SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mire hi dil se tu puchh kitni tiri adaaon mein zindagi hai tiraa sitam bhi karam hai mujh par tiri jafaaon mein zindagi hai jo tere javon se hai farozaan jo teri nikhat se jhumti hai jo tere naghmon se guunj uTThe unhin fazaaon mein zindagi hai inhin se rangin hai bazm-e-hasti inhin se nikhar hai husn-e-duniyaa jo chaahein samjhein jahaan vaale miri khataaon mein zindagi hai khushi mein sar dhunne vaalo sun lo ki kitnaa shirin hai naghma-e-gham jo TuuTe dil se sadaaein uTThi unhin sadaaon mein zindagi hai rachi hai sargoshiyaan si jin mein hamaare raaz-o-niyaaz ki hi jo husn-o-ulfat se hi basi hai unhin havaaon mein zindagi hai ghurur kitnaa bhi tum ko apne ho zehn-o-baazu ki quvvaton par zaraa to be-kas dilon se puchho ki kyaa duaaon mein zindagi hai tiri hasin kaa ho saaz bajtaa ki aabshaaron kaa ho tarannum ho raqs-e-gul yaa navaa-e-bulbul inhin navaaon mein zindagi hai jo be-niyaaz-e-zar-e-zamin hai jo dil ki daulat se hi ghani hai 'habib' in ko samajh na kamtar inhin adaaon mein zindagi hai"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"tiri mohabbat mein gham jo aae to us se baDh kar khushi nahin hai vafaa ki manzil ke khaar mein bhi gulon se kam dil-kashi nahin hai na tujh mein jurat hai rind ki si na tujh mein vusat dil-o-nazar ki aziim shai hai ye rasm-e-rindi ye sirf baada-kashi nahin hai libaas-e-nau mein havas ne aa kar mazaaq-e-husn-o-nazar hain badle vo ishq mein hai na sarfaroshi vo husn mein dilbari nahin hai tujhi se garmi thi mahfilon ki tujhi se thi vo chaman ki sairein nahin vo mahfil mein lutf baaqi gulon ke lab par hansi nahin hai nahin ye mumkin ki us ke dar se tu khaali daaman hi lauT jaae talab hi teri hai khaam ab tak nazar bhi dar par jami nahin hai khirad ki go hain hazaar aankhein hai dil ki sirf ek aankh lekin jo dil ki bujh jaae sham-e-ulfat to phir kahin raushni nahin hai gham-aashnaa teraa dil nahin hai to aae us mein gudaaz kaise jo saaz dil kaa nahin hai TuuTaa to us mein phir naghmagi nahin hai karoge kyaa tum 'habib' aakhir hayaat-e-tul-o-tavil le kar tabassum-e-gul ke ek lamhe mein kyaa koi zindagi nahin hai"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"khamosh nazron se husn-e-butaan ki baat karein na lab pe aai jo us daastaan ki baat karein rah-e-junun mein bhaTakte kahaan kahaan pahunche kahaan kahaan ki sunaaein kahaan ki baat karein jigar ke daagh dikhaane se faaeda kyaa hai abas hai mahz ke zor-e-zamaan ki baat karein na bhuul jaae zamaana vafaa ki qadron ko miTe jo ishq mein un ke nishaan ki baat karein jabin-e-shauq kaa sajda yahaan vahaan kyon ho jahaan ho azmat-e-sar ham vahaan ki baat karein qadam qadam pe guzarte hain imtihaan kitne chalo ki aaj nae imtihaan ki baat karein ye yaad-e-lutf-e-bahaaraan bhi kam nahin hai 'habib' bhari khizaan mein bhi kyaa ham khizaan ki baat karein"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"tumhaari aarzu tum se kahin baDh kar hasin nikli ki duniyaa ki har ik shai se yahi dil ke qarin nikli main samjhaa yaad bhi tark-e-taalluq par to aaegi magar jab dil TaTolaa hai vahin ye jaaguzin nikli abhi kuchh aur bhi khelo mire chaahat bhare dil se abhi bhi zakhm kam kam hain abhi hasrat nahin nikli sar-e-mahfil kiyaa rusvaa mujhe teri mohabbat ne jhuki jo naam par tere vo meri hi jabin nikli nigaahon ne tujhe DhunDaa tujhe dil se pukaaraa hai nazar aai na jo surat vo surat dil-nashin nikli hai do hi din ki umr-e-gul magar zinda-dili dekho tabassum lab pe raqsaan hai fazaa hargiz nahin nikli jahaan par sarhadein dair-o-haram ki khatm hoti hain vahin par nur-e-imaan hai vahin raah-e-yaqin nikli hamaari zindagi dariyaa ki mauj-e-muztarib si hai kahin ubhri kahin machli kahin Duubi kahin nikli uThaa karti hain maujon ki tarah hi hasratein dil mein nai kitni ubhar aaein jo ik hasrat kahin nikli shab-e-furqat 'habib' apnaa na koi kaam kaa niklaa na aansu baa-asar nikle na aah-e-aatishin nikli"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"shikva nahin gila nahin rabt koi baham nahin rasm-e-salaam kyaa jahaan pursish-e-haal-e-gham nahin go ki nahin nigaah mein dil se nahin ho duur tum dida-e-dil ke vaaste faasla besh-o-kam nahin bazm se aap kyaa gae raunaq-e-bazm le gae ab vo surur-e-dil kahaan aap gae to ham nahin aap ki yaad aa gai dil pe khushi si chhaa gai ab mujhe gham se vaasta ab mujhe koi gham nahin pahlaa saa vo karam kahaan lutf ki vo nazar kahaan hai ye sitam ki intihaa koi nayaa sitam nahin us ki nigaah-e-mast kaa ab bhi khumaar hai magar saaqi-e-dil-navaaz kaa pahlaa saa vo karam nahin daaman idhar hai taar taar rukh pe nahin udhar naqaab 'ishq agar hai be-vaqaar husn kaa bhi bharam nahin manzil-e-zindagi na puchh sirf safar hai zindagi paanv uThaa qadam baDhaa hosh sanbhaal tham nahin dekh kar un ke iltifaat rah gai dil ki dil mein baat hosh gayaa jo vo gae aae to dam mein dam nahin minnatein shaikh-o-barhaman kijiye kis liye 'habib' dil hai miri nigaah mein dair nahin haram nahin"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"jab dhun mein apni manzil ki chal paDte hain divaane log kab haail ko ho dariyaa ho kab rok sakein farzaane log chehron par ham ne dekhi hai shaadaab bahaarein go aksar pahlu mein liye phirte hain magar ab bhi kitne viraane log taqsir thi chashm-e-nam ki miri yaa teri nigaah-e-lutf ki thi ab roz banaate chalte hain har baat pe kuchh afsaane log sahbaa mein kahaan vo masti hai jo teri nazar se barasti hai teri aankh ke saaghar chhalkein jab kyon jaaeinge mai-khaane log dard hai sab kaa apnaa apnaa is ko main kaise baanTun duniyaa ki ik rasm nibhaane aae dil bahlaane log pyaar ke sote khushk hue sab aankh kaa paani bhar hi gayaa main kyaa samjhun kaun hai apne kaun yahaan begaane log sham' ek hai meri nazar mein jis se ye dil raushan hai un ki baat alag hai jo har sham' ke hain parvaane log dil ki jis ne baat kahi vo haar gayaa jag ki baazi dil mein kuchh hai lab par kuchh ye karte hain farzaane log is shahr mein ab to 'habib' kahin bhi rasm-e-vafaa kaa naam nahin aao jaa kar vahaan basein ham sab hon jahaan anjaane log"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"mast-e-sharaab-e-naaz par shikve kaa kuchh asar nahin meri khabar ho kyaa unhein apni jinhein khabar nahin gardish-e-rozgaar se khauf mujhe huaa hi kab sail-e-alam se bah sake pahlu mein vo jigar nahin god mein haadsaat ke pal ke hi main javaan huaa vo nahin zindagi qubul jis mein koi khatar nahin manzil-e-ishq mein mujhe aae to sakht marhale baDhnaa nahin hai sahl agar ruknaa bhi sahl-tar nahin main huun yahaan bhi be-qaraar thaa main vahaan bhi be-qaraar dil ki davaa udhar na thi dil ki davaa idhar nahin ghir ke ghaTaa uThi abhi chhaT bhi gai abhi 'habib' meri shab-e-firaaq ki dahr mein kyaa sahar nahin"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"paataa huun sahl ziist ke mushkil safar ko main kyon kar duaa na duun but-e-divaana-gar ko main chhoTi si apni baat to afsaana ban gai jab bazm mein chhupaa na sakaa chashm-e-tar ko main ek ik qadam pe jhuktaa rahaa hai sar-e-niyaaz manzil hi apni samjhaa tiri rahguzar ko main ai saaghar-e-hayaat tiri talkhiyaan qubul saaqi ko saath paaun jo lutf-e-nazar ko main dam bhar rukaa jo ishq ki manzil mein kho gayaa ek ik se puchhtaa huun ki jaaun kidhar ko main phir be-khudi se hosh ki jaanib huun baDh rahaa phir DhunDhtaa huun aaj tumhaari nazar ko main yuun chheDtaa huun piiri mein qisse shabaab ke phir DhunDhtaa huun raakh mein goyaa sharar ko main aae na vo 'habib' na dil ki kali khili phir kyon na shaam-e-gham kahun aisi sahar ko main"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"husn ki ranginiyon kaa zikr har mahfil mein hai shauq kaa tufaan nihaan lekin sukut-e-dil mein hai rahguzar bhi raah-rau bhi raahbar bhi dil sadaa gar kisi manzil mein hai to shauq ki manzil mein hai tum ne dekhaa hai tabassum rang aur raanaaiyaan zakhm bhi dekhaa kabhi jo phuul ke bhi dil mein hai vo bhi majbur-e-vafaa hai main bhi majbur-e-vafaa main bhi kis mushkil mein huun aur vo bhi kis mushkil mein hai vo tabassum vo nigah aur vo adaaein khaas khaas raushni kin kin charaaghon ki na jaane dil mein hai taa-dam-e-aakhir raheinge hasraton ke silsile ek hasrat dil se nikli ek hasrat dil mein hai chal rahaa huun main agarche kaarvaan ke saath ek tanhaai kaa aalam har qadam par dil mein hai rahne do lahron pe meri kashti-e-kuhna 'habib' khugar-e-tufaan ki turbat ik kaf-e-saahil mein hai"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"na kyon apni mohabbat ko hi be-lafz-o-bayaan kar lein khamoshi ko zabaan kar lein nazar ko daastaan kar lein hasin hai husn se tere ye pasti bhi bulandi bhi na kyon phir tujh ko sajde ham jahaan chaahein vahaan kar lein tabassum ko lab-e-laali pe apne kuchh bikharne do dil-e-viraan ko dam bhar ham bhi raqs-e-gulsitaan kar lein yahi mausam yahi din the ki ham se qaafila chhuTaa mohabbat se ham ik baar aur yaad-e-kaarvaan kar lein shikasta par hain pahunche kis tarah ujDe nasheman mein ba-sad-hasrat nigaahein kyon na su-e-aashiyaan kar lein nigaahein dekhein saaqi ki ki us ke haath mein saaghar zaraa zauq-e-nazar kaa aaj ham bhi intihaa kar lein 'habib' is zindagi mein ye badi bad-surati kaisi hasin ham kyon na husn-e-yaar se apnaa jahaan kar lein"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"jab tiri yaad mein machaltaa hai dil sanbhaale nahin sanbhaltaa hai chashm-e-pur-nam pe us ki hairaan huun kaise patthar kaa dil pighaltaa hai us mein aayaa tire shabaab kaa rang tere haathon jo jaam Dhaltaa hai mujh tak aane ki raah raushan hai na jale sham' dil to jaltaa hai kyon patange ko sham' ki hai talaash jalne vaalaa to yuun hi jaltaa hai daur-e-mai par nigaah hai kis ki mast aankhon kaa daur chaltaa hai dil mein mere kahaan andheraa hai aarzu kaa charaagh jaltaa hai tum ko aae ki yaa na aae raas vaqt to karvaTein badaltaa hai silsile aarzu ke chalte hain dil kaa armaan kab nikaltaa hai jaisi teri nazar badalti hai vaise duniyaa kaa rukh badaltaa hai laDkhaDaayaa to paa gayaa manzil jo bhi sambhlaa hai haath maltaa hai jazba-e-dushmani bhi aaj 'habib' pahlu-e-dosti mein paltaa hai"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"hamin pe ranj-o-alam go hazaar guzre hain jahaan se guzre hain ham naghma-baar guzre hain harim-e-naaz se ham hoshiyaar guzre hain magar vo dil se to be-ikhtiyaar guzre hain zabaan zabaan pe hai mehr-o-vafaa ke afsaane jahaan jahaan se tire jaan-nisaar guzre hain nazar nazar ne hai chumaa dilon ne chaahaa hai jo rahguzar se tiri dil-figaar guzre hain khayaal-o-fikr ki vo rif'aton ko chhu ke gae tiri nazar se jo ye khaaksaar guzre hain mahak mahak si gai bu-e-pairahan se fazaa ki aaj idhar se vo jaan-e-bahaar guzre hain ye khun-e-dil hai jo aankhon ki raah bah niklaa kahaa ye kis ne ki ham ashk-baar guzre hain rulaae kyon na hamein ab qafas mein yaad un ki vo raat din jo sar-e-shaakh-saar guzre hain 'habib' meri nigaahon se ho vo laakh nihaan vo mere dil se magar baar baar guzre hain"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"ulfat mein aisi laghzish-e-mastaana chaahiye dar par tire girein to sambhalnaa na chaahiye hai aalam-e-shabaab kisi kaa nigaah mein meri nazar ko aur tamaashaa na chaahiye saaqi ki ik nigaah pe madhosh bazm hai gardish mein ab to saaghar-o-minaa na chaahiye chilman ki tiliyon se ruki kab nigaah-e-shauq us par kabhi bhi bandish-e-bejaa na chaahiye saaqi-gari ki laaj rakho ye to ehtimaam koi bhi rind bazm mein pyaasaa na chaahiye farzaangi se tai hui kab manzil-e-hayaat rakht-e-safar mein ik dil-e-divaana chaahiye har har qadam pe soch ke chalnaa ajiib hai jiine ko kuchh to jurat-e-rindaana chaahiye kam hai 'habib' umr taassuf ke vaaste duniyaan ko baat baat pe jhuTlaanaa chaahiye"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"fikr-e-jahaan se khele zor-e-butaan se khele ham daur-e-zindagi mein har imtihaan se khele phulon se koi khelaa kaliyon se koi uljhaa ham dard-aashnaa the dard-e-nihaan se khele jab bichhDe doston ki yaad i baiThe baiThe ham be-qaraar ho kar ashk-e-ravaan se khele aasaan na thaa guzarnaa kuchh raah-e-aashiqi se hasti miTaai apni apni hi jaan se khele duniyaan ki fikr kaisi uqbaa kaa khauf kaisaa saaqi ki ik nazar par ham do-jahaan se khele go husn-e-dilrubaa hai dil ki khalish balaa hai khele sambhal ke vo jo ishq-e-butaan se khele maazi ne di sadaaein dekhaa magar na muD kar ham yuun 'habib' aksar umr-e-ravaan se khele"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"falak se hue hain ye paiham ishaare zamin se nahin duur ye chaand taare munavvar hui meri shaam-e-gharibaan ki yaad aa rahe hain vatan ke nazaare miri zindagi hai ki hai ek tufaan ye bechain lahrein ye betaab dhaare tabiat ne meri kabhi bhi na DhunDe ye saahil safine vo saae sahaare ulajh saktaa huun ab bhi tufaan se saathi ye kyon meri kashti lagaa di kinaare ye hamvaar-o-yaksaan si kyaa zindagi hai na aandhi na tufaan na shoale sharaare kahin chhin le mujh se piiri na aa kar ye siine ki garmi nazar ke sharaare hai bachchon kaa ik khel ye zindagi bhi hasin jo vo jiite hasin vo jo haare kabhi pyaar karke kabhi pyaar paa kar jiye ham jahaan mein usi ke sahaare ye patte hain larzaan vo gul dam-ba-khud bas ik ham na samjhein khizaan ke ishaare 'habib' aap duniyaan ko pahchaante hain vo ye rang badle ki vo ruup dhaare"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"chashm-e-dil par kaif hai chhaayaa huaa hai tasavvur mein koi aayaa huaa dil mein hai har vaqt ik mahfil jami kyaa huaa gar main kabhi tanhaa huaa tere qaabil to nahin hai ye magar ek dil laayaa huun main TuuTaa huaa zikr phir bichhDe chaman kaa chhiD gayaa mundamil thaa zakhm-e-dil taaza huaa ai chaman se aane vaalo kuchh kaho meraa bhi ik aashiyaan thaa kyaa huaa ab javaani kaa karein kyaa tazkira ek afsaana saa hai bhulaa huaa kar rahaa hai dil kaa maatam kis liye dil agar TuuTaa tiraa achchhaa huaa umr guzri aur ham dekhaa kiye zindagi kaa kaarvaan luuTaa huaa Thokarein khaa khaa ke duniyaa mein 'habib' yaad aayaa har sabaq bhulaa huaa"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"ashk-e-gham aankhon se kitne bah gae jo na kahnaa thaa use ham kah gae chhuT ke tujh se be-sahaare rah gae zindagi ke sab kinaare bah gae koi insaan saa asir-e-gham nahin aai jo sar par hamaare sah gae dekh kar duniyaa ke ye taur-o-tariq kitne naghme ghuT ke dil mein rah gae pahunchaa divaana to manzil par magar in-o-aan mein ham ulajh kar rah gae teraa gham fikr-e-jahaan tanhaaiyaan daagh ham siine pe kyaa kyaa sah gae hijr mein bhi vasl ke aae maze yuun tasavvur mein ham un ke bah gae kis ne paai teri nazron se panaah dil ko apne ab bachaate rah gae ab javaani kaa vahaan josh-o-kharosh ai 'habib' ab hausle sab Dah gae"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"zindagi khvaab-e-hasin kaa naam hai yaa koi khush-rang khaali jaam hai zindagi kaa kyaa hasin anjaam hai dil mein teri yaad lab par naam hai hans liyaa thaa lahje par ham ne kabhi umr bhar ab aansoon se kaam hai mast hai jis ne bhi dekhaa ek baar chashm-e-mai-gun vo chhalaktaa jaam hai ye shikaayat aur ye aah-o-fughaan teraa daavaa-e-mohabbat khaam hai jis ne paai ek bhi teri jhalak vo sadaa khaamosh hai gumnaam hai ruuh par ik kaif ban kar chhaa gai yaad se mahki hui jo shaam hai pyaar ki teri nazar yaa qahr ki aur kyaa ye gardish-e-ayyaam hai jaa-ba-jaa ham khud bhaTakte hi phire varna us ke dar pe faiz-e-aam hai subh dekhi hai 'habib' aur dopahar aai ab to zindagi ki shaam hai"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"be-taalluq zindagi bhi zindagi hoti hai kyaa saaz-e-dil khaamosh ho to naghmagi hoti hai kyaa yak-ba-yak taarik dil mein kyon ujaalaa ho gayaa yaad-e-yaar-e-mehrbaan se raushni hoti hai kyaa dekh kar tujh ko karegaa koi kyon sair-e-chaman gul ke chehre par bhi aisi taazgi hoti hai kyaa jis ne tere husn ki lau dekh li samjhaa hai vo kyon chamakte hain sitaare chaandni hoti hai kyaa mast aankhon ki qasam kyon rah gayaa haathon mein jaam mai-kade mein bin-piye bhi mai-kashi hoti hai kyaa vasl ho yaa hijr ho yaa intizaar-e-yaar ho dard-e-dil mein hasraton mein kuchh kami hoti hai kyaa saadgi mein dilbari hai dilbari mein saadgi koi kyaa samjhe ki un ki saadgi hoti hai kyaa yaad teri aai hai pardes mein kitni 'habib' duri-e-manzil mein koi dilkashi hoti hai kyaa"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"aa gae vo mire khayaalon mein ghanTiyaan baj uThin shivaalon mein raat ko chiir kar kiran ubhri raat ghul mil gai ujaalon mein nigah-e-shokh teri kyaa uTThi bijli kaundhi kamal ke taalon mein ek lamha khushi kaa kyaa kam hai zindagi kab hai maah saalon mein dekh kar pal mein phuul girtaa huaa jhurjhuri si hai husn vaalon mein haasil-e-zist hai vahi lamhein jo ki guzre tire khayaalon mein jab kiyaa zikr be-misaalon kaa zindagi bas gai misaalon mein maaldaaron se kyaa milegaa 'habib' paaegaa kuchh preshaan-haalon mein"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"ulfat ke fasaane maazi ke kuchh bhule kuchh yaad aa bhi gae gham ke baadal dil pe mire kuchh chhaT bhi gae kuchh chhaa bhi gae jab ishq ki vaadi mein ham tum le kar haathon mein haath chale go khaar bhi uljhe daaman mein kuchh lamhe gul barsaa bhi gae jab raaz-e-mohabbat mujh se sunaa kuchh vo bhi pasije dam bhar ko chup rahte hue kuchh kah bhi gae aur kahte hue katraa bhi gae baazi mein mohabbat ki aksar kuchh marhale aise aae hain jab jiit ke bhi ham haar gae aur haar ke ham kuchh paa bhi gae vo aae aur kuchh haal na puchhaa dil kaa dard bhi kuchh na sunaa yuun dekh ki un ko dil ke kanval kuchh khil bhi gae murjhaa bhi gae uljhi si hain ishq ki raahein jokhim si kuchh ishq ki manzil in raahon mein kuchh kho bhi gae aur manzil ko kuchh paa bhi gae go laakh jatan ham ne bhi kiye par qalb ki taskin ho na saki armaanon se dil khaali na huaa kuchh ghuT bhi gae kuchh paa bhi gae kyaa jaane ham kyaa kah baiThe vo kah na sake jo kahnaa thaa ham pyaar ke taane-baane ko suljhaa bhi gae uljhaa bhi gae ye husn ki masti un ki 'habib' ye kyaa hi anokhi masti hai kuchh khud bhi hue be-khud us se kuchh be-khud ham ko banaa bhi gae"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"dard minnat-kash-e-darmaan ho zaruri to nahin zakhm marham kaa hi khvaahaan ho zaruri to nahin dil ki gahraai mein daaghon ke chaman khilte hain meraa har zakhm numaayaan ho zaruri to nahin aag hai donon taraf garche baraabar ki lagi phir bhi mujh saa vo pareshaan ho zaruri to nahin hijr mein tere tasavvur ke maze kyaa kahne har koi diid kaa khvaahaan ho zaruri to nahin muntazir main tire aane kaa rahungaa har-dam jhuTaa har ik tiraa paimaan ho zaruri to nahin dil se chaahun main jise vo bhi to chaahe mujh ko puuraa aisaa kabhi armaan ho zaruri to nahin maut aati hai kabhi maadar-e-mushfiq ki tarah is se har shakhs gurezaan ho zaruri to nahin ishq ne naaseh-e-mushfiq ki suni hi kab thi aql hi dil ki nigahbaan ho zaruri to nahin khete kis vaaste kashti ko ho saahil saahil na yahaan khatra-e-tufaan ho zaruri to nahin main samajhtaa to huun anjaam-e-mohabbat ko 'habib' dil is anjaam se larzaan ho zaruri to nahin"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"dard baDh kar davaa na ho jaae zindagi be-maza na ho jaae roktaa huun mizha pe main aansu gir ke dil ki sadaa na ho jaae nigah-e-iltifaat ke sadqe dil ki dhaDkan sivaa na ho jaae roz martaa huun roz jiitaa huun teraa vaada vafaa na ho jaae aap se shikva ai maaaz-allaah lab tak aa kar duaa na ho jaae vo kisi kaam kaa nahin jo dil dard se aashnaa na ho jaae siinaa aksar hai soz se khaali ziist be-muddaaa na ho jaae uf ye tahzib-e-nau ki khun-khvaari khun-e-insaan ravaa na ho jaae dil-lagi dil-lagi mein dekh 'habib' ishq ki ibtidaa na ho jaae"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb
Quote
"kyaa kahun kyaa kyaa gayaa jab apnaa kaashaana gayaa khum gayaa saaqi gayaa aur ham se mai-khaana gayaa ho gae kitne hi gum aql-o-khirad ki raah mein manzil-e-maqsud tak to sirf divaana gayaa gosha-e-tahzib mein bhi ghaat mein sayyaad hai ab kabhi kaa farq-e-aabaadi-o-viraana gayaa aaj ki is zindagi ke tez-rau tufaan mein vaqt-e-zikr-e-saaghar-o-minaa-o-paimaana gayaa jiit le qalb-o-jigar qudrat kaa ab vo vaqt hai ab sanam ke jitne kaa lutf-e-afsaana gayaa zindagi ne ab taraashe nau-butaan-e-dil-rubaa vo puraanaa tarz-e-sajda aur but-khaana gayaa ham zamaane ke rukh-o-raftaar ki baatein karein ab vo lutf-e-garmi-e-raftaar-e-jaanaanaa gayaa aahan-o-tesha ki hai jhankaar naghma vaqt kaa ho gayaa khaamosh mutrib sher-e-rindaana gayaa khair maqdam ham nae dil se karein ab ai 'habib' raat guzri shama rukhsat aur parvaana gayaa"
JaiKrishn Chaudhry HabeebJaiKrishn Chaudhry Habeeb