"havaadis ki maujein kabhi tez dhaare safina lage kis tarah us kinaare guzaare hain un se bichhaD kar jo lamhe khudaaraa na puchho vo kyunkar guzaare mohabbat ki baazi hai kitni anokhi na ham un se jiite na vo ham se haare sar-e-chashm rahte hain ashkon ke jalve diye jis tarah hon bhanvar ke kinaare karam hogaa kuchh to 'ataa kijiyegaa khaDe hain kai log daaman pasaare sanbhal kar 'adib' un se aankhein milaao jalaate hain un ki nazar ke sharaare"
mere sukhan ko dard kaa uslub mil gayaa — Mohammad Abdul Qadir Adeeb
"mere sukhan ko dard kaa uslub mil gayaa yaa'ni ghazal ko lahja-e-matlub mil gayaa saaz-e-ghazal ko husn-e-ghazal ki talaash thi saaz-e-ghazal ko naghma-e-marghub mil gayaa vo shakhs kyon na khuld-e-barin se ho be-niyaaz qismat se jis ko aap saa mahbub mil gayaa josh-e-fanaa kaa zauq chhupaae na chhup sakaa le ai salib ab tiraa maslub mil gayaa har ek ko talaash yahaan khub-tar ki hai main khush-nasib huun ki bahut khuub mil gayaa duniyaa mein aur phir mujhe kyaa chaahiye 'adib' thaa jo bhi mere naam se mansub mil gayaa"
میرے سخن کو درد کا اسلوب مل گیا یعنی غزل کو لہجۂ مطلوب مل گیا ساز غزل کو حسن غزل کی تلاش تھی ساز غزل کو نغمۂ مرغوب مل گیا وہ شخص کیوں نہ خلد بریں سے ہو بے نیاز قسمت سے جس کو آپ سا محبوب مل گیا جوش فنا کا ذوق چھپائے نہ چھپ سکا لے اے صلیب اب ترا مصلوب مل گیا ہر ایک کو تلاش یہاں خوب تر کی ہے میں خوش نصیب ہوں کہ بہت خوب مل گیا دنیا میں اور پھر مجھے کیا چاہیے ادیبؔ تھا جو بھی میرے نام سے منسوب مل گیا
मेरे सुख़न को दर्द का उस्लूब मिल गया या'नी ग़ज़ल को लहजा-ए-मतलूब मिल गया साज़-ए-ग़ज़ल को हुस्न-ए-ग़ज़ल की तलाश थी साज़-ए-ग़ज़ल को नग़्मा-ए-मर्ग़ूब मिल गया वो शख़्स क्यों न ख़ुल्द-ए-बरीं से हो बे-नियाज़ क़िस्मत से जिस को आप सा महबूब मिल गया जोश-ए-फ़ना का ज़ौक़ छुपाए न छुप सका ले ऐ सलीब अब तिरा मस्लूब मिल गया हर एक को तलाश यहाँ ख़ूब-तर की है मैं ख़ुश-नसीब हूँ कि बहुत ख़ूब मिल गया दुनिया में और फिर मुझे क्या चाहिए 'अदीब' था जो भी मेरे नाम से मंसूब मिल गया

More by Mohammad Abdul Qadir Adeeb
View all →"mujh pe kaisaa ye muqaddar kaa karam hai dekho subh-e-ummid bhi ab shaam-e-alam hai dekho raah kaa khauf na andesha-e-gumraahi hai rahnumaa naqsh-e-kaf-e-paa-e-sanam hai dekho vo miraa haal jo puchhein to bataanaa un se dard pahlu mein ziyaada hai na kam hai dekho kahin aisaa to nahin ham unhein yaad aate hain dil bhi hairaan hai aur aankh bhi nam hai dekho jab se us dar pe jhukaai hai jabin ham ne 'adib' khvaahish-e-dair na armaan-e-haram hai dekho"
"hai vaqt kaa payaam zamaana kharaab hai aur is mein kyaa kalaam zamaana kharaab hai manzil na hai maqaam zamaana kharaab hai be-rah-ravi hai 'aam zamaana kharaab hai sab apni apni aag mein jalte hain raat din qaazi hon yaa imaam zamaana kharaab hai suraj ke baavajud andheraa hai har taraf kaisaa hai ye nizaam zamaana kharaab hai hansne ke din 'adib' palaT kar na aaeinge ronaa hai subh-o-shaam zamaana kharaab hai"
