SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byYagana Changezi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"khizaan ke jaur se vaaqif koi bahaar na ho kisi kaa pairahan-e-husn taar-taar na ho ba-rang-e-sabza-e-begaana raund Daale falak mujhe bahaar bhi aae to saaz-gaar na ho khizaan ke aate hi gulchin ne pher liin aankhein kisi se koi vafaa kaa umid-vaar na ho Thahar Thahar dil-e-vahshi bahaar aane de abhi se bahr-e-khudaa itnaa be-qaraar na ho Tapak ke aankhon se aae lahu jo daaman tak to is bahaar se behtar koi bahaar na ho hayaa ki baat hai ab tak qafas mein zinda huun chaman mein jaaun to nargis se aankh chaar na ho bahaar aai hai ghuT ghuT ke jaan de bulbul qafas mein nikhat-e-gul ki umid-vaar na ho ishaara-e-gul-o-bulbul pe chashmak-e-nargis ilaahi raaz kisi kaa bhi aashkaar na ho bichhaa hai daam-e-tamannaa asiir ho bulbul qafas ki yaad mein is tarah be-qaraar na ho asir-e-daam na honaa zaraa sanbhal ai dil khayaal-e-gesu-e-pur-kham gale kaa baar na ho jo dekh le mujhe saaqi nashili aankhon se ye mast phir kabhi sharminda-e-khumaar na ho 'abas hai zikr-e-sharaab-e-tahur aur vaa'iz vo baat kar jo kisi dil ko naagavaar na ho visaal jab nahin mumkin to dil pe jabr achchhaa vo kyaa kare jise dil hi par ikhtiyaar na ho vo tiir kyaa jo kisi ko na kar sake bismil nigaah-e-naaz vo kyaa hai jo dil ke paar na ho mizaaj-e-yaar mukaddar na hone paae 'yaas' buland daaman-e-zin kahin se ghubaar na ho"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"kuchh zard zard patte nishaan jo khizaan ke hain nairang-e-dil-fareb ye sab aasmaan ke hain ik aag si lagi hai zamaane mein har taraf kyaa jaane zamzame ye kis aatish-zabaan ke hain ham dil-jalon ko huzn-o-alam se hai soz-o-saaz andaaz zamzamon mein bhi aah-o-fughaan ke hain ye bhi to hain kharaab usi chashm-e-mast ke parhez-gaar hazrat-e-vaais kahaan ke hain uTh uTh ke baiTh jaataa hai baang-e-jaras pe dil dekh ai falak ye hausle is naa-tavaan ke hain guzre hue zamaane ki ab yaad kyaa zarur charche qafas-nasibon mein kyuun aashiyaan ke hain"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"qayaamat hai shab-e-vaada kaa itnaa mukhtasar honaa falak kaa shaam se dast-o-garebaan-e-sahar honaa shab-e-taarik ne pahlu dabaayaa roz-e-raushan kaa zahe qismat mire baalin pe teraa jalvagar honaa havaa-e-tund se kab tak laDegaa shola-e-sarkash abas hai khud-numaai ki havas mein jalvagar honaa diyaar-e-be-khudi hai apne haq mein gosha-e-raahat ghanimat hai ghaDi bhar khvaab-e-ghaflat mein basar honaa vahi saaqi vahi saaghar vahi shisha vahi baada magar laazim nahin har ek par yaksaan asar honaa sunaa karte the aaj aankhon se dekhein dekhne vaale nigaah-e-'yaas' kaa sangin-dilon par kaargar honaa"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"charaagh-e-zist bujhaa dil se ik dhuaan niklaa lagaa ke aag mire ghar se mehmaan niklaa dil apnaa khaak thaa phir khaak ko jalaanaa kyaa na koi shoala uThaa aur na kuchh dhuaan niklaa suneinge chheD ke afsaana-e-dil-e-marhum idhar se mulk-e-adam kaa jo kaarvaan niklaa taDap ke aabla-paa uTh khaDe hue aakhir talaash-e-yaar mein jab koi kaarvaan niklaa lahu lagaa ke shahidon mein ho gae daakhil havas to nikli magar hausla kahaan niklaa harim-e-naaz mein shaayad kisi ko dakhl nahin dil aziiz bhi naa-khvaanda mehmaan niklaa nihaan thaa khaana-e-dil mein hi shaahid-e-maqsud jo be-nishaan thaa vo divaar-e-darmiyaan niklaa hai fann-e-ishq kaa ustaad bas dil-e-vahshi mariz-e-gham kaa yahi ik mizaaj-daan niklaa lagaa hai dil ko ab anjaam-kaar kaa khaTkaa bahaar-e-gul se bhi ik pahlu-e-khizaan niklaa zamaana phir gayaa chalne lagi havaa ulTi chaman ko aag lagaa kar jo baaghbaan niklaa hamaare sabr ki khaate hain ab qasam aghyaar jafaa-kashi kaa maza baad-e-imtihaan niklaa khushi se ho gae bad-khvaah mere shaadi-e-marg kafan pahan ke jo main ghar se naa-gahaan niklaa ajal se baDh ke muhaafiz nahin koi apnaa khudaa ki shaan ki dushman nigaah-baan niklaa dikhaayaa gor-e-sikandar ne baDh ke aaina jo sar uThaa ke koi zer-e-aasmaan niklaa lahad se baDh ke nahin koi gosha-e-raahat qayaamat aai jo is ghar se mehmaan niklaa ab apni ruuh hai aur sair-e-aalam-e-baalaa kuein se yusuf-e-gum-karda-kaarvaan niklaa kalaam-e-'yaas' se duniyaa mein phir ik aag lagi ye kaun hazrat-e-'aatish' kaa ham-zabaan niklaa"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"maut aai aane dijiye parvaa na kijiye manzil hai khatm sajda-e-shukraana kijiye zinhaar tark-e-lazzat-e-izaa na kijiye hargiz gunaah-e-ishq se tauba na kijiye naa-aashnaa-e-husn ko kyaa e'tibaar-e-ishq andhon ke aage baiTh ke royaa na kijiye taaki khabar bhi laaiye saahil ke shauq mein koshish ba-qadr-e-himmat-e-mardaana kijiye vo din gae ki dil ko havas thi gunaah ki yaadash-ba-khair zikr ab us kaa na kijiye saavan mein khaak uDti hai dil hai runDhaa huaa ji chaahtaa hai girya-e-mastaana kijiye divaana-vaar dauD ke koi lipaT na jaae aankhon mein aankhein Daal ke dekhaa na kijiye"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"kyuun kisi se vafaa kare koi dil na maane to kyaa kare koi na davaa chaahiye mujhe na duaa kaash apni davaa kare koi muflisi mein mizaaj shaahaana kis maraz ki davaa kare koi dard ho to davaa bhi mumkin hai vahm ki kyaa davaa kare koi hans bhi letaa huun uupri dil se ji na bahle to kyaa kare koi maut bhi aa saki na munh-maangi aur kyaa iltijaa kare koi dard-e-dil phir kahin na karvaT le ab na chaunke khudaa kare koi ishq-baazi ki intihaa maalum shauq se ibtidaa kare koi kohkan aur kyaa banaa letaa ban ke bigDe to kyaa kare koi apne dam ki hai raushni saari dida-e-dil to vaa kare koi shama kyaa shama kaa ujaalaa kyaa din chaDhe saamnaa kare koi ghaalib aur mirzaa 'yagaanaa' kaa aaj kyaa faisla kare koi"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"khudaaon ki khudaai ho chuki bas khudaaraa bas duhaai ho chuki bas kisi Dhab se nipaT lo jab mazaa hai bahut zor-aazmaai ho chuki bas bujhaae kaun tu jis ko jalaae patangon ki chaDhaai ho chuki bas havaa mein uD gayaa ek ek pattaa gulon ki jag-hansaai ho chuki bas bhalaa ab kyaa jachun apni nazar mein nazar apni paraai ho chuki bas rahaa kyaa jab dilon mein farq aayaa usi din se judaai ho chuki bas paDe ho kaun se goshe mein tanhaa 'yagaanaa' kyuun khudaai ho chuki bas"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"aankh dikhlaane lagaa hai vo fusun-saaz mujhe kahin ab khaak na chhanvaae ye andaaz mujhe kaise hairaan the tum aaine mein jab aankh laDi aaj tak yaad hai is ishq kaa aaghaaz mujhe saamne aa nahin sakte ki hijaab aataa hai parda-e-dil se sunaate hain vo aavaaz mujhe tiliyaan toD ke nikle sab asiraan-e-qafas magar ab tak na mili rukhsat-e-parvaaz mujhe par katar de are sayyaad chhuri phernaa kyaa maar Daalegi yunhi hasrat-e-parvaaz mujhe zer-e-divaar-e-sanam qabr mein sotaa huun falak kyuun na ho taala-e-bedaar par ab naaz mujhe be-dhaDak aae na zindaan mein nasim-e-vahshat mast kar deti hai zanjir ki aavaaz mujhe parda-e-hijr vahi hasti-e-mauhum thi 'yaas' sach hai pahle nahin maalum thaa ye raaz mujhe"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"lipaTti hai bahut yaad-e-vatan jab daaman-e-dil se palaT kar ik salaam-e-shauq kar letaa huun manzil se nazar aae jab aasaar-e-judaai rang-e-mahfil se nigaah-e-'yaas' begaana hui yaaraan-e-yak-dil se ubharne ke nahin bahr-e-fanaa mein Dubne vaale dur-e-maqsud hi gham hai to phir kyaa kaam saahil se tasavvur laala-o-gul kaa khizaan mein bhi nahin miTtaa nigaah-e-shauq vaabasta hai ab tak naqsh-e-baatil se nahin maalum kyaa lazzat uThaai hai asiri mein dil-e-vahshi phaDak uThtaa hai aavaaz-e-salaasil se kisi shai mein na hogi baada-e-irfaan ki gunjaaish laDaa le saaghar-e-jam ko bhi koi shisha-e-dil se tasavvur ne dikhaayaa shaahid-e-maqsud kaa jalva utar aai hai lailaa sar-zamin-e-dil pe mahmil se rahegi chaar divaar-e-anaasir darmiyaan kab tak uThegaa zalzala ik din isi baiThe hue dil se kahaan tak parda-e-faanus se sar ki balaa Talti azal se laag thi baad-e-fanaa ko sham-e-mahfil se yahin se sair kar lo 'yaas' itni duur kyuun jaao adam aabaad kar DaanDaa milaa hai ku-e-qaatil se"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"yaar ki tasvir hi dikhlaa de ai maani mujhe kuchh to ho is nazaa ki mushkil mein aasaani mujhe uf bhi kar saktaa nahin ab karvaTein lenaa kujaa zakhm-e-pahlu se hai vo taklif-e-ruhaani mujhe zaahid-e-maghrur rone par mire hanstaa hai kyaa bakhshvaaegaa yahi ashk-e-pashemaani mujhe dil ko us parda-nashin se ghaaebaana laag hai khinch legaa ik-na-ik din jazb-e-ruhaani mujhe yaarab aaghaaz-e-mohabbat kaa ba-khair anjaam ho dil lagaa kar ho rahi hai kyaa pashemaani mujhe lau lagi hai yaar se apni taraf khingaa kyaa jalva-e-naqsh-o-nigaar-e-aalam-e-faani mujhe vahshiyon ke vaaste qaid-e-libaas achchhi nahin zeb detaa hai yahi tashrif-e-uryaani mujhe josh-e-vahshat mein zamin par paanv paDhne kaa nahin le uDegi nikhat-e-gul ki pareshaani mujhe khaak ho jaane pe bhi mumkin na hogaa dastaras haath malvaaegi teri paak-daamaani mujhe dard kaa saaghar bhi saaqi meri qismat mein na thaa shauq mein karnaa paDaa aakhir lahu paani mujhe mard-e-jaahil huun kujaa mein aur kujaa ahl-e-kamaal 'yaas' kyaa maalum andaaz-e-ghazal-khvaani mujhe"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"saaya agar nasib ho divaar-e-yaar kaa kyaa martaba buland ho apne mazaar kaa vo dasht-e-haulnaak vo hubb-e-vatan kaa josh phir phir ke dekhnaa vo kisi be-dayaar kaa lau de rahi hai shaam se aaj aah-e-aatishin shola bhaDak rahaa hai dil-e-daaghdaar kaa tasvir-e-nazaa dekhnaa chaaho to dekh lo rah rah ke jhilmilaanaa charaagh-e-mazaar kaa par taulne lage phir asiraan-e-bad-nasib shaayad qarib aa gayaa mausam bahaar kaa mu-e-safed kaanpte haath aur jaam-e-mai dikhlaa rahe hain rang khizaan mein bahaar kaa angDaaiyon ke saath kahin dam nikal na jaae aasaan nahin hai ranj uThaanaa khumaar kaa saaqi giraa na dijiyo ye jaam-e-aakhiri dil TuuT jaaegaa kisi ummid-vaar kaa maston ki ruhein bhaTkeingi achchhaa nahin hai ab ghir-ghir ke aanaa qabron par abr-e-bahaar kaa dekho to apne vahshiyon ki jaama-zebiyaan allaah re husn pairahan-e-taar-taar kaa jurm-e-guzishta afv kun o maajraa mapurs maaraa huaa huun is dil-e-be-ikhtiyaar kaa duniyaa se 'yaas' jaane ko ji chaahtaa nahin allaah re husn gulshan-e-naa-paaedaar kaa"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"vaan naqaab uTThi ki subh-e-hashr kaa manzar khulaa yaa kisi ke husn-e-aalam-taab kaa daftar khulaa ghaib se pichhle pahar aati hai kaanon mein sadaa uTTho uTTho rahmat-e-rabb-e-ulaa kaa dar khulaa aankh jhapki thi tasavvur bandh chukaa thaa yaar kaa chaunkte hi hasrat-e-didaar kaa daftar khulaa ku-e-jaanaan kaa samaan aankhon ke aage phir gayaa subh-e-jannat kaa jo apne saamne manzar khulaa rang badlaa phir havaa kaa mai-kashon ke din phire phir chali baad-e-sabaa phir mai-kade kaa dar khulaa aa rahi hai saaf bu-e-sumbul-e-baagh-e-jinaan gesu-e-mahbub shaayad meri mayyat par khulaa chaar-divaar-e-anaasir phaand kar pahunche kahaan aaj apnaa zor-e-vahshat arsh-e-aazam par khulaa chup lagi mujh ko gunaah-e-ishq saabit ho gayaa rang chehre kaa uDaa raaz-e-dil-e-muztar khulaa ashk-e-khun se zard chehre par hai kyaa turfa bahaar dekhiye rang-e-junun kaisaa mire munh par khulaa khanjar-e-qaatil se jannat ki havaa aane lagi aur bahaar-e-zakhm se firdaus kaa manzar khulaa nim-jaan chhoDaa tiri talvaar ne achchhaa kiyaa eDiyaan bismil ne ragDin sabr kaa jauhar khulaa sohbat-e-vaaiz mein bhi angDaaiyaan aane lagin raaz apni mai-kashi kaa kyaa kahein kyunkar khulaa haath uljhaa hai garebaan mein to ghabraao na 'yaas' beDiyaan kyunkar kaTin zindaan kaa dar kyunkar khulaa"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"dil ajab jalva-e-ummid dikhaataa hai mujhe shaam se 'yaas' saveraa nazar aataa hai mujhe jalva-e-daar-o-rasan apne nasibon mein kahaan kaun duniyaa ki nigaahon pe chaDhaataa hai mujhe dil ko lahraataa hai hangaama-e-znidaan-e-balaa shor-e-izaa-talabi vajd mein laataa hai mujhe paa-e-aazaad hai zindaan ke chalan se baahar beDiyaan kyuun koi divaana pahnaataa hai mujhe hans ke kahtaa hai ki ghar apnaa qafas ko samjho sabaq ulTaa miraa sayyaad paDhaataa hai mujhe jaise dozakh ki havaa khaa ke abhi aayaa hai kis qadar vaaiz-e-makkaar Daraataa hai mujhe phaT paDein ab hi dar-o-baam to parda rah jaae falak-e-khaana-kharaab aankh dikhaataa hai mujhe didani hai chaman-aaraai-e-chashm-e-ibrat sair-e-taaza gul-e-pazhmurda dikhaataa hai mujhe tark-e-matlab se hai matlab to duaaein kaisi subh tak kyuun dil-e-bimaar jagaataa hai mujhe nang-e-mahfil miraa zinda miraa murda bhaari kaun uThaataa hai mujhe kaun biThaataa hai mujhe lab-e-dariyaa kaa huaa main na tah-e-dariyaa kaa kaun se ghaaT ye dhaaraa liye jaataa hai mujhe paanv soe hain magar jaagte hain apne nasib kyaa samajh kar jaras-e-gung jagaataa hai mujhe 'yaas' manzil hai miri manzil-e-anqaa-e-kamaal lucknow mein koi kyuun DhunDne aataa hai mujhe"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"dil-e-be-taab ko kab vasl kaa yaaraa hotaa shaadi-e-daulat-e-didaar ne maaraa hotaa shab-e-gham zahr hi khaane kaa maza thaa varna intizaar-e-sahar-e-vasl ne maaraa hotaa shab-e-hijraan ki balaa Taale nahin Talti hai bhor kar dete agar zor hamaaraa hotaa aai jis shaan se madfan mein savaari meri dekhte ghair to marnaa hi gavaaraa hotaa kyuun na siine se lagi rahti amaanat teri daagh-e-dil kyuun na hamein jaan se pyaaraa hotaa sar jhukaae tiri ummid pe baiThe hain ham qaatil is baar amaanat ko utaaraa hotaa ek ho jaati abhi kaafir-o-din-daar ki raah agar un juTTi bhuvon kaa ik ishaaraa hotaa bhigti jaati hai raat aur abhi sohbat hai garm jaam lab-rez isi aalam mein hamaaraa hotaa nigah-e-lutf se mahrum huun ab tak saaqi saf-e-aakhir ki taraf bhi ik ishaaraa hotaa duur se saaghar-o-minaa ko khaDaa taktaa huun dil koi rakhtaa to mujh ko bhi pukaaraa hotaa duur itni na kabhi khinchti adam ki manzil kaash kuchh naqsh-e-qadam hi kaa sahaaraa hotaa yaas ab aap kahaan aur kahaan baang-e-jaras kaun is vaadi-e-ghurbat mein tumhaaraa hotaa dekhte rah gae 'yaas' aap ne achchhaa na kiyaa Dubte vaqt kisi ko to pukaaraa hotaa surat-e-zaahiri ik parda-e-taarik thi 'yaas' husn-e-maani kaa kan-aankhiyon se nazaara hotaa"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"jab husn-e-be-misaal par itnaa ghurur thaa aaina dekhnaa tumhein phir kyaa zarur thaa chhup-chhup ke ghair tak tumhein jaanaa zarur thaa thaa pichhe pichhe main bhi magar duur duur thaa mulk-e-adam ki raah thi mushkil se tai hui manzil tak aate aate badan chur-chur thaa do ghunT bhi na pi sake aur aankh khul gai phir bazm-e-aish thi na vo jaam-e-surur thaa vaaiz ki aankhein khul gaiin piite hi saaqiyaa ye jaam-e-mai thaa yaa koi dariyaa-e-nur thaa kyuun baiThe haath malte ho ab 'yaas' kyaa huaa is bevafaa shabaab par itnaa ghurur thaa"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"chale chalo jahaan le jaae valvala dil kaa dalil-e-raah-e-mohabbat hai faisla dil kaa havaa-e-kucha-e-qaatil se bas nahin chaltaa kashaan-kashaan liye jaataa hai valvala dil kaa gila kise hai ki qaatil ne nim-jaan chhoDaa taDap taDap ke nikaalungaa hausla dil kaa khudaa bachaae ki naazuk hai un mein ek se ek tunak-mizaajon se Thahraa moaamla dil kaa dikhaa rahaa hai ye donon jahaan ki kaifiyat karegaa saaghar-e-jam kyaa muqaabla dil kaa havaa se vaadi-e-vahshat mein baatein karte ho bhalaa yahaan koi suntaa bhi hai gila dil kaa qayaamat aai khulaa raaz-e-ishq kaa daftar baDaa ghazab huaa phuTaa hai aabla dil kaa kisi ke ho raho achchhi nahin ye aazaadi kisi ki zulf se laazim hai silsila dil kaa pyaala khaali uThaa kar lagaa liyaa munh se ki 'yaas' kuchh to nikal jaae hausla dil kaa"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"zamaane par na sahi dil pe ikhtiyaar rahe dikhaa vo zor ki duniyaa mein yaadgaar rahe kahaan talak dil-e-ghamnaak parda-daar rahe zabaan-e-haal pe jab kuchh na ikhtiyaar rahe nizaam-e-dahr ne kyaa kyaa na karvaTein badlin magar ham ek hi pahlu se be-qaraar rahe hansi mein laghzish-e-mastaana uD gai vallaah to be-gunaahon se achchhe gunaahgaar rahe ubhaarti hai havas tauba-e-rihaai ki ki dil ke saath zabaan kyuun gunaahgaar rahe dikhaa duun chiir ke dil dard-e-dil kahun kab tak zabaan pe kyuun ye taqaazaa-e-naagavaar rahe taDap taDap ke uThaaungaa zindagi ke maze khudaa na-karda mujhe dil pe ikhtiyaar rahe sazaa-e-'ishq ba-qadr-e-gunaah naa-mumkin yahi bahut hai ki barham mizaaj-e-yaar rahe zamaana us ke sivaa aur kyaa vafaa kartaa chaman ujaD gayaa kaanTe gale kaa baar rahe khizaan ke dam se miTaa khub-o-zisht kaa jhagDaa chalo ye khvaab huaa gal rahe na khaar rahe javaab de ke na toDo kisi gharib kaa dil balaa se koi saraapaa umid-vaar rahe maza to jab hai 'yagaanaa' ki ye dil-e-khud-bin khudi ke nashshe mein be-gaana-e-khumaar rahe 'yagaanaa' haal to dekho zamaana-saazon kaa havaa mein jaise bagulaa kharaab-o-khvaar rahe"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"salaamat rahein dil mein ghar karne vaale is ujDe makaan mein basar karne vaale gale par chhuri kyuun nahin pher dete asiron ko be-baal-o-par karne vaale andhere ujaale kahin to mileinge vatan se hamein dar-ba-dar karne vaale garebaan mein munh Daal kar khud to dekhein buraai pe meri nazar karne vaale is aaina-khaane mein kyaa sar uThaate haqiqat par apni nazar karne vaale bahaar-e-do-roza se dil kyaa bahaltaa khabar kar chuke the khabar karne vaale khaDe hain do-raahe pe dair o haram ke tiri justuju mein safar karne vaale sar-e-shaam gul ho gai sham-e-baalin salaamat hain ab tak sahar karne vaale kujaa sehn-e-aalam kujaa kunj-e-marqad basar kar rahe hain basar karne vaale 'yagaanaa' vahi faateh-e-lakhknau hain dil-e-sang-o-aahan mein ghar karne vaale"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"dil lagaane ki jagah aalam-e-ijaad nahin khvaab aankhon ne bahut dekhe magar yaad nahin aaj asiron mein vo hangaama-e-fariyaad nahin shaayad ab koi gulistaan kaa sabaq yaad nahin sar-e-shorida salaamat hai magar kyaa kahiye dast-e-farhaad nahin tesha-e-farhaad nahin tauba bhi bhuul gae ishq mein vo maar paDi aise ausaan gae hain ki khudaa yaad nahin dushman o dost se aabaad hain donon pahlu dil salaamat hai to ghar ishq kaa barbaad nahin fikr-e-imroz na andesha-e-fardaa ki khalish zindagi us ki jise maut kaa din yaad nahin nikhat-e-gul ki hai raftaar havaa ki paaband ruuh qaalib se nikalne pe bhi aazaad nahin zinda hain murda-paraston mein abhi tak 'ghaalib' magar ustaad 'yagaanaa' saa ab ustaad nahin"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"zamaana khudaa ko khudaa jaantaa hai yahi jaantaa hai to kyaa jaantaa hai isi mein dil apnaa bhalaa jaantaa hai ki ik naakhudaa ko khudaa jaantaa hai vo kyuun sar khapaae tiri justuju mein jo anjaam-e-fikr-e-rasaa jaantaa hai khudaa aise bande se kyuun phir na jaae jo baiThaa duaa maangnaa jaantaa hai zahe sahv-e-kaatib ki saaraa zamaana mujhi ko saraapaa khataa jaantaa hai anokhaa gunahgaar ye saada insaan navishte ko apnaa kiyaa jaantaa hai 'yagaanaa' tu hi jaane apni haqiqat tujhe kaun tere sivaa jaantaa hai"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"khudi kaa nashsha chaDhaa aap mein rahaa na gayaa khudaa bane the 'yagaanaa' magar banaa na gayaa payaam-e-zer-e-lab aisaa ki kuchh sunaa na gayaa ishaara paate hi angDaai li rahaa na gayaa hansi mein vaada-e-fardaa ko Taalne vaalo lo dekh lo vahi kal aaj ban ke aa na gayaa gunaah-e-zinda-dili kahiye yaa dil-aazaari kisi pe hans liye itnaa ki phir hansaa na gayaa pukaartaa rahaa kis kis ko Dubne vaalaa khudaa the itne magar koi aaDe aa na gayaa karun to kis se karun dard-e-naa-rasaa kaa gila ki mujh ko le ke dil-e-dost mein samaa na gayaa buton ko dekh ke sab ne khudaa ko pahchaanaa khudaa ke ghar to koi banda-e-khudaa na gayaa kirshn kaa huun pujaari ali kaa banda huun 'yagaanaa' shaan-e-khudaa dekh kar rahaa na gayaa"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"adab ne dil ke taqaaze uThaae hain kyaa kyaa havas ne shauq ke pahlu dabaae hain kyaa kyaa na jaane sahv-e-qalam hai ki shaahkaar-e-qalam balaa-e-husn ne fitne uThaae hain kyaa kyaa nigaah Daal di jis par vo ho gayaa andhaa nazar ne rang-e-tasarruf dikhaae hain kyaa kyaa isi fareb ne maaraa ki kal hai kitni duur is aaj kal mein abas din ganvaae hain kyaa kyaa pahaaD kaaTne vaale zamin se haar gae isi zamin mein dariyaa samaae hain kyaa kyaa guzar ke aap se ham aap tak pahunch to gae magar khabar bhi hai kuchh pher khaae hain kyaa kyaa buland ho to khule tujh pe zor pasti kaa baDe-baDon ke qadam Dagmagaae hain kyaa kyaa khushi mein apne qadam chuum luun to zebaa hai vo laghzishon pe miri muskuraae hain kyaa kyaa khudaa hi jaane 'yagaanaa' main kaun huun kyaa huun khud apni zaat pe shak dil mein aae hain kyaa kyaa"
Yagana ChangeziYagana Changezi
Quote
"mujhe dil ki khataa par 'yaas' sharmaanaa nahin aataa paraayaa jurm apne naam likhvaanaa nahin aataa mujhe ai naakhudaa aakhir kisi ko munh dikhaanaa hai bahaana kar ke tanhaa paar utar jaanaa nahin aataa musibat kaa pahaaD aakhir kisi din kaT hi jaaegaa mujhe sar maar kar teshe se mar jaanaa nahin aataa dil-e-be-hausla hai ik zaraa si Thes kaa mehmaan vo aansu kyaa piyegaa jis ko gham khaanaa nahin aataa saraapaa raaz huun main kyaa bataaon kaun huun kyaa huun samajhtaa huun magar duniyaa ko samjhaanaa nahin aataa"
Yagana ChangeziYagana Changezi