SHAWORDS

josh-e-junun bhi gardish-e-dauraan se kam na thaa — Arsh Siddiqui

HomeArsh SiddiquiGhazal
"josh-e-junun bhi gardish-e-dauraan se kam na thaa dil thaa to dasht-e-gham bhi gulistaan se kam na thaa rangini-e-jamaal ki sarhad na thi koi aur hausla bhi hita-e-imkaan se kam na thaa kyaa kyaa basi thiin suratein daamaan-e-khvaab mein dasht-e-khayaal shahr-e-nigaaraan se kam na thaa har aarzu ko apni nihaayat ki fikr thi baazaar-e-shauq hashr ke maidaan se kam na thaa sach hai junun ki raah mein imaan gayaa magar paas-e-mizaaj-e-yaar bhi imaan se kam na thaa aavaargi ko vusat-e-sahraa bhi kam rahi dil ko jahaan-e-shauq bhi zindaan se kam na thaa ham ko na thi junun mein tamiz-e-dimaagh-o-dil daaman kaa chaak chaak-e-garebaan se kam na thaa apne liye thaa baais-e-aabaadi-e-nazar be-saakhta gurez jo paimaan se kam na thaa dekhaa na ham ne yaan bhi shajar koi saaya-daar yaani dayaar-e-ishq bayaabaan se kam na thaa mujrim nahin the phir bhi sataae gae hamin qaazi ba-zom-e-khvesh sulaimaan se kam na thaa raahon mein zindagi ki luTi sab mataa-e-hosh uljhaao un kaa zulf-e-pareshaan se kam na thaa dil par raqam thi ek se ik turfa daastaan koi bhi zakhm 'arsh' dabistaan se kam na thaa"
Urdu

جوش جنوں بھی گردش دوراں سے کم نہ تھا دل تھا تو دشت غم بھی گلستاں سے کم نہ تھا رنگینیٔ جمال کی سرحد نہ تھی کوئی اور حوصلہ بھی حیطۂ امکاں سے کم نہ تھا کیا کیا بسی تھیں صورتیں دامان خواب میں دشت خیال شہر نگاراں سے کم نہ تھا ہر آرزو کو اپنی نہایت کی فکر تھی بازار شوق حشر کے میداں سے کم نہ تھا سچ ہے جنوں کی راہ میں ایماں گیا مگر پاس مزاج یار بھی ایماں سے کم نہ تھا آوارگی کو وسعت صحرا بھی کم رہی دل کو جہان شوق بھی زنداں سے کم نہ تھا ہم کو نہ تھی جنوں میں تمیز دماغ و دل دامن کا چاک چاک گریباں سے کم نہ تھا اپنے لئے تھا باعث آبادئ نظر بے ساختہ گریز جو پیماں سے کم نہ تھا دیکھا نہ ہم نے یاں بھی شجر کوئی سایہ دار یعنی دیار عشق بیاباں سے کم نہ تھا مجرم نہیں تھے پھر بھی ستائے گئے ہمیں قاضی بزعم خویش سلیماں سے کم نہ تھا راہوں میں زندگی کی لٹی سب متاع ہوش الجھاؤ ان کا زلف پریشاں سے کم نہ تھا دل پر رقم تھی ایک سے اک طرفہ داستاں کوئی بھی زخم عرشؔ دبستاں سے کم نہ تھا

Hindi

जोश-ए-जुनूँ भी गर्दिश-ए-दौराँ से कम न था दिल था तो दश्त-ए-ग़म भी गुलिस्ताँ से कम न था रंगीनी-ए-जमाल की सरहद न थी कोई और हौसला भी हीता-ए-इम्काँ से कम न था क्या क्या बसी थीं सूरतें दामान-ए-ख़्वाब में दश्त-ए-ख़याल शहर-ए-निगाराँ से कम न था हर आरज़ू को अपनी निहायत की फ़िक्र थी बाज़ार-ए-शौक़ हश्र के मैदाँ से कम न था सच है जुनूँ की राह में ईमाँ गया मगर पास-ए-मिज़ाज-ए-यार भी ईमाँ से कम न था आवारगी को वुसअ'त-ए-सहरा भी कम रही दिल को जहान-ए-शौक़ भी ज़िंदाँ से कम न था हम को न थी जुनूँ में तमीज़-ए-दिमाग़-ओ-दिल दामन का चाक चाक-ए-गरेबाँ से कम न था अपने लिए था बाइस-ए-आबादी-ए-नज़र बे-साख़्ता गुरेज़ जो पैमाँ से कम न था देखा न हम ने याँ भी शजर कोई साया-दार या'नी दयार-ए-इश्क़ बयाबाँ से कम न था मुजरिम नहीं थे फिर भी सताए गए हमीं क़ाज़ी ब-ज़ोम-ए-ख़्वेश सुलैमाँ से कम न था राहों में ज़िंदगी की लुटी सब मता-ए-होश उलझाओ उन का ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ से कम न था दिल पर रक़म थी एक से इक तुर्फ़ा दास्ताँ कोई भी ज़ख़्म 'अर्श' दबिस्ताँ से कम न था

josh-e-junūñ bhī gardish-e-daurāñ se kam na thā
Arsh Siddiqui
Arsh Siddiqui
Arsh Siddiqui
poet53 quotes