"lag gai aag tabassum ke sharar hone tak dil jigar daagh bane chashm ke tar hone tak zulmat-e-shab mein harifon se yahi kahnaa thaa na sahar hogi kabhi khun-e-jigar hone tak vaqt ne saamne divaar khaDi kar di hai kyon na khaamosh rahe 'ishq sahar hone tak bazm-e-jaanaan kaa sitam bazm-e-harifaan kaa khatar jaaein to jaaein kahaan 'umr basar hone tak lafz ke shishagaro zeb nahin sang-e-anaa guftugu narm rahe khatm-e-safar hone tak shauq-e-didaar uThaa degaa hijaabaat-e-nazar diid hoti hi nahin husn-e-nazar hone tak khinch laai hai kahaan ham ko tiri yaad 'adib' luT gae raah mein ham tujh ko khabar hone tak"
"udaas udaas hai baad-e-sahar nahin maa'lum kahaan kahaan se huaa hai guzar nahin maa'lum na rakh sakaa sar-e-mahfil vo aabru kaa bharam ki paasdaari-e-'arz-e-hunar nahin maa'lum chalaa thaa dil mein liye ik navaa-e-shauq magar kidhar safar hai kidhar ham-safar nahin maa'lum machi hai dhuum mire shahr se nikalne ki kahaan se nashr hui ye khabar nahin maa'lum hujum-e-gham ne sanvaaraa hai shab ki dulhan ko ki kis tarah se hui shab basar nahin maa'lum jahaan-jahaan vo mile aankh un ki bhar aai ye kyon udhar bhi huaa hai asar nahin maa'lum huaa jo zulf-e-girah-gir kaa asiir 'adib' kahaan hai shaam kahaan hai sahar nahin maa'lum"
"ab tumhaare khvaab bhi mujh ko sazaa dene lage main ne kyaa chaahaa thaa mujh ko kyaa sila dene lage aahaTein thiin narm lekin apni aankhein khul gaiin jab nasim-e-subh ko ghunche sadaa dene lage lamha lamha mujh ko samjhaate rahe jo raat bhar subh ghar ke baam-o-dar un ko du'aa dene lage lijiye barq-e-tabassum kaa asar hone lagaa phuul kyaa patthar bhi apne gham bhulaa dene lage kyaa nahin hai aaj bhi lafzon ke shahron mein 'adib' jab bhi guzraa vo mujhe tohfa nayaa dene lage"
More on Dard
View all →"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
"kyaa manzil-e-gham simaT gai hai ik aah mein raah kaT gai hai phir saamne hai pahaaD si raat phir shaam se niind uchaT gai hai pahlu mein ye kaisaa dard uThaa hai ye kaun si raah kaT gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palaT palaT gai hai uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchhaa kyaa hijr ki raat kaT gai hai phir 'saif' havaa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqaab ulaT gai hai"
"haath mein gar asaa nahin hotaa bahr mein raasta nahin hotaa niyyatein paak agar nahin hon to koi sajda adaa nahin hotaa chaar nazrein agar nahin hotin dard-e-dil yuun baDhaa nahin hotaa haar jaataa agar main ye baazi yaar mujh se khafaa nahin hotaa tum gar apnaa ziyaan nahin karte dusron kaa bhalaa nahin hotaa ishq ki aag gar nahin lagti is qadar dil jalaa nahin hotaa ham sanvarne ko bhi taras jaate ru-ba-ru aaina nahin hotaa bech dete zamir apnaa jo zulm mujh par ravaa nahin hotaa tum adan mein hi rahte ai 'saarim' tum se gar vo khafaa nahin hotaa"
"qismat se jis kisi ko tiraa aastaan mile us kaa mizaaj farsh-e-zamin par kahaan mile har ek ko ye rutba-e-aali kahaan mile vo khush-nasib hai jise dard-e-nihaan mile sahbaa-e-ishq maarifat-e-haq mile mujhe phir kuchh yahaan mile na mujhe kuchh vahaan mile tufaan ki zad pe rakkhi hui shama ki tarah ham log be-amaan hain hamein bhi amaan mile maa'lum ye huaa ki tiri anjuman thi vo ahl-e-zabaan bhi ham ko jahaan be-zabaan mile naadaan hisaar-e-zaat se baahar nikal ke dekh gum-karda kaaenaat kaa shaayad nishaan mile 'hamza' bhaTak rahe hain bhalaa kis dayaar mein chaliye vahaan zamin se jahaan aasmaan mile"