"sabab-e-tark-e-mulaaqaat koi hai to sahi na sahi baat magar baat koi hai to sahi khu-e-taslim-o-razaa ho ki mohabbat kaa fareb gham-e-jaanaan ki mukaafaat koi hai to sahi kuchh ta'alluq na sahi phir bhi ba-majburi-e-shauq maail-e-pursish-e-haalaat koi hai to sahi munfa'il apni jafaaon pe koi hai shaayad chashm pur-nam hai nai baat koi hai to sahi haae vo be-rukhi-e-husn ki jis mein pinhaan pahlu-e-husn-e-muraa’aat koi hai to sahi rukh-e-raushan se numaayaan hain sahar ke aasaar shaam-e-gesu mein nihaan raat koi hai to sahi pir-e-mai-khaana kahin hazrat-e-'akhtar' to nahin dekhnaa rind-e-kharaabaat koi hai to sahi"
vo kyaa gae payaam-e-safar de gae mujhe — Aleem Akhtar Muzaffarnagri
"vo kyaa gae payaam-e-safar de gae mujhe ik jazba-e-junun-e-asar de gae mujhe har samt dekhti hai jo un ke jamaal ko vo ik nigaah-e-jalva-nagar de gae mujhe har-chand karb-e-marg hai mahsus har nafas lutf-e-hayaat-e-ishq magar de gae mujhe tasvir-e-huzn-o-yaas banaa kar chale gae lab-haa-e-khushk o dida-e-tar de gae mujhe bedaar kar gae sahar-o-shaam-e-zindagi aah-o-fughaan-e-shaam-o-sahar de gae mujhe jamti nahin nigaah kisi chiiz par bhi ab ik khiragi-e-taab-e-nazar de gae mujhe arz-e-hadis-e-shauq pe sharmaa ke rah gae kitnaa hasin javaab magar de gae mujhe mere sukun-e-qalb ko le kar chale gae aur iztiraab-e-dard-e-jigar de gae mujhe mahrum-e-shash-jahaat nigaahon ko kar gae bas ik nigaah-e-jaanib-e-dar de gae mujhe 'akhtar' vo aae aur chale bhi gae magar ik lutf-e-iztiraab-e-asar de gae mujhe"
وہ کیا گئے پیام سفر دے گئے مجھے اک جذبۂ جنون اثر دے گئے مجھے ہر سمت دیکھتی ہے جو ان کے جمال کو وہ اک نگاہ جلوہ نگر دے گئے مجھے ہر چند کرب مرگ ہے محسوس ہر نفس لطف حیات عشق مگر دے گئے مجھے تصویر حزن و یاس بنا کر چلے گئے لب ہائے خشک و دیدۂ تر دے گئے مجھے بیدار کر گئے سحر و شام زندگی آہ و فغان شام و سحر دے گئے مجھے جمتی نہیں نگاہ کسی چیز پر بھی اب اک خیرگئ تاب نظر دے گئے مجھے عرض حدیث شوق پہ شرما کے رہ گئے کتنا حسیں جواب مگر دے گئے مجھے میرے سکون قلب کو لے کر چلے گئے اور اضطراب درد جگر دے گئے مجھے محروم شش جہات نگاہوں کو کر گئے بس اک نگاہ جانب در دے گئے مجھے اخترؔ وہ آئے اور چلے بھی گئے مگر اک لطف اضطراب اثر دے گئے مجھے
वो क्या गए पयाम-ए-सफ़र दे गए मुझे इक जज़्बा-ए-जुनून-ए-असर दे गए मुझे हर सम्त देखती है जो उन के जमाल को वो इक निगाह-ए-जल्वा-नगर दे गए मुझे हर-चंद कर्ब-ए-मर्ग है महसूस हर नफ़स लुत्फ़-ए-हयात-ए-इश्क़ मगर दे गए मुझे तस्वीर-ए-हुज़्न-ओ-यास बना कर चले गए लब-हा-ए-ख़ुश्क ओ दीदा-ए-तर दे गए मुझे बेदार कर गए सहर-ओ-शाम-ए-ज़िंदगी आह-ओ-फ़ुग़ान-ए-शाम-ओ-सहर दे गए मुझे जमती नहीं निगाह किसी चीज़ पर भी अब इक ख़ीरगी-ए-ताब-ए-नज़र दे गए मुझे अर्ज़-ए-हदीस-ए-शौक़ पे शरमा के रह गए कितना हसीं जवाब मगर दे गए मुझे मेरे सुकून-ए-क़ल्ब को ले कर चले गए और इज़्तिराब-ए-दर्द-ए-जिगर दे गए मुझे महरूम-ए-शश-जहात निगाहों को कर गए बस इक निगाह-ए-जानिब-ए-दर दे गए मुझे 'अख़्तर' वो आए और चले भी गए मगर इक लुत्फ़-ए-इज़्तिराब-ए-असर दे गए मुझे
More by Aleem Akhtar Muzaffarnagri
View all →"zindagi manzil-e-mauhum ko paane ki lagan maut kahte hain jise jehd-e-musalsal ki thakan kyaa hai ye kaifiyat-e-mausam-e-gul-pairaahan na kahin baad-e-bahaari na kahin bu-e-sukhan yuun farozaan nazar aati hai mohabbat ki kiran jaise ik ghor andhere mein charaagh-e-raushan ham jo aae hain gulistaan se jhaTak kar daaman kyaa pareshaan nazar aati hai nasim-e-gulshan jism-e-aadam pe hai zartaar libaas-e-ikhlaas aadmiyyat hai magar laasha-e-be-gor-o-kafan ab mire naqsh-e-kaf-e-paa hain nishaan-e-manzil kaam kuchh aa hi gayaa shauq kaa divaana-pan khalvat-e-dil mein ab apnaa bhi guzar mushkil hai Daal di tere tasavvur ne ye kaisi chilman kyaa kisi aarzu-e-shauq ne dam toD diyaa aaj mahsus-e-rag-e-jaan hai jo halki si chubhan nigah-e-dost ki begaana-ravi ke sadqe in dinon meri vafaa ko hai talaash-e-dushman ham saa barbaad-e-bahaaraan bhi na hogaa koi na koi shaakh-e-nasheman na qafas hai na chaman kyaa tamaashaa-e-nazar hain ye tere divaane kabhi namnaak-nigaahi kabhi abru pe shikan ham se kuchh rasm-e-ta’alluq hi nahin hai na sahi phir bhi begaana-e-ehsaas-e-ta’alluq to na ban ham ki begaana-e-arbaab-e-jahaan hain 'akhtar' na koi dost zamaane mein na koi dushman"
"dil gudaaz shisha bhi sang bhi hai aahan bhi paikar-e-mohabbat bhi dost bhi hai dushman bhi ham bhare gulistaan se phuul hi nahin laae jab uThe to kaanTon se bhar liye hain daaman bhi gesuon ki chhaaon mein dhuup si hai bhaadon ki zulf ki ghaTaaon mein jhumtaa hai saavan bhi justuju-e-be-paayaan kaamgaar-e-manzil hai justuju-e-behad hi raahbar bhi rahzan bhi"
"gham de ke apnaa phir koi bahlaa gayaa hai dil kyaa baat thi ki dil ko jo samjhaa gayaa hai dil baaton mein phir kisi ki miraa aa gayaa hai dil kitnaa baDaa fareb magar khaa gayaa hai dil un ki adaa-e-khaas pe kyaa aa gayaa hai dil khud jalva-e-jamaal ko taDpaa gayaa hai dil khalvat-nashin hai koi ba-sad-husn-e-ehtiyaat yaa shauq-e-aarzu se basaayaa gayaa hai dil ye kyaa maqaam-e-gham hai na jaane ki in dinon aksar tire khayaal se ghabraa gayaa hai dil gham se bhi be-niyaaz khushi se bhi be-niyaaz kyaa kushtagaan-e-gham kaa banaayaa gayaa hai dil ab intihaa-e-dard-e-mohabbat hai zindagi un ke khayaal-e-shauq pe kyaa chhaa gayaa hai dil teri jafaa ne hausla-e-gham baDhaa diyaa zulm-o-sitam se daad-e-vafaa paa gayaa hai dil vo yaad ban gai hai miri gham-gusaar-e-shauq jab bhi gham-e-hayaat se uktaa gayaa hai dil kyon ho gayaa hai 'aalam-e-imkaan udaas udaas 'akhtar' kabhi malul jo paayaa gayaa hai dil"
"dil ko shaaista-e-ehsaas-e-tamannaa na karein aap is andaaz-e-nazar se mujhe dekhaa na karein yak-ba-yak lutf o inaayat kaa iraadaa na karein aap yuun apni jafaaon ko tamaashaa na karein un ko ye fikr hai ab tark-e-taalluq kar ke ki ham ab pursish-e-ahvaal karein yaa na karein haan mire haal pe hanste hain zamaane vaale aap to vaaqif-e-haalaat hain aisaa na karein un ki duz-dida-nigaahi kaa taqaazaa hai ki ab ham kisi aur ko kyaa khud ko bhi dekhaa na karein vo taalluq hai tire gham se ki allaah allaah ham ko haasil ho khushi bhi to gavaaraa na karein is mein poshida hai pindaar-e-mohabbat ki shikast aap mujh se bhi mire haal ko puchhaa na karein na rahaa teri mohabbat se taalluq na sahi nisbat-e-gham se bhi kyaa khud ko pukaaraa na karein main ki khud apni vafaaon pe khajil huun 'akhtar' vo to lekin sitam o jaur se taubaa na karein"
"nigaah-e-lutf kyaa kam ho gai hai mohabbat aur mohkam ho gai hai tabiat kushta-e-gham ho gai hai charaagh-e-bazm-e-maatam ho gai hai maaal-e-zabt-e-paiham ho gai hai masarrat haasil-e-gham ho gai hai tamannaa jab baDhi hai apni had se to maayusi kaa aalam ho gai hai na jaane kyuun adaavat hi adaavat hai sirisht-e-ibn-e-aadam ho gai hai hai mahv-e-raqs har barg-e-chaman par baDi bebaak shabnam ho gai hai hansi honTon par aate aate 'akhtar' payaam-e-girya-e-gham ho gai hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"