More by Arsh Siddiqui

View all →
Quote
"yuun na koi tiri mahfil mein pareshaan ho jaae jaise aavaaz-e-sabaa dasht mein hairaan ho jaae muntazir hain miri aahaT ki balaaein kitni ek mushkil to nahin hai ki jo aasaan ho jaae chaak-e-daaman hi zamaane se nahin hotaa rafu aur agar siina kabhi chaak-e-garebaan ho jaae pech-dar-pech hai yuun silsila-e-zulf-e-hayaat haath lagte hi jo kuchh aur bhi pechaan ho jaae daagh-e-dil jalne lage bujh gai har sham-e-tarab yuun hai to yuun hi sahi ghar mein charaaghaan ho jaae mujh pe qadghan hai ki main bazm mein khaamosh rahun aur khamoshi hi jo rusvaai kaa saamaan ho jaae nashtar-e-shauq ke haathon gul-e-sad-barg hai dil khuub ho ab jo ye nazr-e-dam-e-tufaan ho jaae kyuun na phir jalne lagein rashk se viraana-o-dasth shahr jab dil ki nigaahon mein bayaabaan ho jaae dil ko saudaa hai rahe rang-e-shafaq pesh-e-nazar gham ko ik taur to bahlaane kaa saamaan ho jaae raushni shaam ki sun paae na aavaaza-e-shab mohr-e-zartaab kaa aafaaq se paimaan ho jaae baat is aankh mein poshida hai vo 'arsh' ki jo lab se nikle to mire siine pe paikaan ho jaae"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"itni havaa na vaaiz-e-din-daar baandhiye izzat sanbaaliye sar-e-dastaar baandhiye gum kijiye havaas ko tafsir-e-hosh mein daanish ko jahl jahl ko pindaar baandhiye mahrum-e-hosh soiye par diije daad-e-hosh gul ko giyaah dasht ko gulzaar baandhiye bu chhiniye gulon se ki dete hain zauq-e-fan yuun khush-navaa tuyur ki chahkaar baandhiye ab juz havaa nahin hai girah mein hamaari khaak sau baar kholiye use sau baar baandhiye bhaDki hai aag 'arsh' khayaabaan-e-bazm mein hadd-e-jalaal-e-shoala-e-guftaar baandhiye"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"bas ek hi kaifiyyat-e-dil subh-o-masaa hai har lamha miri 'umr kaa zanjir-ba-paa hai main shahr ko kahtaa hon bayaabaan ki yahaan bhi saaya tiri divaar kaa kab sar pe paDaa hai hai vaqt ki kahtaa hai rukungaa na main ik pal tu hai ki abhi baat miri tol rahaa hai main bazm se khaakistar-e-dil le ke chalaa huun aur saamne tanhaai ke sahraa ki havaa hai aavaaz kaa tesha hai na khaamosh takallum taalaa jo zabaan par thaa vo ab dil pe paDaa hai main saath liye phirtaa huun saamaan-e-halaakat rag rag mein miri zahr-e-vafaa dauD rahaa hai kyaa kyaa hain tamannaaein dil-e-khaak-basar mein ye qaafila viraane mein kyuun Thahraa huaa hai"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"didani ab safar-e-zist kaa manzar hogaa jis ne luuTaa sar-e-baazaar vo rahbar hogaa haal-e-dil kah ke hue aur giraftaar-e-alam ham na kahte the ki yuun dard fuzun-tar hogaa jite-ji ham se kabhi harf-e-vafaa kah Daalo phir ye hogaa bhi jo ehsaan to kis par hogaa tu miri jurat-e-guftaar pe hairaan kyuun hai ye tamaashaa tiri sarkaar mein aksar hogaa un ki aankhon mein chamakte hue taare dekhe ab to naaseh bhi pashemaan baraabar hogaa ham bhi ab 'arsh' nayaa baab-e-vafaa kholeinge shahpar-e-shauq mah-o-mehr kaa ham-sar hogaa"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"phir usi shahr kaa fasaana chheD mutriba tarz-e-aashiqaana chheD saaz-e-dil se uThaa thaa jo ik baar phir vahi raag vaalihaana chheD ghar hai taarik yurish-e-gham se aaj ik aatishin taraana chheD phir jahaan dilkashi se hai mahrum zulf-e-hasti ko misl-e-shaana chheD bazm khauf-e-fanaa se hai be-dam kuchh ba-andaaz-e-jaavedaana chheD aaj har shai se bad-gumaan hain ham mat hamein ai gham-e-zamaana chheD ai gham-e-yaar ham hain khaakistar aur mat ai rafiq-e-khaana chheD 'arsh' thi har sukun ki jo rahzan us qayaamat kaa phir fasaana chheD"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui
Quote
"vo jis ki daastaan phaili dil-e-divaana meraa thaa zabaanein dushmanon ki thiin magar afsaana meraa thaa taDaptaa huun ki ik saaghar kisi haatim se mil jaae zavaal-e-aasmaan dekho kabhi mai-khaana meraa thaa balaa ki khaamushi taari thi har-su teri haibat se sar-e-mahfil jo gunjaa naara-e-mastaana meraa thaa kaTe yuun to hazaaron sar vafaa ki karbalaaon mein tire neze pe jo ubhraa sar-e-shaahaana meraa thaa faqih-e-shahr ko samjho ki ham pakDe gae naahaq sharaabein sab usi ki thiin bas ik paimaana meraa thaa banaa hai 'arsh' vo munsif to phir ye bhi kabhi dekhe huaa hai band jo mujh par vahi viraana meraa thaa"
Arsh SiddiquiArsh Siddiqui

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi