"kitni sarkash bhi ho sar-phiri ye havaa rakhnaa raushan diyaa raat jab tak rahe ai mire ham-navaa rakhnaa raushan diyaa raushni kaa vazifa nahin vo chale raasta dekh kar vo to aazaad hai misl-e-mauj-e-sabaa rakhnaa raushan diyaa raat kaisi bhi ho khauf ke chor ki ghaat kaisi bhi ho apni ummid kaa apne vishvaas kaa rakhnaa raushan diyaa shab ki be-ant zulmat se laD sakti hai ek nannhi si lau raah bhule huon ko hai baang-e-daraa rakhnaa raushan diyaa aashnaa ki sadaa ghup-andhere mein ban jaati hai raushni is shab-e-taar mein apni aavaaz kaa rakhnaa raushan diyaa raushni ki shariat mein roz-e-azal se yahi darj hai jot se jot jalti rahegi sadaa rakhnaa raushan diyaa mujh se 'amjad' kahaa jhilmilaate hue akhtar-e-shaam ne us ko aanaa hi hai vo zarur aaegaa rakhnaa raushan diyaa"
kab se ham log is bhanvar mein hain — Amjad Islam Amjad
"kab se ham log is bhanvar mein hain apne ghar mein hain yaa safar mein hain yuun to uDne ko aasmaan hain bahut ham hi aashob-e-baal-o-par mein hain zindagi ke tamaam-tar raste maut hi ke aziim Dar mein hain itne khadshe nahin hain raston mein jis qadar khvaahish-e-safar mein hain siip aur jauhari ke sab rishte sher aur sher ke hunar mein hain saaya-e-raahat-e-shajar se nikal kuchh uDaanein jo baal-o-par mein hain aks be-naqsh ho gae 'amjad' log phir aainon ke Dar mein hain"
کب سے ہم لوگ اس بھنور میں ہیں اپنے گھر میں ہیں یا سفر میں ہیں یوں تو اڑنے کو آسماں ہیں بہت ہم ہی آشوب بال و پر میں ہیں زندگی کے تمام تر رستے موت ہی کے عظیم ڈر میں ہیں اتنے خدشے نہیں ہیں رستوں میں جس قدر خواہش سفر میں ہیں سیپ اور جوہری کے سب رشتے شعر اور شعر کے ہنر میں ہیں سایۂ راحت شجر سے نکل کچھ اڑانیں جو بال و پر میں ہیں عکس بے نقش ہو گئے امجدؔ لوگ پھر آئنوں کے ڈر میں ہیں
कब से हम लोग इस भँवर में हैं अपने घर में हैं या सफ़र में हैं यूँ तो उड़ने को आसमाँ हैं बहुत हम ही आशोब-ए-बाल-ओ-पर में हैं ज़िंदगी के तमाम-तर रस्ते मौत ही के अज़ीम डर में हैं इतने ख़दशे नहीं हैं रस्तों में जिस क़दर ख़्वाहिश-ए-सफ़र में हैं सीप और जौहरी के सब रिश्ते शे'र और शे'र के हुनर में हैं साया-ए-राहत-ए-शजर से निकल कुछ उड़ानें जो बाल-ओ-पर में हैं अक्स बे-नक़्श हो गए 'अमजद' लोग फिर आइनों के डर में हैं

More by Amjad Islam Amjad
View all →"havaa hi lau ko ghaTaati vahi baDhaati hai ye kis gumaan mein duniyaa diye jalaati hai bhaTakne vaalon ko kyaa farq is se paDtaa hai safar mein kaun saDak kis taraf ko jaati hai ajiib khauf kaa gumbad hai mere chaar-taraf miri sadaa mire kaanon mein lauT aati hai vo jis bhi raah se guzre jahaan qayaam kare zamin vahaan ki sitaaron se bharti jaati hai ye zindagi bhi kahin ho na shahr-zaad kaa ruup shabaana roz kahaani nai sunaati hai"
"auron kaa thaa bayaan to mauj sadaa rahe khud umr bhar asir-e-lab-e-muddaaa rahe misl-e-habaab bahr-e-gham-e-haadsaat mein ham zer-e-baar-e-minnat-e-aab-o-havaa rahe ham us se apni baat kaa maangein agar javaab lahron kaa pech-o-kham vo khaDaa dekhtaa rahe aayaa to apni aankh bhi apni na ban saki ham sochte the us se kabhi saamnaa rahe gulshan mein the to raunaq-e-rang-e-chaman bane jangal mein ham amaanat-e-baad-e-sabaa rahe surkhi bane to khun-e-shahidaan kaa rang the raushan hue to mashal-e-raah-e-baqaa rahe 'amjad' dar-e-nigaar pe dastak hi dijiye is be-karaan sukut mein kuchh ghalghala rahe"
"dar-e-kaaenaat jo vaa kare usi aagahi ki talaash hai mujhe raushni ki talaash thi mujhe raushni ki talaash hai gham-e-zindagi ke fishaar mein tiri aarzu ke ghubaar mein isi be-hisi ke hisaar mein mujhe zindagi ki talaash hai ye jo sarsari si nashaat hai ye to chand lamhon ki baat hai miri ruuh tak jo utar sake mujhe us khushi ki talaash hai ye jo aag si hai dabi dabi nahin dosto mire kaam ki vo jo ek aan mein phunk de usi shoalagi ki talaash hai ye jo saakhta se hain qahqahe mire dil ko lagte hain bojh se vo jo apne aap mein mast hon mujhe us hansi ki talaash hai ye jo mel-jol ki baat hai ye jo majlisi si hayaat hai mujhe us se koi gharaz nahin mujhe dosti ki talaash hai"
"tashhir apne dard ki har su karaaiye ji chaahtaa hai minnat-e-tiflaan uThaaiye khushbu kaa haath thaam ke kiije talaash-e-rang paanv ke naqsh dekh ke rasta banaaiye phir aaj pattharon se mulaaqaat kijiye phir aaj sath-e-aab pe chehre banaaiye har inkishaaf dard ke parde mein aaegaa gar ho sake to khud se bhi khud ko chhupaae phulon kaa raasta nahin yaaro miraa safar paanv aziiz hain to abhi luuT jaaiye kab tak hinaa ke naam pe dete rahein lahu kab tak nigaar-e-dard ko dulhan banaaiye 'amjad' mataa-e-umr zaraa dekh-bhaal ke aisaa na ho ki baad mein aansu bahaaiye"
"paspaa hui sipaah to parcham bhi ham hi the hairat ki baat ye hai ki barham bhi ham hi the girne lage jo suukh ke patte to ye khulaa gulshan the ham jo aap to mausam bhi ham hi the ham hi the tere vasl se mahrum umr bhar lekin tere jamaal ke mahram bhi ham hi the manzil ki be-rukhi ke gila-mand the hamin har raaste mein sang-e-mujassam bhi ham hi the apni hi aastin mein thaa khanjar chhupaa huaa 'amjad' har ek zakhm kaa marham bhi ham hi the"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"