SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbrar Ahmad(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"zamin nahin ye miri aasmaan nahin meraa mataa-e-khvaab ba-juz kuchh yahaan nahin meraa ye uunT aur kisi ke hain dasht meraa hai savaar mere nahin saar-baan nahin meraa mujhe tumhaare tayaqqun se khauf aataa hai ki is yaqin mein shaamil gumaan nahin meraa main ho gayaa huun khud apne safar se begaana ki niind meri hai khvaab-e-ravaan nahin meraa to aab o khaak se bach kar kidhar ko jaataa main davaam-e-vasl hai baaqi nishaan nahin meraa phir ek din usi miTTi ko lauT jaaungaa gurez tujh se rah-e-raftagaan nahin meraa sadaa-e-shahr-e-guzishta abhi bulaati hai go ab aziiz koi bhi vahaan nahin meraa"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"aur kyaa rah gayaa hai hone ko ek aansu nahin hai rone ko khvaab achchhe raheinge an-dekhe khaak achchhi rahegi sone ko ye mah-o-saal chand baaqi hain aur kuchh bhi nahin hai khone ko naa-rasaai kaa ranj laae hain tere dil mein kahin samone ko chashm-e-nam chaar ashk aur idhar daagh ik rah gayaa hai dhone ko baiThne ko jagah nahin milti kyaa karein oDhne-bichhaune ko tu kahin baiTh aur hukm chalaa ham to hain teraa bojh Dhone ko yaad bhi teri miT gai dil se aur kyaa rah gayaa hai sone ko"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"kuchh kaam nahin hai yahaan vahshat ke baraabar so tum hamein gham do koi himmat ke baraabar kab lagtaa hai ji raah-e-sahulat mein hamesha aur miltaa hai kab ranj zarurat ke baraabar aasaaish-o-aaraam ho yaa jaah-o-hasham ho kyaa chiiz yahaan par hai mohabbat ke baraabar gunjaaish-e-afsos nikal aati hai har roz masruf nahin rahtaa huun fursat ke baraabar bhar laae hain ham aankh mein rakhne ko muqaabil ik khvaab-e-tamannaa tiri ghaflat ke baraabar rakh deinge tire paanv mein ham mauj mein aa kar duniyaa hai kahaan jaan ki qimat ke baraabar phir kashmakash-e-sud-o-ziyaan kaar-e-ziyaan hai jab jiit bhi Thahri hai hazimat ke baraabar jiine mein jo ehsaas-e-tafaakhur hai kahaan hai jiite chale jaane ki nadaamat ke baraabar"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"ye bhi to kamaal ho gayaa hai zaahir vo jamaal ho gayaa hai jis kaam mein ham ne haath Daalaa vo kaam muhaal ho gayaa hai guzri hui umar kaa har ik pal minnat-kash-e-haal ho gayaa hai dil kaun saa taaza-dam thaa pahle ab aur niDhaal ho gayaa hai kuchh roz jo din phire hain apne vo shaamil-e-haal ho gayaa hai jo khvaab se khuun se kamaayaa vo muft kaa maal ho gayaa hai ye dekh ki tere saamne kaun sar-taa-paa savaal ho gayaa hai ai khauf-e-zavaal tere haathon sab ru-ba-zavaal ho gayaa hai"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"ye jo sar ham tiri chaukhaT se lagaae hue hain ye samajh le ki zamaane ke sataae hue hain ham ne is dil ko kahin aur lagaayaa huaa hai aur ye haath kahin aur uThaae hue hain tujhe dekhun to mujhe yaad ye kaun aataa hai tu ne ye rang bhalaa kis ke churaae hue hain kaar-e-duniyaa ne hamein mohlat-e-yak-khvaab na di so kahin khoe hue hain na hi paae hue hain ham hi kuchh gosh-bar-aavaaz nahin the varna tum ne pahle bhi yahi bol sunaae hue hain kis liye yaad dilaate ho abhi rahne do kyaa huaa ham jo koi baat bhulaae hue hain kaam jo ham se nahin hogaa kiye jaate hain ham se uThtaa jo nahin bojh uThaae hue hain dekhne ki tujhe kuchh dil mein hai hasrat bhi abhi aur ye bhi ki tire shahr mein aae hue hain"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"hamaare beach agarche rahaa nahin kuchh bhi magar ye dil hai abhi maantaa nahin kuchh bhi ham us ke gham ko in aankhon mein le ke phirte hain magar vo shakhs hamein jaantaa nahin kuchh bhi ye kaisi dhuul si raahon mein uDti phirti hai tu ai musaafir-e-jaan kyaa bachaa nahin kuchh bhi ham apne apne dil-o-jaan ki khair maangte hain ye ijz kuchh bhi nahin hai anaa nahin kuchh bhi bas ek manzar-e-khaali main uungh letaa huun vo khush-nazar hai magar dekhtaa nahin kuchh bhi tu bol uThtaa hai ham ko bhalaa bhi lagtaa hai magar tu yaar mire sochtaa nahin kuchh bhi kahin pe ho ki na ho izzat-e-gunah-gaaraan magar yahaan koi tere sivaa nahin kuchh bhi gumaan to khair mohabbat kaa thaa par ab is se ba-su-e-ranj-talab vaasta nahin kuchh bhi hamaare haal pe tum ko malaal tak bhi nahin to kyaa jo rabt hamaaraa thaa, thaa nahin kuchh bhi kabhi jo aao to ham ko jo tum se kahni hai yunhi si baat hai ab muddaaa nahin kuchh bhi"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"ye yaqin ye gumaan hi mumkin hai tujh se milnaa yahaan hi mumkin hai khvaab ik mumkin o mayassar kaa garche us kaa bayaan hi mumkin hai behad o be-hisaab shauq mein bhi qasd ku-e-butaan hi mumkin hai tangnaa-e-jahaan-e-zaahir mein ye zamin ye zamaan hi mumkin hai had se had is rah-e-hazimat mein pursish-rah-ravaan hi mumkin hai aatish-e-dil pe Daalne ke liye reg-e-raah-e-ravaan hi mumkin hai sarhad-e-mumkinaat se aage sar pe ik aasmaan hi mumkin hai aan baiThe ki ji lagaane ko sohbat-e-dostaan hi mumkin hai arsa-e-zindagi mein teri miri sirf ik daastaan hi mumkin hai kyaa tamaashaa hai yaan uThaane ko ek baar-e-giraan hi mumkin hai"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"ye rah-e-ishq hai is raah pe gar jaaegaa tu ek divaar khaDi hogi jidhar jaaegaa tu shor-e-duniyaa ko to sun rang-e-rah-e-yaar to dekh ham jahaan khaak uDaate hain udhar jaaegaa tu dar-ba-dar hai to kahin ji nahin lagtaa hogaa vo bhi din aaegaa thak-haar ke ghar jaaegaa tu aazim-e-hijr-e-musalsal huaa is miTTi se lauT aaegaa yahin aur kidhar jaaegaa tu jaan jaaegaa ki manzil nahin maujud kahin khush-gumaan hai abhi sargarm-e-safar jaaegaa tu aarzu rakh use paane ki koi roz abhi phir yahin baam-e-tamannaa se utar jaaegaa tu ye jo tufaan tire gird hai divaangi kaa ik zaraa tez huaa aur bikhar jaaegaa tu kaarvaan rad huaa aur chup hui aavaaz-e-jaras kyaa ab us samt ko taa-hadd-e-nazar jaaegaa tu ab kahaan khvaab-e-mohabbat ki vo shab duur nahin jab kahin khaak-bhari niind se bhar jaaegaa tu"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"kyaa jaaniye kyaa hai had-e-idraak se aage bas khaak hai is teri miri khaak se aage hai shor-e-fughaan khaamushi-e-marg ke pichhe ik tez havaa hai khas-o-khaashaak se aage ham dekhte hain aankh mein sahme hue aansu ik chup hai kahin khanda-e-be-baak se aage ik rang saa hai rang-e-tamannaa se mumaasil ik abr saa hai dida-e-nam-naak se aage main apne kisi khvaab ki munh-zor havaa mein aksar hi nikal jaataa huun aflaak se aage kyaa shor karein girya-e-usshaaq se baDh kar kyaa zor karein pairhan-e-chaak se aage"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"jo bhi yakjaa hai bikhartaa nazar aataa hai mujhe jaane yuun hai bhi ki aisaa nazar aataa hai mujhe chashm-e-vaa mein to vahi manzar-e-khaali hai jo thaa muund luun aankh to kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe maail-e-arz-e-tamannaa hai na hai vaqf-e-malaal ai mire dil tu Thahartaa nazar aataa hai mujhe pas-e-nazzaara koi khvaab-e-gurezaan hi na ho dekhne mein to tamaashaa nazar aataa hai mujhe baandh luun rakht-e-safar lauT chalun ghar ki taraf tiri jaanib se ishaara nazar aataa hai mujhe tujhe kyunkar ho ye maalum mire maah-e-tamaam daagh-e-dil kaise sitaara nazar aataa hai mujhe kashti-e-jaan yahi ik-aadh bhanvar aur hai bas kahin nazdik kinaara nazar aataa hai mujhe dekhne dekhne mein farq huaa kartaa hai tumhi batlaao ki kaisaa nazar aataa hai mujhe"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"raah dushvaar bhi hai be-sar-o-saamaani bhi aur is dil ko hai kuchh aur pareshaani bhi ye jo manzar tire aage se saraktaa hi nahin is mein shaamil hai tiri aankh ki hairaani bhi apne majbur pe kuchh aur karam ho ki use kam paDi jaati hai ab gham ki faraavaani bhi sirf afsos kaa saaya hi nahin hai ham par ham ki hain khvaab-e-tab-o-taab ke zindaani bhi be-niyaazi ki vo khu jaise kabhi thi hi nahin khvaab the jaise vo ayyaam-e-tan-aasaani bhi rah tiri chhoD ke kyuun jaanib-e-duniyaa aae ham ko jiine nahin deti ye pashemaani bhi"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"qisse se tire meri kahaani se ziyaada paani mein hai kyaa aur bhi paani se ziyaada is khaak mein pinhaan hai koi khvaab-e-musalsal hai jis mein kashish aalam-e-faani se ziyaada nakhl-e-gul-e-hasti ke gul-o-barg ajab hain uDte hain ye auraaq-e-khizaani se ziyaada har rukh hai kahin apne khad-o-khaal se baahar har lafz hai kuchh apne maaani se ziyaada vo husn hai kuchh husn ke aazaar se baDh kar vo rang hai kuchh apni nishaani se ziyaada ham paas se tere kahaan uTh aae hain ye dekh ab aur ho kyaa naql-e-makaani se ziyaada is shab mein ho girya koi taariki se gahraa ho koi mahak raat-ki-raani se ziyaada ham kunj-e-tamannaa mein raheinge ki abhi tak hai yaad tiri yaad-dahaani se ziyaada ab aisaa zubun bhi to nahin haal hamaaraa hai zakhm ayaan dard-e-nihaani se ziyaada"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"aankhein use DhunDeingi tamaashaa nahin hogaa vo dekheinge ham jo kabhi dekhaa nahin hogaa ik khvaab zar-o-sim se ghar bhar gae saare ab koi yahaan niind kaa maaraa nahin hogaa dil hogaa nahin hogaa kisi yaad kaa maskan so baam-e-talab par koi chehra nahin hogaa ham honge nahin honge tire shaam-o-sahar mein lekin tujhe is baat kaa dhaDkaa nahin hogaa ye sar ki bharaa hogaa faraavaani-e-shab se phir taa-ba-abad dil mein ujaalaa nahin hogaa ye khvaab saa manzar hai bas ik 'umr kaa mehmaan phir hashr talak is kaa nazaara nahin hogaa phir kis liye ham zahmat-e-ummid uThaaein is shahr mein jab koi bhi tujh saa nahin hogaa bhar jaaeinge ik roz sabhi ghaav hamaare ai dard-e-mohabbat tiraa chaaraa nahin hogaa"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"ik faraamosh kahaani mein rahaa main jo us aankh ke paani mein rahaa rukh se uDtaa huaa vo rang-e-bahaar ek tasvir puraani mein rahaa main ki maadum rahaa surat-e-khvaab phir kisi yaad-dahaani mein rahaa Dhang ke ek Thikaane ke liye ghar-kaa-ghar naql-e-makaani mein rahaa main Thahartaa gayaa rafta rafta aur ye dil apni ravaani mein rahaa vo miraa naqsh-e-kaf-e-paa-e-talab ahd-e-rafta ki nishaani mein rahaa main ki haagaama-e-yak-khvaab liye koi din aalam-e-faani mein rahaa"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"ham ne rakkhaa thaa jise apni kahaani mein kahin ab vo tahrir hai auraaq-e-khizaani mein kahin bas ye ik saaat-e-hijraan hai ki jaati hi nahin koi Thahraa bhi hai is aalam-e-faani mein kahin jitnaa saamaan bhi ikaTThaa kiyaa is ghar ke liye bhuul jaaeinge use naql-e-makaani mein kahin khair auron kaa to kyaa zikr ki ab lagtaa hai tu bhi shaamil hai mire ranj-e-zamaani mein kahin chashm-e-namnaak ko is darja haqaarat se na dekh tujh ko mil jaanaa hai ik din isi paani mein kahin markaz-e-jaan to vahi tu hai magar tere sivaa log hain aur bhi is yaad puraani mein kahin jashn-e-maatam bhi hai raunaq si tamaashaai ko koi naghma bhi hai is marsiya-khvaani mein kahin aaj ke din mein kisi aur hi din ki hai jhalak shaam hai aur hi is shaam suhaani mein kahin kyaa samajh aae kisi ko mujhe maalum bhi hai baat kar jaataa huun main apni ravaani mein kahin"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"yaqin hai ki gumaan hai mujhe nahin maalum ye aag hai ki dhuaan hai mujhe nahin maalum ye har taraf hai koi mahfil-e-tarab barpaa ki bazm-e-gham-e-zadagaan hai mujhe nahin maalum liye to phirtaa huun ik mausam-e-vajud ko main bahaar hai ki khizaan hai mujhe nahin maalum vo rang-e-gul to usi khaak mein ghulaa thaa kahin magar mahak vo kahaan hai mujhe nahin maalum khabar to hai ki yahin qarya-e-malaal bhi hai ye kaun mahv-e-fughaan hai mujhe nahin maalum main tujh se duur usi dasht-e-naa-rasi mein huun gum idhar tu nauha-kunaan hai mujhe nahin maalum ye daagh-e-ishq jo miTtaa bhi hai chamaktaa bhi hai ye zakhm hai ki nishaan hai mujhe nahin maalum guzartaa jaataa huun ik arsa-e-gurez se main ye laa-makaan ki makaan hai mujhe nahin maalum ravaan-davaan to hai ye ju-e-zindagi har dam magar kidhar ko ravaan hai mujhe nahin maalum ye kashmakash jo man-o-tu ke darmiyaan hai so hai miyaan-e-sud-o-ziyaan hai mujhe nahin maalum ye ku-e-khaak hai yaa phir dayaar-e-khvaab koi zamin hai ki zamaan hai mujhe nahin maalum yahin kahin pe vo khush-ru thaa aaj se pahle magar vo aaj kahaan hai mujhe nahin maalum"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"hamein khabar nahin kuchh kaun hai kahaan koi hai hamesha shaad ho aabaad ho jahaan koi hai jagah na chhoDe ki sail-e-balaa hai tez bahut uDaa paDaa hi rahe ab jahaan tahaan koi hai fishaar-e-girya kisi taur be-maqaam nahin dayaar-e-gham hai kahin par pas-e-fughaan koi hai vo koi khadsha hai yaa vahm-e-khvaab hai ki khayaal ki ho na ho mire dil apne darmiyaan koi hai kabhi to aisaa hai jaise kahin pe kuchh bhi nahin kabhi ye lagtaa hai jaise yahaan vahaan koi hai kabhi kabhi to ye lagtaa hai fard fard hain ham ye aur baat hamaaraa bhi kaarvaan koi hai kahin pahunchnaa nahin hai use magar phir bhi misaal-e-baad-e-bahaaraan ravaan-davaan koi hai huaa hai apne safar se hazar se begaana vahin vahin pe nahin hai jahaan jahaan koi hai chhalak jo uThti hai ye aankh fart-e-vasl mein bhi to sarkhushi mein abhi ranj-e-raaegaan koi hai shikast-e-dil hai to kyaa raah-e-ishq tark na kar ye dekh kyaa kahin parvarda-e-ziyaan koi hai ab us nigaah-e-fusun-kaar kaa qusur hai kyaa hamein dikhaao agar zakhm kaa