"apnaa rakhtaa khayaal hai koi tere jaisaa niDhaal hai koi teraa daa'vaa hai sach to zinda hai is ki zinda misaal hai koi khud hi karti hai maut se saudaa zindagi saa dalaal hai koi aap aae hain mere hujre par raaz kuchh hai ki chaal hai koi oDh letaa hai chaahe jis ki jab teri apni bhi khaal hai koi kaamyaabi mili hai tujh ko jo is mein teraa kamaal hai koi puchh letaa kabhi 'nazar' se bhi us kaa apnaa savaal hai koi"
itni qudrat jo jagmagaati hai — Nazar Dwivedi
"itni qudrat jo jagmagaati hai tel us kaa usi ki baati hai kitni naazuk hai saans ki Dori ek jhaTke mein Tuut jaati hai dil ki dhaDkan tujhe pata hai kyaa teri hasti ko aazmaati hai shukr us kaa na bhulnaa hargiz subh tujh ko jo shai jagaati hai mujh ko har dam hi zindagi meri apnaa aadhaa pata bataati hai jiit jaati hain nafratein har dam bas mohabbat hi maat khaati hai maut tujh tak ye zindagi aakhir kitni mushkil se khud ko laati hai Tuut jaane ke Dar se aksar hi niind aate hi lauT jaati hai"
اتنی قدرت جو جگمگاتی ہے تیل اس کا اسی کی باتی ہے کتنی نازک ہے سانس کی ڈوری ایک جھٹکے میں ٹوٹ جاتی ہے دل کی دھڑکن تجھے پتہ ہے کیا تیری ہستی کو آزماتی ہے شکر اس کا نہ بھولنا ہرگز صبح تجھ کو جو شے جگاتی ہے مجھ کو ہر دم ہی زندگی میری اپنا آدھا پتہ بتاتی ہے جیت جاتی ہیں نفرتیں ہر دم بس محبت ہی مات کھاتی ہے موت تجھ تک یہ زندگی آخر کتنی مشکل سے خود کو لاتی ہے ٹوٹ جانے کے ڈر سے اکثر ہی نیند آتے ہی لوٹ جاتی ہے
इतनी क़ुदरत जो जगमगाती है तेल उस का उसी की बाती है कितनी नाज़ुक है साँस की डोरी एक झटके में टूट जाती है दिल की धड़कन तुझे पता है क्या तेरी हस्ती को आज़माती है शुक्र उस का न भूलना हरगिज़ सुब्ह तुझ को जो शय जगाती है मुझ को हर दम ही ज़िंदगी मेरी अपना आधा पता बताती है जीत जाती हैं नफ़रतें हर दम बस मोहब्बत ही मात खाती है मौत तुझ तक ये ज़िंदगी आख़िर कितनी मुश्किल से ख़ुद को लाती है टूट जाने के डर से अक्सर ही नींद आते ही लौट जाती है

More by Nazar Dwivedi
View all →"agarche muskuraa kar maangtaa hai vo meri jaan aksar maangtaa hai sabhi kuchh chaahiye us aadmi ko magar ehsaas banjar maangtaa hai zabaani puchhtaa hai prashn mujh se magar likh kar hi uttar maangtaa hai pata hai pyaar ki qillat use bhi mohabbat kab gadaagar maangtaa hai havas insaan ki kitni hai dekho vo qatron se samundar maangtaa hai vo tum se chhin bhi legaa kisi din abhi tak jo saham kar maangtaa hai vo jaataa oDh kar aakhir kafan hi 'nazar' jo zindagi bhar maangtaa hai"
"ab aaine ko shakl bhi dikhlaa na paaeinge kuchh log apne aap ko samjhaa na paaeinge aaeinge paas baiTh ke deinge tasalliyaan lekin kisi kaa zakhm vo sahlaa na paaeinge kahni thi apni baat jo ik baar kah chuke har din vahi bayaan to dohraa na paaeinge kitni udaas ghar ki hai dahliz aaj-kal jab se vo kah gae hain ki ab aa na paaeinge mat bhuliye ki aaj ke bachche zahin hain pariyon ki daastaan se bahlaa na paaeinge maangein bhi sar jhukaa ke tire dar pe aur kyaa pahle se jo milaa hai vo lauTaa na paaeinge ab to utar gae hain tumhaari 'nazar' se ham khud ko kisi maqaam pe pahunchaa na paaeinge"
"main ne jab jab bhi aaina dekhaa khud se khud kaa muqaabla dekhaa sirf tujh se bichhaD ke duniyaa mein apni hasti ko jaa-ba-jaa dekhaa dar pe tere na jhuk sakaa jo bhi us ko dar dar hi phir jhukaa dekhaa surkhiyon mein rahe jo qad-aavar un kaa imaan bhi Digaa dekhaa ashk sukhe to us ke tevar mein phir baghaavat kaa zalzala dekhaa jis ko aadhaa samajh rahaa thaa main us ko apne se do-gunaa dekhaa she'r mere paDhe zamaane ne kis ne meraa thaa ratjagaa dekhaa"
"apne honTon pe jo du'aa rakhtaa phir kisi se na vo gila rakhtaa sirf kaasa liye phiraa har dam main to saail thaa aur kyaa rakhtaa maangte to sabhi hain duniyaa mein kis ko denaa hai vo pata rakhtaa rog aisaa hai 'ishq kaa yaaro kab kisi ko vo kaam kaa rakhtaa faisle kaa pata thaa pahle se main bhi apni dalil kyaa rakhtaa sab ko detaa khushi vo duniyaa mein sab kaa unchaa vo martaba rakhtaa"
"na jaane us ke kitne hi sahaare saath rahte hain vo paataa manzilein jis ke sitaare saath rahte hain chale jaao kahin lekin akele tum nahin hote yaqin maano vahaan ham bhi tumhaare saath rahte hain kahaan chuhaa kahaan billi kahaan kuttaa kahaan panchhi musibat jab paDi ho to ye saare saath rahte hain falak tum ho zamin ham hain nahin mumkin kabhi milnaa nadi ke bhi kahaan donon kinaare saath rahte hain manaazir vo bhi dikhte hain jinhein ho dekhnaa mushkil kahaan khush-rang har dam hi nazaare saath rahte hain na samjhaao vatan ki tum taraqqi kaa inhein matlab ye basti hai jahaan qismat ke maare saath rahte hain akele ham rahein phir bhi 'nazar' tanhaa nahin hote tumhaare khvaabon ke saae hamaare saath rahte hain"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"