لی قبول طائر افلاک زیر دام کیسے آ گیا لوگ کہتے ہیں مسرت زندگی کا نام ہے پھر یہ مجھ پر زیست کا الزام کیسے آ گیا عشرت عہد گذشتہ کس طرح یاد آ گئی ہاتھ میں آئینۂ ایام کیسے آ گیا شیشۂ دل بسکہ نازک عشق کی مے تند و تیز تم پہ الزام شکست جام کیسے آ گیا فکر کے بادل جبین حسن پر احساسؔ کیوں یہ سحر کے وقت ذکر شام کیسے آ گیا
दिल से दिल के वास्ते पैग़ाम कैसे आ गया मेरे होंटों पर तुम्हारा नाम कैसे आ गया उन की महफ़िल में हमारा नाम कैसे आ गया आज ज़िक्र-ए-गर्दिश-ए-अय्याम कैसे आ गया दिल सी शय ने कैसे रस्म-ए-आरज़ू कर ली क़ुबूल ताइर-ए-अफ़्लाक ज़ेर-ए-दाम कैसे आ गया लोग कहते हैं मसर्रत ज़िंदगी का नाम है फिर ये मुझ पर ज़ीस्त का इल्ज़ाम कैसे आ गया इशरत-ए-अहद-ए-गुज़शता किस तरह याद आ गई हाथ में आईना-ए-अय्याम कैसे आ गया शीशा-ए-दिल बस-कि नाज़ुक इश्क़ की मय तुंद-ओ-तेज़ तुम पे इल्ज़ाम-ए-शिकस्त-ए-जाम कैसे आ गया फ़िक्र के बादल जबीन-ए-हुस्न पर 'एहसास' क्यूँ ये सहर के वक़्त ज़िक्र-ए-शाम कैसे आ गया
More by Ehsas Muradabadi
View all →"ab main payaam-e-fasl-e-bahaaraan ko kyaa karun daaman kahaan se laaun garebaan ko kyaa karun taasir-e-sozish-e-gham-e-pinhaan ko kyaa karun rang-e-parida-e-rukh-e-jaanaan ko kyaa karun paidaa yahin se meraa nasheman bhi ho to jaae be-e'tibaari-e-gham-e-zindaan ko kyaa karun teri navaazishon ne bikhere hazaar gul lekin main apni tangi-e-daamaan ko kyaa karun yuun to har ek dard ne bakhshi hayaat-e-nau main fitrat-e-hayaat-e-gurezaan ko kyaa karun tum kyaa mile ki mil gaiin saari masarratein ab ye bataao dida-e-giryaan ko kyaa karun 'ehsaas' kaise kaise hui thi sahar nasib phir aa rahi hai ab shab-e-hijraan ko kyaa karun"
"vo dard-e-dil bhi nahin chashm-e-khun-fishaan bhi nahin kabhi jo thaa vo ab andaaz-e-gulsitaan bhi nahin ilaaj-e-dard-e-mohabbat to kar nahin sakte tumhaare qabze mein kyaa marg-e-naa-gahaan bhi nahin vo is maqaam se guzre hain dil ye kahtaa hai jhukaa hai sar ki jahaan koi aastaan bhi nahin isi chaman mein kai baar sho'le bhaDke hain miri navaa kaa koi ab mizaaj-daan bhi nahin sukut kitne maraahil ke baad aataa hai vo mutmain hain mire lab pe ab fughaan bhi nahin ye aur baat qafas mein guzaar duun din-raat miraa maqaam to varna ye gulsitaan bhi nahin shab-e-firaaq mein andesha-e-sahar kaisaa ye vo zamin hai jahaan koi aasmaan bhi nahin"
"muqaabla hai gham-o-alam kaa to saamnaa ranj-o-be-kasi kaa rah-e-mohabbat mein har qadam par nishaan miltaa hai zindagi kaa isi mohabbat mein ham pe guzraa ik aisaa 'aalam bhi tirgi kaa banaa liyaa aaftaab ham ne milaa jo zarra bhi raushni kaa yakaayak ik huuk dil mein uTThi palaT gayaa rang zindagi kaa ba-khair yaadash mire labon par abhi abhi naam thaa kisi kaa jahaan se dekho fasaana-e-gham bani hui iztiraab-e-paiham hon teri nazrein bhi jis se barham kareinge kyaa aisi zindagi kaa ye ahd-e-gham ki nahin hikaayat thi is se pahle bhi aisi haalat vahin pe Thahri nigaah-e-ulfat jo rang dekhaa shikastagi kaa jo dil pe paiham hai baarish-e-gham mohabbatein ho rahi hain mohkam izaafa kartaa hai zindagi mein jo din guzartaa hai zindagi kaa bayaan-e-gham ki lataafatein hain mohabbaton ki nazaakatein hain vagarna 'ehsaas' sach to ye hai saliqa kyaa mujh ko shaa'iri kaa"
"munavvar ho ke kitni daastaan-e-aashiqi aai jahaan tak zikr-e-gham aayaa nazar mein raushni aai tiri ik ik nazar le kar payaam-e-zindagi aai miri jaanib se lekin kab mohabbat mein kami aai jabin-e-shauq mein jab koi shaan-e-kaafiri aai to istiqbaal karne har qadam par bandagi aai ye jaan-e-aashiqi hai is ko kis dil se judaa kar duun na jaane kitne gham sah kar to mujh tak bekasi aai zahe qismat ki us ko dard-e-mahrumi pasand aayaa mohabbat aish-e-do-aalam ko Thukraati hui aai ye aalam hai to phir zabt-e-mohabbat se bhi kyaa haasil zabaan par un kaa naam aayaa ki aankhon mein nami aai kisi surat mein ho ye dil ki nisbat chhup nahin sakti mire rone pe aakhir ik tumhin ko kyon hansi aai"
"soz aavaaz mein lahje mein khanak hai saaqi ishq kaa tere yaqin to nahin shak hai saaqi main ne kab tujh se kahaa hai mujhe shak hai saaqi tere maathe pe sitaaron ki chamak hai saaqi kyaa tiri shokhi-e-guftaar ki tashrih karun kitni shirini hai aur kaisaa namak hai saaqi ishq ke soz ne naghmaat ko garmi bakhshi ab tire saaz mein shoalon ki lapak hai saaqi mere saanson mein jo bas jaae to kyaa us kaa ilaaj tu nahin paas magar teri mahak hai saaqi main bahak jaaun to ye meri tunuk-zarfi hai aur agar nashsha na ho kis ki hatak hai saaqi dil-e-'ehsaas' mein jo ruh-e-tajalli hai nihaan chaand taaron mein kahaan us ki jhalak hai saaqi"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"