SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"rah-e-vafaa mein ba-sad-shauq jab bhi ham nikle qadam qadam pe sabhi maail-e-sitam nikle nahin ye gesu-e-jaanaan ye zulf-e-giti hai har ek biich mein pinhaan hazaaron kham nikle anaa-pasandi-e-fitrat ko ab qaraar kahaan bahisht chhoD ke mushkil safar pe ham nikle mili na manzil-e-jaanaan rakhe na paa-e-talab qadam qadam pe muqaddar ke pech-o-kham nikle junun-e-shauq mein jin ko samajh rahaa thaa khudaa paDaa jo vaqt to miTTi ke vo sanam nikle tamaam umr chale saath phir bhi saath the kab 'majid' khuub tumhaare ye ham-qadam nikle"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed
Quote
"jin ke liye zamaane kaa ham zahr pi chale ho kar vo bad-gumaan ba-sad-be-rukhi chale kuchh der Thahriye ki zaraa dil ki baat ho aae abhi abhi hain janaab aur abhi chale ghar se nikal ke ham to sar-e-dasht aa gae dekhein kahaan talak ye gham-e-aashiqi chale jaise kabhi bhi ham se koi vaasta na ho vo chal rahe hain jaise koi ajnabi chale ham rah-ravaan-e-shauq ko manzil se kyaa gharaz ham ko jidhar tumhaari Dagar le chali chale apne lahu se khuub hue surkh-ru 'majid' ham par hazaar sang-e-sitam aaj bhi chale"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed
Quote
"ham Thahre barbaad-e-mohabbat aalam saaraa jaane hai dil pe hamaare kyaa guzre hai dil hi hamaaraa jaane hai ai saahil se dekhne vaalo tum ko ye maalum nahin Dubne vaalaa kyon tinke ko apnaa sahaaraa jaane hai tum kyaa jaano ishq-e-butaan ko tum ne ishq kiyaa kab hai un ki adaa-e-jaur-o-sitam ko dard kaa maaraa jaane hai ham bhi haqiqat jaan rahe hain baiThe baiThe khvaabon ki vo hai nazar kaa dhokaa jis ko dil ye nazaaraa jaane hai galiyon galiyon phirtaa hai jo dil mein tumhaari yaad liye duniyaa us ko paagal samjhe aur bechaara jaane hai aap ise samjhein na samjhein ham ko hai maalum 'majid' koi to hai jo ham ko abhi tak aankh kaa taaraa jaane hai"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed
Quote
"tapte hue sahraa mein shajar DhunD rahaa huun koi to mile ahl-e-nazar DhunD rahaa huun kyaa baat hai jo baat hi banti nahin apni main apni duaaon mein asar DhunD rahaa huun vo ek nazar chiir ke rakh de jo jigar ko mahfil mein vahi tir-e-nazar DhunD rahaa huun soi soi maujon mein jo halchal si machaa de tufaanon mein vo zer-o-zabar DhunD rahaa huun haalaat ne har chiiz ki pahchaan miTaa di main gaanv mein ab apnaa hi ghar DhunD rahaa huun elaan-e-sadaaqat kaa amiin ban ke uThe jo neze pe 'majid' aaj vo sar DhunD rahaa huun"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed
Quote
"dil ko tiraa khayaal tiri justuju rahe maqsad miri hayaat kaa bas tu hi tu rahe aae kabhi na dil mein kisi ghair kaa khayaal honTon pe subh-o-shaam tiri guftugu rahe meri nigaah-e-shauq tujhe DhunDhti rahi vaise to aas-paas kai maah-ru rahe ik din zarur aaeinge vo mere khvaab mein is intizaar-e-yaar mein ham baa-vazu rahe duniyaa ki ranjishon ki shikaayat karein to kyaa khud apne hi nasib se ham du-badu rahe de kar gai hai baad-e-sabaa ye duaa 'majid' sher-o-sukhan ki bazm ki tu aabru rahe"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed
Quote
"jaanaa kahaan hai aur kahaan jaa rahe hain ham apnon ki rahnumaai se ghabraa rahe hain ham tum ne to ik nigaah uThaai hai is taraf sau sau umidein baandh ke itraa rahe hain ham naakaam ho ke apni sadaa lauT aaegi ye jaan kar bhi dasht mein chillaa rahe hain ham sab apni apni raah par aage nikal gae ab kis kaa intizaar kiye jaa rahe hain ham na jaane kis ki yaad ne li dil mein gudgudi aaina dekh dekh ke sharmaa rahe hain ham duniyaa ke kaarobaar se matlab nahin 'majid' dil ko khayaal-e-yaar se bahlaa rahe hain ham"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed
Quote
"kahaan shikva zamaane kaa pas-e-divaar karte hain hamein karnaa hai jo bhi ham sar-e-baazaar karte hain zamaane se ravaadaari kaa rishta ab bhi baaqi hai magar saudaa kisi se dil kaa ham ik baar karte hain mahaaz-e-jang par sina-sipar ho kar main chaltaa huun magar buzdil hamesha pusht par hi vaar karte hain nahin milti unhein manzil jinhein khauf-e-havaadis hai jo maujon se nahin Darte nadi ko paar karte hain 'majid' achchhaa nahin hotaa kisi se bhi judaa honaa magar ye rasm-e-duniyaa ham adaa sau baar karte hain"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed
Quote
"kaun kahtaa hai ki haalaat se be-zaar hain ham ai vatan tere liye barsar-e-paikaar hain ham ham se maange na sanad koi vafaadaari ki aazmaaish ke liye har ghaDi tayyaar hain ham ham se baaqi hai abhi rang-e-vafaa phulon mein kaise kahte ho chaman ke liye bekaar hain ham ham ne kab daulat-e-duniyaa ki tamanna ki hai tujh se bas pyaar mohabbat ke talabgaar hain ham ab nahin jaaeinge hijrat ki ridaa oDhe kahin apne aanchal mein chhupaa le ki tiraa pyaar hain ham"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed
Quote
"gharaz-parast rahe jo vo aadmi kyaa hai kisi ke kaam na aae to zindagi kyaa hai hazaar chaand sitaare sajaa do mahfil mein nazar na ho to nazaaron mein dilkashi kyaa hai fareb milte hain aksar vafaa ki raahon mein nibhaa sake na agar koi dosti kyaa hai isi andhere se phuTegi raushni ki kiran charaagh dil kaa jalaao ye tirgi kyaa hai zavaal se na bachaa aaj tak uruuj koi ajal ke saamne insaan ki bartari kyaa hai miTaayaa khud ko to ye raaz jaan paayaa 'majid' ye sher chiiz hai kyaa aur shaaeri kyaa hai"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed
Quote
"khaamosh ho gai thi zabaan dekhte rahe har samt aag aur dhuaan dekhte rahe dekhaa jidhar jidhar mujhe manzar vahi milaa gardan ko zer-e-nok-e-sinaan dekhte rahe Dhote rahe hain laasha-e-fasl-e-bahaar ko gulshan mein daur-e-baad-e-khizaan dekhte rahe qiston mein toDti rahi dam lashkari zabaan ahl-e-qalam sab ahl-e-zabaan dekhte rahe mahfuz kab rahe vo zamaane ki chaal se har moD par jo sud-o-ziyaan dekhte rahe pahunche 'vali' ke shahr mein ik roz ham 'majid' barpaa thaa hashr aah-o-fughaan dekhte rahe"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed
Quote
"dil mein jo basaai thi vo tasvir nahin hai ye husn mire khvaabon ki taabir nahin hai suntaa hi nahin vo miri kyaa mujh se khafaa hai yaa meri duaa mein abhi taasir nahin hai mahfil mein kai husn ke paikar to hain lekin koi bhi mire vaaste dil-gir nahin hai khilne ko to khilte hain kai phuul chaman mein har phuul ki haan ek si taqdir nahin hai mahfuz rahe gardish-e-dauraan se hamesha duniyaa mein koi aisi bhi taamir nahin hai is dil pe kare kaun 'majid' aa ke hukumat dil ki hai ye duniyaa koi jaagir nahin hai"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed
Quote
"tiri yaadon ke saae mein hamaare din guzarte hain tujhe ham chaahte the kal tujhi pe aaj marte hain mohabbat kaa ye rishta toDnaa aasaan nahin hargiz magar haalaat ki baazigari se ham bhi Darte hain ye baadal bhi guzar jaate hain sahraaon se bin barse magar sarsabz vaadi mein ye be-mausam baraste hain hamaare vaaste baad-e-sabaa ban kar vo aaegaa yahi armaan liye gin gin ke taare subh karte hain isi ummid par har mausam-e-gul ko sadaaein diin na-jaane kab hamaari zindagi ke din sanvarte hain 'majid' aasaan nahin hai un ke vaadon kaa vafaa honaa jo khushbu ki tarah uD kar fazaaon mein bikharte hain"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed