SHAWORDS

sochtaa huun khaDaa kinaare par — Altaf Babar

HomeAltaf BabarGhazal
"sochtaa huun khaDaa kinaare par chaand par jaaun yaa sitaare par mujh se aage nikal gae mire log mujh ko ruknaa paDaa ishaare par ai bhanvar sirf ye khayaal rahe ek naav hai tere dhaare par ham ne tufaan kaa raasta rokaa kaaT Daale gae hamaare par bhuuk hai bhiik se nahin miTegi maathaa Teko na us duvaare par khasta divaar teri umr daraaz main chalaa thaa tire sahaare par ik mohabbat pe ik mohabbat ki ik khasaara kiyaa khasaare par naqd-e-jaan jaisi besh-qimat shai ham luTaate rahe udhaare par ek jhonkaa havaa kaa aa niklaa ham ne zulfon ke bal sanvaare par kaisi basti basaai hai tum ne koi suntaa nahin pukaare par koi tasvir ban nahin paai ham ne kaaghaz pe rang utaare par bol saktaa hai sun nahin saktaa khaak ho aise miTTi-gaare par ai khudaa kitnaa be-niyaaz hai tu aadmi tujh pe jaan vaare par aise sach pe hazaar tohmat ho jis ne gardan kaTaai aare par"
Urdu

سوچتا ہوں کھڑا کنارے پر چاند پر جاؤں یا ستارے پر مجھ سے آگے نکل گئے مرے لوگ مجھ کو رکنا پڑا اشارے پر اے بھنور صرف یہ خیال رہے ایک ناؤ ہے تیرے دھارے پر ہم نے طوفاں کا راستہ روکا کاٹ ڈالے گئے ہمارے پر بھوک ہے بھیک سے نہیں مٹے گی ماتھا ٹیکو نہ اس دوارے پر خستہ دیوار تیری عمر دراز میں چلا تھا ترے سہارے پر اک محبت پہ اک محبت کی اک خسارہ کیا خسارے پر نقد جاں جیسی بیش قیمت شے ہم لٹاتے رہے ادھارے پر ایک جھونکا ہوا کا آ نکلا ہم نے زلفوں کے بل سنوارے پر کیسی بستی بسائی ہے تم نے کوئی سنتا نہیں پکارے پر کوئی تصویر بن نہیں پائی ہم نے کاغذ پہ رنگ اتارے پر بول سکتا ہے سن نہیں سکتا خاک ہو ایسے مٹی گارے پر اے خدا کتنا بے نیاز ہے تو آدمی تجھ پہ جان وارے پر ایسے سچ پہ ہزار تہمت ہو جس نے گردن کٹائی آرے پر

Hindi

सोचता हूँ खड़ा किनारे पर चाँद पर जाऊँ या सितारे पर मुझ से आगे निकल गए मिरे लोग मुझ को रुकना पड़ा इशारे पर ऐ भँवर सिर्फ़ ये ख़याल रहे एक नाव है तेरे धारे पर हम ने तूफ़ाँ का रास्ता रोका काट डाले गए हमारे पर भूक है भीक से नहीं मिटेगी माथा टेको न उस दुवारे पर ख़स्ता दीवार तेरी उम्र दराज़ मैं चला था तिरे सहारे पर इक मोहब्बत पे इक मोहब्बत की इक ख़सारा किया ख़सारे पर नक़्द-ए-जाँ जैसी बेश-क़ीमत शय हम लुटाते रहे उधारे पर एक झोंका हवा का आ निकला हम ने ज़ुल्फ़ों के बल सँवारे पर कैसी बस्ती बसाई है तुम ने कोई सुनता नहीं पुकारे पर कोई तस्वीर बन नहीं पाई हम ने काग़ज़ पे रंग उतारे पर बोल सकता है सुन नहीं सकता ख़ाक हो ऐसे मिट्टी-गारे पर ऐ ख़ुदा कितना बे-नियाज़ है तू आदमी तुझ पे जान वारे पर ऐसे सच पे हज़ार तोहमत हो जिस ने गर्दन कटाई आरे पर

sochtā huuñ khaḌā kināre par
Altaf Babar
Altaf Babar
Altaf Babar
poet11 quotes

More by Altaf Babar

View all →
Quote
"mire ahbaab jo kuchh mere baare mujh se kahte hain main us par kuchh nahin kahtaa to saare mujh se kahte hain zaraa Thahro abhi ummid kaa daaman nahin chhoDo main raushan hone vaalaa huun sitaare mujh se kahte hain vo do aankhein samundar hain tum un mein kyon utarte ho koi puchhe to kahtaa huun kinaare mujh se kahte hain mujhe ik mehrbaan ne khaamushi sunnaa sikhaayaa to jinhein bhi un kaa khaali-pan pukaare mujh se kahte hain mujhe lagtaa hai jaise main koi autaar utraa huun Duboe yaa unhein koi ubhaare mujh se kahte hain hamein bhi to nai tahzib ke pannon mein rahne do patangein kaaghazi kashti ghubaare mujh se kahte hain"
Altaf BabarAltaf Babar
Quote
"ai maqsad-e-hayaat mujhe raasta dikhaa sun le guzaarishaat mujhe raasta dikhaa sadiyon se meri zaat ke andar chhupi hui kahne lagi hai raat mujhe raasta dikhaa dil hai yaa koi sang-sifat aaina hai ye TuuTe ye somnaat mujhe raasta dikhaa dil hai tumhaare khvaab ki aaghosh mein kahin mahv-e-tasavvuraat mujhe raasta dikhaa ab tak to aa gayaa huun sahaaraa liye baghair aage hain mushkilaat mujhe raasta dikhaa bakhsho miri hayaat ko ik raasta nayaa yaa phir nai hayaat mujhe raasta dikhaa 'baabar' ulajh gayaa hai tumhaari talaash mein ai rabb-e-kaainaat mujhe raasta dikhaa"
Altaf BabarAltaf Babar

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar