SHAWORDS

kohna aqdaar se koi haT jaae to — Faisal Tufail

HomeFaisal TufailGhazal
"kohna aqdaar se koi haT jaae to pairahan jo puraanaa hai phaT jaae to jis nigah ne sanvarnaa sikhaayaa use vo nigah us ke chehre se haT jaae to kuchh lachak raushni ke liye bhi rakho raat apne hi mauqif pe DaT jaae to kyaa abhi bhi qayaamat nahin aaegi jab zamin apne mehvar se haT jaae to muntazir teri aamad kaa ab bhi huun main gar charaaghon ki lau hi simaT jaae to phir khayaanat kaa ehsaas baDhne lage mujh mein meri kami thoDi ghaT jaae to"
Urdu

کہنہ اقدار سے کوئی ہٹ جائے تو پیرہن جو پرانا ہے پھٹ جائے تو جس نگہ نے سنورنا سکھایا اسے وہ نگہ اس کے چہرے سے ہٹ جائے تو کچھ لچک روشنی کے لیے بھی رکھو رات اپنے ہی موقف پہ ڈٹ جائے تو کیا ابھی بھی قیامت نہیں آئے گی جب زمیں اپنے محور سے ہٹ جائے تو منتظر تیری آمد کا اب بھی ہوں میں گر چراغوں کی لو ہی سمٹ جائے تو پھر خیانت کا احساس بڑھنے لگے مجھ میں میری کمی تھوڑی گھٹ جائے تو

Hindi

कोहना अक़दार से कोई हट जाए तो पैरहन जो पुराना है फट जाए तो जिस निगह ने सँवरना सिखाया उसे वो निगह उस के चेहरे से हट जाए तो कुछ लचक रौशनी के लिए भी रखो रात अपने ही मौक़िफ़ पे डट जाए तो क्या अभी भी क़यामत नहीं आएगी जब ज़मीं अपने महवर से हट जाए तो मुंतज़िर तेरी आमद का अब भी हूँ मैं गर चराग़ों की लौ ही सिमट जाए तो फिर ख़यानत का एहसास बढ़ने लगे मुझ में मेरी कमी थोड़ी घट जाए तो

kohna aqdār se koī haT jaa.e to
Faisal Tufail
Faisal Tufail
Faisal Tufail
poet13 quotes

More by Faisal Tufail

View all →
Quote
"ye koi baagh nahin phuul khilaae jaaein dasht mein aae hain to khaak uDaae jaaein sab biThaate hain hamein mansab-o-masnad pe magar ham ye chaahein ki tire saath biThaae jaaein ungliyaan kaan mein Thunse hue phirte hain sabhi aap aavaaz lagaate hain lagaae jaaein bas isi shart pe aankhein tumhein de saktaa huun in ko dekhe hue manzar na dikhaae jaaein inhin yaadon ke sahaare hi tiraa hijr kaTe ye parinde miri chhat se na uDaae jaaein aasmaan chhune kaa haq aap kaa taslim hamein kuchh ta'alluq to zamin se bhi nibhaae jaaein"
Faisal TufailFaisal Tufail
Quote
"zabaan se kuchh na kahaa an-kahi ne saath diyaa kali se milte hue bekali ne saath diyaa ye baat sunte hi aansu nikal paDe the mire mileinge phir se agar zindagi ne saath diyaa udaas shaam akele main jheltaa kaise tumhaari yaad thi aur baansuri ne saath diyaa guzarnaa jaan se aasaan to nahin thaa magar bhalaa ho yaar jo is be-dili ne saath diyaa safar to khair safar thaa guzar hi jaanaa thaa jo tum na aae to ik ajnabi ne saath diyaa vo mujh ko chhoD ke jaataa to mar na jaataa main chalaa gayaa hai magar phir usi ne saath diyaa tumhein ye kis ne kahaa hai diyaa diye se jale main jal rahaa thaa to meraa kisi ne saath diyaa main nasl-e-tirgi ke vaar sah rahaa thaa bahut phir ik charaagh jani raushni ne saath diyaa"
Faisal TufailFaisal Tufail
Quote
"ik baar jo milaa thaa to khoyaa nahin gayaa is tarh vo gayaa hai ki goyaa nahin gayaa kal raat teri yaad thi kamre mein yaa ki tu is darja raushni thi ki soyaa nahin gayaa mujh ko ye e'tiraaf hai ki naa-tavaan huun main mujh se miraa vujud bhi Dhoyaa nahin gayaa aansu Thahar gae hain mire us ke gaal par shabnam se is gulaab ko dhoyaa nahin gayaa phir main ne qahqahe kaa sahaaraa liyaa hai aaj dukh is qadar ziyaada thaa royaa nahin gayaa vo lutf-e-'ishq ho ki sitam-haa-e-rozgaar mujh ko kisi laDi mein piroyaa nahin gayaa phir kis samar ki tum ho tamanna liye hue gar khud ko bhi zamin mein boyaa nahin gayaa"
Faisal TufailFaisal Tufail
Quote
"khaamoshi tiri chikh se ye bhed khulaa hai sannaaTe se bhi lipTi hui koi sadaa hai ai zauq-e-nazar dekh tire saamne kyaa hai kohna hi sahi aankh pe manzar to nayaa hai vo chaand na niklaa to sitaare bhi the gum-sum suraj bhi bahut der se bedaar huaa hai chal tujh ko liye jaataa huun dikhlaane samundar dariyaa miri kashti mein jo tu baiTh gayaa hai vaajib hai ise chuum ke aankhon se lagaaun ik harf jo tasbih-e-mohabbat se giraa hai manzil se kabhi meri shanaasaai nahin thi rasta hi miraa yaar thaa jo ruuTh gayaa hai charchaa hai bahut shahr mein jis mauj-e-numu kaa vo khvaab miri aankh se hi Tapkaa huaa hai ai surat-e-mahtaab tiraa haath bhi aakhir lahron ki ravaani mein kahin chhuT gayaa hai"
Faisal TufailFaisal Tufail

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri