Quote
"ik qaafila hai bin tire ham-raah safar mein ashk aankh mein hai dil mein hai daagh aah jigar mein aaraam mujhe bin tire ik pal nahin ghar mein juun mardumak-e-dida huun din raat safar mein phirtaa hai vo gul-posh mire dida-e-tar mein hai shoala-e-javvaala ki tasvir bhanvar mein suraakh yahaan surat-e-favvaara hain sar mein dikhlaaun tamaashaa jo mujhe chhoD de ghar mein rashk aae na kyuun mujh ko ki tu dekh zar-o-sim rakhtaa hai qadam palla-e-khurshid-o-qamar mein main in dur-e-shahvaar ke ashkon se idhar aa taulungaa biThaa kar tujhe hairaan nazar mein aa dekh na hans hans ke rulaa mujh ko sitamgar ik nuuh kaa tufaan hai mire dida-e-tar mein aks-e-lab-e-paan-khurda se dandaan hain tire surkh yaa aatish-e-yaaqut hai ye aab-e-guhar mein baaz aao shikaar-afgani se haath uThaao bhaale ko miyaan kis liye rakhte ho kamar mein rahti hai baham zulf banaa gosh se tere kuchh farq nahin hai sar-e-mu shaam-o-sahar mein hai is mein raqam haal-e-siyah-bakhti-e-aashiq ye naama koi baandh do ab zaagh ke par mein ye bhi koi insaaf hai ai khaana-kharaab aah auron ko to le jaae hai tu din diye ghar mein aur ham jo hain so dekhne ko bhi tire tarsein divaar mein rakhna hai na suraakh hai dar mein kis vajh 'nasir' us lab-e-shirin pe na ho khaal hotaa vatan-e-mor to hai tang shakar mein"