nishaan koi hai kahin pe aaj bhi vo ghar hai hanstaa bastaa huaa ye vahm saa hai tire dil ko yaa gumaan koi hai javaar-e-qarya-e-yaaraan mein jaa nikaltaa huun ki jaise ab bhi vahin meraa mehrbaan koi hai"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"tujh se vaabastagi rahegi abhi dil ko ye bekali rahegi abhi sar ko divaar hi nahin milti so ye divaangi rahegi abhi koi din fursat-e-tamannaa hai koi din sar khushi rahegi abhi kaasa-e-umr bhar chukaa phir bhi kahin koi kami rahegi abhi shab vahi hai jamaal-e-khvaab vahi aankh apni lagi rahegi abhi jis qayaamat ki aamad aamad hai vo qayaamat Tali rahegi abhi ham yaqinan yahaan nahin honge ghaaliban zindagi rahegi abhi kuchh abhi ranj-e-aarzu hai hamein aankh mein kuchh nami rahegi abhi tu abhi mubtalaa-e-duniyaa nahin tujh mein ye saadgi rahegi abhi laa-taalluq huun us taalluq se aur ye dosti rahegi abhi ji uchaTtaa nahin hai lagtaa nahin so ye begaanagi rahegi abhi kahin koi charaagh jaltaa hai kuchh na kuchh raushni rahegi abhi"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"kahin par subh rakhtaa huun kahin par shaam rakhtaa huun phir is be-rabt se khaake mein khud se kaam rakhtaa huun saliqe se main us ki guftugu kaa lutf letaa huun aur us ke ru-ba-ru dil mein khayaal-e-khaam rakhtaa huun ba-zaahir madh se us ki kabhi thaktaa nahin lekin darun-e-khaana-e-dil khvaahish-e-dushnaam rakhtaa huun khush aai hai abhi to qaid-e-khvaahish is kharaabe mein abhi khud ko rahin-e-gardish-e-ayyaam rakhtaa huun safar ki subh mein ranj-e-safar ki dhuul uDti hai had-e-aaghaaz mein andesha-e-anjaam rakhtaa huun firaaq o vasl se haT kar koi rishta hamaaraa hai ki us ko chhoD paataa huun na us ko thaam rakhtaa huun dalil-e-khvaab-e-masti hai tiri aamaadgi imshab magar is shab mein tujh se aur koi kaam rakhtaa huun tajaavuz se bhalaa kab tak guzar auqaat mumkin thi so apne khuun tak shor-e-dil-e-badnaam rakhtaa huun"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"gurezaan thaa magar aisaa nahin thaa ye meraa ham-safar aisaa nahin thaa yahaan mehmaan bhi aate the havaa bhi bahut pahle ye ghar aisaa nahin thaa yahaan kuchh log the un ki mahak thi kabhi ye rahguzar aisaa nahin thaa rahaa kartaa thaa jab vo is makaan mein to rang-e-baam-o-dar aisaa nahin thaa bas ik dhun thi nibhaa jaane ki us ko ganvaane mein zarar aisaa nahin thaa mujhe to khvaab hi lagtaa hai ab tak vo kyaa thaa vo agar aisaa nahin thaa paDegi dekhni divaar bhi ab ki ye sauda-e-sar aisaa nahin thaa khabar luun jaa ke us isaa-nafs ki vo mujh se be-khabar aisaa nahin thaa na jaane kyaa huaa hai kuchh dinon se ki main ai chashm-e-tar aisaa nahin thaa yuun hi nimTaa diyaa hai jis ko tu ne vo qissa mukhtasar aisaa nahin thaa"
Abrar AhmadAbrar Ahmad
Quote
"aur kyaa rah gayaa hai hone ko ek aansu nahin hai rone ko khvaab achchhe raheinge an-dekhe khaak achchhi rahegi sone ko tu kahin baiTh aur hukm chalaa ham jo hain teraa bojh Dhone ko chashm-e-nam chaar ashk aur idhar daagh ik rah gayaa hai dhone ko baiThne ko jagah nahin milti kyaa karein oDhne-bichhaune ko ye mah o saal chand baaqi hain aur kuchh bhi nahin hai khone ko naa-rasaai kaa ranj laae hain tere dil mein kahin samone ko aaj ki raat jaag lo yaaro vaqt phir hashr tak hai sone ko yaad bhi teri miT gai dil se aur kyaa rah gayaa hai hone ko"
Abrar AhmadAbrar Ahmad