SHAWORDS

yunhi milte raho mohabbat se — Rizwan Muqeem

HomeRizwan MuqeemGhazal
"yunhi milte raho mohabbat se kaam ho jaaegaa suhulat se mujh ko par kaaTne paDe apne peD marne lage the hijrat se dard gham hijr aur rusvaai kaam itne aur ek ujrat se muddaton baa'd us ke chehre par ik tabassum hai vo bhi zahmat se aage baDhtaa to jhuuT kahlaataa sach ko rokaa gayaa mahaarat se baarhaa ghar ki hai taraash hui bad-numaa ho gayaa marammat se aaj Thukraa rahi ho jis ko tum kal kharidogi us ko daulat se zindagi ho ki ho tumhaaraa libaas saari girhein khuli hain mehnat se"
Urdu

یوںہی ملتے رہو محبت سے کام ہو جائے گا سہولت سے مجھ کو پر کاٹنے پڑے اپنے پیڑ مرنے لگے تھے ہجرت سے درد غم ہجر اور رسوائی کام اتنے اور ایک اجرت سے مدتوں بعد اس کے چہرے پر اک تبسم ہے وہ بھی زحمت سے آگے بڑھتا تو جھوٹ کہلاتا سچ کو روکا گیا مہارت سے بارہا گھر کی ہے تراش ہوئی بد نما ہو گیا مرمت سے آج ٹھکرا رہی ہو جس کو تم کل خریدو گی اس کو دولت سے زندگی ہو کہ ہو تمہارا لباس ساری گرہیں کھلی ہیں محنت سے

Hindi

यूँही मिलते रहो मोहब्बत से काम हो जाएगा सुहूलत से मुझ को पर काटने पड़े अपने पेड़ मरने लगे थे हिजरत से दर्द ग़म हिज्र और रुस्वाई काम इतने और एक उजरत से मुद्दतों बा'द उस के चेहरे पर इक तबस्सुम है वो भी ज़हमत से आगे बढ़ता तो झूट कहलाता सच को रोका गया महारत से बारहा घर की है तराश हुई बद-नुमा हो गया मरम्मत से आज ठुकरा रही हो जिस को तुम कल ख़रीदोगी उस को दौलत से ज़िंदगी हो कि हो तुम्हारा लिबास सारी गिरहें खुली हैं मेहनत से

yūñhī milte raho mohabbat se
Rizwan Muqeem
Rizwan Muqeem
Rizwan Muqeem
poet5 quotes

More by Rizwan Muqeem

View all →
Quote
"tu guftugu ke shauq mein mujh ko niDhaal kar main kuchh na kah sakun mujhe itne savaal kar dariyaa samoe baiThaa thaa aankhon ke dasht mein jab jab kahaa gayaa mujhe koi kamaal kar haare hue hai shakhs ko head aur tail kyaa kis ko dikhaa rahaa hai tu sikka uchhaal kar juuDaa khulaa hai us kaa qayaamat hai us pe ye angDaai le rahi hai vo baanhein nikaal kar vaafar jo mil gayaa thaa so tu ne kiyaa hai kharch rakkhaa nahin gayaa kahin mujh ko sanbhaal kar mujh ko 'muqim' rahne do pichhe hi ab mire chaltaa nahin huun aage main kuchh dekh-bhaal kar"
Rizwan MuqeemRizwan Muqeem
Quote
"khuub paisa kamaanaa paDtaa hai apnaa sikka jamaanaa paDtaa hai maangaa karte nahin kisi se dil dostaa dil churaanaa paDtaa hai dekhne ko ki kaun hai nazdik kis qadar duur jaanaa paDtaa hai main vo jangal huun jis ki sohbat mein shaakh-dar-shaakh aanaa paDtaa hai khaali bartan kaa shor bhartaa huun khud mein kohraam uThaanaa paDtaa hai rokni paDti hai kabhi hichki haan kabhi muskuraanaa paDtaa hai tere qad ki baraabari ke liye khud ko kitnaa giraanaa paDtaa hai baar-e-digar hai justuju teri shaam ko ghar bhi aanaa paDtaa hai aankhein viraan karnaa paDti hain dasht se phuul laanaa paDtaa hai"
Rizwan MuqeemRizwan Muqeem
Quote
"kis e'tidaal mein hai hulaaraa zamin kaa TuuTe na inhimaak khudaaraa zamin kaa zer-e-zamin mile na mile kis ko kyaa khabar ik TukDaa chaahiye hai hamaaraa zamin kaa vo niist chaahe aur ye maange hai hast ko mumkin kahaan khalaa se guzaaraa zamin kaa aise laTaktaa rahtaa hai sar par har ek vaqt ye aasmaan ho jaise khasaara zamin kaa sayyaargaan na dekh haqaarat se is taraf tujh ko na kar de raakh sharaara zamin kaa saaya bhi jal rahaa hai darakhton ki oT mein is baar bhi na samjhe ishaaraa zamin kaa koi kashish kahin ki mujhe khinchti gai phir haath mein rahaa na kinaaraa zamin kaa ik chaand khaak par hai hamaaraa falak-maqaam ik phuul aasmaan pe hamaaraa zamin kaa baanhon mein dekh charkh-e-kuhan ghumte hue dilchasp ho gayaa hai nazaara zamin kaa aisaa na ho falak ki hatheli se jaa gire gardish mein aaj-kal hai sitaaraa zamin kaa"
Rizwan MuqeemRizwan Muqeem

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar