SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byIjtiba Rizvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"churaane ko churaa laayaa main jalve ru-e-raushan se magar ab bijliyaan lipTi hui hain dil ke daaman se tanavvo kuchh to ho ai bulbul-e-kam-zauq maatam kyaa agar taamir-e-sahraa ho gai takhrib gulshan se mujhe kuchh tajrabe har rang ke jholi mein rakh chalnaa musaafir huun gharaz kyaa hai mujhe sahraa o gulshan se mujhe har kaarvaan se chhuTnaa is bad-gumaani mein ki shaayad raahbar ko rabt-e-pinhaani ho rahzan se mazaaq-e-jazb-e-baatin gum hai ab tazin-e-zaahir mein ye tifl-e-dasht-e-aiman ghaT gayaa tahzib-e-gulshan se"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"hadein phailin nazar ki phir bhi kam-bini nahin jaati ki har surat abhi ek aankh se dekhi nahin jaati zamin-e-dil bahut kuchh narm kar di be-qaraari ne magar ham hain isi ehsaas ki sakhti nahin jaati hayaat-e-jaama-zeb aur nau-ba-nau jaame magar kyaa hai ki is barbaad-saamaan ki tunuk-rakhti nahin jaati tajalli be-naqaab aur kor aankhein kyaa qayaamat hai ki suraj saamne hai aur siyah-bakhti nahin jaati miraa zikr-e-vafaa likh kar moarrikh ye bhi likhtaa hai ye ik rasm-e-kuhan thi ab kahin barti nahin jaati main kyaa munh le ke aauun aap ke aaina-khaane mein ye surat aisi bigDi hai ki pahchaani nahin jaati tasavvur se bhi aage justuju ki raah jaati hai vahaan ki baat lekin phir yahaan laai nahin jaati takalluf-bar-taraf rasm-e-muravvat tah karo 'rizvi' mohabbat aap hoti hai mohabbat ki nahin jaati"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"nahin sahi mire naalon mein kuchh asar na sahi nazar kuchh aap ki bechain hai idhar na sahi ham uljhanon mein paDe aql-e-naa-rasaa le kar vo aish-e-be-khabari khuub thaa khabar na sahi adaa-faroshi-e-baazaar-e-tur aur huzur khabar yahi to hai mashhur mo'atabar na sahi fidaa ho taab-e-basaarat miri basirat par nazar ne chun to liyaa taaqat-e-nazar na sahi pukaarte hain ki guunj is pukaar ki rah jaae duaa duaa to kahi jaaegi asar na sahi hujum-e-be-khabaraan hai bhari to hai mahfil tumhaari bazm mein 'rizvi'-e-baa-khabar na sahi"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"khirad ko khaana-e-dil kaa nigah-baan kar diyaa ham ne ye ghar aabaad hotaa is ko viraan kar diyaa ham ne chhupoge kyaa digar rang-e-shabistaan kar diyaa ham ne ki apne ghar ko phunkaa aur charaaghaan kar diyaa ham ne ghuTe jaate the tum minaa-e-qalb-e-ahl-e-khalvat mein tumhein jaam-e-kaf-e-sahraa-nashinaan kar diyaa ham ne anis-e-khvaajgaan tum the jalis-e-khvaajgaan tum the magar tum ko nasib-e-kam-nasibaan kar diyaa ham ne harim-e-naaz se tum ko churaa laane ke mujrim hain ye sahraa thaa ise bhi ku-e-jaanaan kar diyaa ham ne nazar vaalo zaraa chaak-e-garebaan dekhte jaao ise chaak-e-naqaab-e-ru-e-jaanaan kar diyaa ham ne zamin khaakistar-e-yak shola-o-yam aab-e-yak-girya yahi vo aab-o-gil hai jis ko insaan kar diyaa ham ne jafaa se fitrat-e-aasudgaan taa'mir ki tum ne vafaa ko qismat-e-aashufta-haalaan kar diyaa ham ne mataa'-e-husn mahsusaat mein arzaan hi rah jaati giraan us ko ba-yak takhil-e-yazdaan kar diyaa ham ne khanDar mein maah-e-kaamil kaa sanvarnaa is ko kahte hain tum utre dil mein jab dil ko bayaabaan kar diyaa ham ne amaanat maangti thi ham se saamaan-e-nigah-daari tumhin ko shahr-e-khaamoshi kaa darbaan kar diyaa ham ne"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"ahbaab chhuTe mahbub chhuTe ghar chhuT gayaa dar chhuT gayaa jab dil se tamanna chhuT gai sab rishta naataa TuuT gayaa ai saaqi-e-bazm-e-kaif-e-hayaat ab mujh ko pyaasaa jaane de mai jis mein miri taqdir ki thi vo shisha tujh se TuuT gayaa go shisha-gar-e-qudrat ne bahut TuuTe hue shishe joD diye lekin ye hamaaraa shisha-e-dil joDaa na gayaa yuun TuuT gayaa is saaz pe naghma ab chheDo to naala paidaa hotaa hai maujud hain vo sab taar jo the bas ek nahin hai TuuT gayaa ham rote hain apne pyaaron ko aur fitrat ham se kahti hai ab aur khilaunon se khelo jo TuuT gayaa so TuuT gayaa vo raah mein hai aankhon mein hai dam ai baad-e-sabaa aahista guzar hain taar-e-nafas par hachkole ab TuuT gayaa ab TuuT gayaa kahte ho ki maango jo maango batlaao tumhi ham kyaa maangein chaahaa thaa ki maangein tum se tumhein ye ho na sakaa ji chhuT gayaa haan sun ki tujhe thi ham se gharaz mohtaaj-e-nazar thaa husn tiraa rakkhi rahi shaan-e-istighnaa aakhir ko ye bhaanDaa phuuT gayaa ye dil to vahi dil hai 'rizvi' aabaad bhi thaa viraan bhi hai armaanon ki is basti ko kal ek musaafir luuT gayaa"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"nahin aisaa ki kabhi shauq par-afshaan bhi nahin dil ko thaa naaz ki viraan hai so viraan bhi nahin kyon hain tufaan ki zad mein haram-o-dair-o-kunisht in mazaaron pe to muddat se charaaghaan bhi nahin kis ne is anjuman-e-shauq ko taaraaj kiyaa dil guzargaah-e-khayaalaat-e-pareshaan bhi nahin shauq-e-afsurda kaa mujh se na gila kar ki mujhe eatibaar-e-karam-e-jumbish-e-mizhgaan bhi nahin jalva-aabaad-e-tasavvur ba-adaakaari-e-shauq ab to marhun-e-fusun-saazi-e-jaanaan bhi nahin kaaenaat apni hamein de ke bhi faarigh nahin aap ham to kuchh muddai-e-vusat-e-daamaan bhi nahin kabhi is samt ko bhi bahr-e-tamaashaa niklo dil kaa hairat-kada aisaa koi viraan bhi nahin hairat-aabaad tamaashaa mein na zulmat hai na nuur koi pinhaan bhi nahin hai koi uryaan bhi nahin kab se maikhaane mein 'rizvi' nahin aaya hai nazar is khizaan-dost ko kuchh sharm-e-bahaaraan bhi nahin"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"har mazhab be-ruh jasad hai jazbe ki qallaashi hai raakh ke tuude pujte hain ye kaaba hai vo kaashi hai arsh ki qil-o-qaal suni afsaana-e-vajd-o-haal sunaa zehn ki vo ayyaashi hai aur ruuh ki ye ayyaashi hai dil murda mafluj hain ruhein kaun jale aur kaun jalaae is ThanDe maahaul mein bejaa shauq ki akhgar-paashi hai haal dil-e-aashufta kaa ai dair-o-haram kyaa tum se kahein vahshat har darbaar se hai sahraa ki haazir-baashi hai saane-e-qudrat tere qalam kaa kyaa kahnaa lekin ye bataa naqsh miTaanaa naqsh banaanaa ye kaisi naqqaashi hai amn-o-sukun kaa ye vaqfa marne kaa ifaaqa hai 'rizvi' chehre par tahzib-e-umam ke vaqti ye bashshaashi hai"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"zuhur-e-paikri sahraa mein hai sirf ik nishaan meraa ghubaar-e-kaarvaan huun duur niklaa kaarvaan meraa rasaai marg-e-shauq-uftaadgi nang-e-tan-aasaani balaa ki kashmakash hai aur ghubaar-e-naa-tavaan meraa mujhe ghabraa ke dosh-e-hasti-e-jaaved par pheinkaa koi dam bhi na uTThaa maut se baar-e-giraan meraa mire saaz-e-nafas ki khaamushi par ruuh kahti hai na aai mujh ko niind aur so gayaa afsaana-khvaan meraa kharaabi khanda-zan hai koshish-e-taamir par meri qafas ko toDtaa jaataa hai shauq-e-aashiyaan meraa"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"hosh-o-khirad mein aag lagaa di khirman-e-kaif-o-kam ko jalaayaa shoala bane aur siine se lipTe aap jale aur ham ko jalaayaa jis ko kahein ghar phunk tamaashaa bas vo tamaashaa aap ne dekhaa aap ki bijli khush hai ki us ne musht-e-khas-e-aadam ko jalaayaa ghair ko jhiDki ham pe inaayat ho gai aakhir jaan ko aafat bazm-e-azal mein tum ne bulaa kar kis liye naa-mahram ko jalaayaa zindagi apni yaas-o-tamanna aag pe aag aur sho'le pe shoala dil ko hamaare gham se jalaa kar shoala-rukh se gham ko jalaayaa kaisi jalan thi kaisi jalan hai jal chuke phir bhi jal na chukte kaash koi yuun tum ko jalaae jaise ki tum ne ham ko jalaayaa aag hai bijli aag hain zarre aag hai suraj aag hain taare ham ne na ki thi shokh-nigaahi aap ne kyon aalam ko jalaayaa"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"dil hai aur khud nagri zauq-e-duaa jis ko kahein be-khudi chaahiye ham ko ki khudaa jis ko kahein ham se aabaad hai duniyaa-e-tasavvur to kyaa ki nahin ek vo tasvir khudaa jis ko kahein jurat-e-shauq hai kahte hain mohabbat jis ko usi jurat pe hai israar-e-vafaa jis ko kahein samajh ai dost use zarb-e-nazar ki aavaaz ham kabhi dil ke dhaDakne ki sadaa jis ko kahein qulzum-e-dil na huaa aaina-saamaan ai dost abhi aa jaati hai ik mauj-e-duaa jis ko kahein hai tire kisa-e-pindaar mein aisi koi chiiz dil ki betaab mohabbat kaa sila jis ko kahein"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"chheDaa hi kyon havaa-e-rah-e-ku-e-yaar ne andher kar diyaa miri musht-e-ghubaar ne ik akhgar-e-jamaal farozaan ba-shakl-e-dil pheinkaa idhar bhi husn-e-tajalli-nisaar ne afsurdagi bhi husn hai taabindagi bhi husn ham ko khizaan ne tum ko sanvaaraa bahaar ne is dil ko shauq-e-did mein taDpaa ke kar diyaa kyaa ustuvaar vaada-e-naa-ustuvaar ne jalve ki bhiik de ke vo haTne lage the khud daaman pakaD liyaa nigah-e-e'tibaar ne gesu ghubaar-e-raah-e-tamannaa se aT na jaaein sahraa mein aap nikle hain ham ko pukaarne mujh ko chunaa hai bahr-e-sitam-haa-e-iltifaat chashm-e-jafaa-shiaar-o-vafaa-eatibaar ne bakhshi hain is khudi ko pa-e-imtihaan-e-zarf parvardigaariyaan mire parvardigaar ne kab se kiyaa hai baandh ke ehraam-e-be-khudi meraa tavaaf gardish-e-lail-o-nahaar ne himmat pe meri pyaar se umDaa hai qalb-e-bahr dhoe hain paanv girya-e-abr-e-bahaar ne sahn-e-majaaz mein ba-hazaaraan-hazaar naaz kheli hai mujh se aankh-michauli bahaar ne di hai nazar ko daavat-e-bos-o-mas-o-kanaar kaliyon ke husn-e-paak-e-gunah-intizaar ne chandein hazaar aalam-e-aashuftagi ba-dosh utraa hai naaz khud mire gesu sanvaarne is jaam-e-dil ko apni hatheli pe le ke khud chhalkaa diyaa hai saaqi-e-kausar-nisaar ne rashk-e-dui se vusat-e-aaghosh kar ke tang bhinchaa hai mujh ko vahdat-e-kasrat-shikaar ne jalvon ne raqs-e-naaz kiyaa hai mire huzur parde uThaa uThaa diye hain parda-daar ne aaghosh-e-chun-o-chand se jhunjhlaa ke ek baar chhinaa mujhe hameshgi-e-be-kanaar ne main kaafir-e-majaaz-parast-e-haq-aashnaa samjhaa kahaan kahaan se sadaa di hai yaar ne divaana-vaar kufr ko imaan kiye hue dauDaa to saath chhoD diyaa eatibaar ne"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"ye nahin hai ki mujhe teri nazar yaad nahin us ne kyaa mujh se kahaa thaa ye magar yaad nahin be-niyaazi ye nahin gum-shudagi hai ai dost ki mujhe rabt-e-qadim-e-dar-o-sar yaad nahin vahi shor-e-arini aur vahi bebaaki-e-shauq ki mohabbat ko agar aur magar yaad nahin dil-e-khud-kaam hai aasuda-e-aish-e-manzil use dil-sozi-e-yaaraan-e-safar yaad nahin haae ye gum-shudagi ruuh ki taqdir mein thi aaj puchho ki kahaan ghar hai to ghar yaad nahin didani hai ye saraasimgi-e-dida-e-shauq ki tire dar pe khaDe hain tiraa dar yaad nahin zindagi kyaa hai faqat ek junun-e-raftaar ki safar mein hain magar vajh-e-safar yaad nahin phir vahi shauq ki bebaak-khiraami 'rizvi' sakhtiyaan raah ki ai mard-e-safar yaad nahin"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"do din ki hansi do din ki khushi anjaam-e-amal ronaa hi paDaa ik umr ganvaai jis ke liye ik roz use khonaa hi paDaa ham aur alaaeq se chhuTein mumkin nahin jab tak ham ham hain dariyaa ko ba-in aazaad-ravi zanjir-ba-paa honaa hi paDaa baazaar mein aa kar naadaan dil manzar ke khilaunon par machlaa aur pir-e-khird ko kaandhe par ambaar-e-nazar Dhonaa hi paDaa kyaa jaaniye aakhir kyon itni aazurda rahi honTon se hansi qismat pe bhi hansnaa jab chaahaa aai na hansi ronaa hi paDaa ham tukhm-e-mohabbat jannat se siine mein churaa kar le aae is ret mein kyaa ugtaa vo bhalaa haan laae the bonaa hi paDaa bedaar-dili ke mansube ham kyaa kyaa baandh ke aae the duniyaa ne thapak kar lori di niind aa hi gai sonaa hi paDaa"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"ghup andheraa hai kyaa qayaamat hai ik tabassum ki phir zarurat hai sar ko siine pe rakh ke sun liije aap se dil ko kuchh shikaayat hai naasehon se hai mai-kashi kaa farogh shauq parvarda-e-malaamat hai dil ki dhaDkan jo hai madaar-e-hayaat ik zaraa tez ho to aafat hai aag paani se bhaap uThti rahi ham samajhte rahe mohabbat hai dahr mein ham kamaal-e-sanat hain aur baaqi fareb-e-sanat hai zulf bikhraa do donon aalam par ki andhere ki phir zarurat hai abhi jiine kaa hukm hai 'rizvi' aur kyaa jaane kyaa musibat hai"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"hazaar aarzu ho tum yaqin ho tum gumaan ho tum qafas-nasib ruuh ki umid-e-aashiyaan ho tum dilon ko aa ke dekh lo yaqin nahin gumaan ho tum lab-e-fasaana-saaz par baraae-daastaan ho tum ghubaar ban ke aarzu ravaan-davaan hai ku-baku kahin se kuchh sadaa to do kahaan ho tum kahaan ho tum rah-e-daraaz-e-zindagi mein rahravon ki khair ho ki naaqa bad-qadam hai aur sharir saarbaan ho tum jabin ne khinch to liyaa tumhein zamir-e-sang se hujum-e-sajda ki qasam magar abhi nihaan ho tum zabaan gul-o-giyaah ki hai shikva-sanj-e-be-dili yahi tumhaaraa baagh hai isi ke baaghbaan ho tum ba-har-fusun tumhein bas ik mazaaq-e-daastaan-giri kahin dil-e-jaras ho tum kahin lab-e-azaan ho tum na khatt-e-jaada-e-qadam na shama-e-manzil-e-nazar abhi to kaarvaan ko ek hu-e-kaarvaan ho tum"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"ochhi thi nazar hi jab to bhalaa armaan-e-tamaashaa kyaa karte zarre ke jigar tak jaa na sake ham himmat-e-sahraa kyaa karte raat us ne naqaab ulTi jo zaraa sab band taayyun TuuT gae vo vo na rahaa ham ham na rahe ai shauq-e-tamaashaa kyaa karte be-kaif hamaaraa jiinaa thaa be-mai kaa saaghar piinaa thaa us dil mein tamannaa hi na ugi ham tark-e-tamannaa kyaa karte tum ne hi chaman ko luuT liyaa tum ne hi nasheman phunk diyaa ham shukr ki himmat kar na sake sharmaa gae shikva kiyaa karte"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi
Quote
"hosh-o-khirad mein aag lagaa di khirman-e-kaif-o-kam ko jalaayaa shoala bane aur siine se lipTe aap jale aur ham ko jalaayaa jis ko kahein ghar-phunk tamaashaa bas vo tamaashaa aap ne dekhaa aap ki bijli khush hai ki us ne musht-e-khas-e-aadam ko jalaayaa ghair ko jhiDki ham pe inaayat ho gai aakhir jaan ko aafat bazm-e-azal mein tum ne bulaa kar kis liye naa-mahram ko jalaayaa zindagi apni yaas-o-tamanna aag pe aag aur shoale pe shoala dil ko hamaare gham se jalaa kar shoala-e-rukh se gham ko jalaayaa kaisi jalan thi kaisi jalan hai jal chuke phir bhi jal nahin chukte kaash koi yuun tum ko jalaa de jaise ki tum ne ham ko jalaayaa aag hai bijli aag hain zarre aag hai suraj aag hain taare ham ne na ki thi shokh-nigaahi aap ne kyon aalam ko jalaayaa"
Ijtiba RizviIjtiba Rizvi