SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAftab Ranjha(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"raat aati hai to baazaar se lag jaate hain dard hi dard ke ambaar se lag jaate hain chalte hi rahte hain ham par to qazaa ke nashtar ham bhi rote hue divaar se lag jaate hain aise tanhaai rag-e-jaan se lipaT kar roe jaise khalvat mein gale yaar se lag jaate hain 'aalam-e-shauq kinaaron ki kise fursat hai ye safine kabhi manjhdaar se lag jaate hain zindagi tu bhi tamaashe ke sivaa kuchh bhi nahin dekhte dekhte aazaar se lag jaate hain chaandni raat mein baiThe hue tanhaa 'barham' gum-shuda yaadon ke darbaar se lag jaate hain"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"nazrein jo us tannaaz ki ham par Thahar gaiin kaliyaan hamaare haath se do chaar gir gaiin marne ke baa'd aur bhi kuchh saanahe hue saDkein miri aziiz kitaabon se bhar gaiin kuchh gir paDe zamin pe kuchh nim-jaan hue aankhein hamaare yaar ki kyaa kyaa na kar gaiin laai hai aise moD pa ye zindagi hamein jaane hazaaron khvaahishein raahon mein mar gaiin us shokh dil-fareb ki aankhein bhi hain fareb ghaayal dilon mein Duub ke kis kis ke ghar gaiin jaise hi paaein baagh mein us ne kiyaa khiraam bechain titliyaan bhi idhar se udhar gaiin 'barham' rumuz-e-ishq na ham par kabhi khule kyaa kyaa qayaamatein thiin jo dil par guzar gaiin"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"sakht mushkil azaab hai jaanaan jaise tu bhi saraab hai jaanaan ik haqiqat hai yaa fasaana hai zindagi hai yaa khvaab hai jaanaan dard-e-dil umr se muqayyad thaa so vo ab be-hisaab hai jaanaan abhi ruThe ho maan jaao tum yahi achchhaa javaab hai ham se parda-e-naaz kyaa maani chaand to be-naqaab hai jaanaan tum mere shahr mein hi ho lekin kis qadar ye itaab hai jaanaan pur-takalluf hai aaj ki mahfil tum kaho kyaa sharaab hai jaanaan ye hai haalat hamaari jo bhi hai ye tiraa intikhaab hai jaanaan tumhein dekhein to aisaa lagtaa hai ek saa iztiraab hai jaanaan itnaa 'barham' buraa nahin lekin ishq khaana-kharaab hai jaanaan"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"visaal-e-yaar mein hain sar-khushaan gulaab ke phuul umaD paDe hain yahaan se vahaan gulaab ke phuul sharaab jugnu havaa titliyaan gulaab ke phuul sabhi farefta-dil aashiqaan gulaab ke phuul laraz rahe hain shafaq par mohabbaton ke khumaar bikhar rahe hain sar-e-be-karaan gulaab ke phuul dayaar-e-yaar mein khulne lage bahaar ke rang khayaal-e-yaar mein nikhat-fashaan gulaab ke phuul rakhe hain kaanTe bhi ham ne 'aziz-tar lekin khudaa kare ki na hon bad-gumaan gulaab ke phuul chaman mein Daaliyaan labrez hain umangon se kahin pe suukh gae be-nishaan gulaab ke phuul ravish ravish mein utar aae hain misaal-e-bahisht sanbhal rahe hain liye Tahniyaan gulaab ke phuul farishte DhunDte rahte hain aasmaanon mein falak se aaein zamin par yahaan gulaab ke phuul kahaan kahaan na uThe hain shabaab ke fitne raqam karein vo nai daastaan gulaab ke phuul bhari hui hain bahaaron ki jholiyaan 'barham' miri lahad pe girein mehrbaan gulaab ke phuul"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"dil ko dil se ek din aakhir judaa honaa hi thaa hai gila kis baat kaa un ko khafaa honaa hi thaa kaun suntaa hai yahaan khaamosh chikhon ki navaa meri aahon ko bhi yunhi be-sadaa honaa hi thaa kyaa muravvat thi ki saare shahr se uThti gai ik tiraa ye vasf logon mein ravaa honaa hi thaa do ghaDi ham ko mili hai do ghaDi mohlat ki hai zindagi ki qaid se aakhir rihaa honaa hi thaa dekhtaa huun jo kiyaa tu ne 'adu ke saath bhi ai nigaah-e-yaar tujh se kuchh nayaa honaa hi thaa chhoD kar raah-e-safar mein vo to uTh kar chal diye ek din us bevafaa ko bevafaa honaa hi thaa zakhm khaae hain hamesha 'barham' apni jaan par kaar-gaah-e-dahr mein sab se buraa honaa hi thaa"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"fasaana-haa-e-shab-e-gham hai daastaan meri gai na aah kabhi su-e-aasmaan meri likhaa huaa thaa muqaddar mein jite-ji marnaa chhupi hui thi kahin marg-e-naa-gahaan meri jahaan pe khun-e-shahidaan thaa qarz miTTi par usi dayaar mein hai gor-e-be-nishaan meri charaagh-e-shab ki tarah soz-e-gham ke mahshar mein na-jaane kaise gai umr raaegaan meri mizaaj-e-husn hai 'barham' nigaar-khaane mein hui hai tarz-e-takallum bhi be-zabaan meri talaash-e-yaar mein dida-o-dil bhi ibrat hain luTaa gae hain kahin par mataa-e-jaan meri vo shokh-e-naaz gulaabon se khelne vaale hansi hansi mein uDaa le gae fughaan meri sabaa ne chheD diye saaz-e-dil mohabbat ke kali kali ke labon par hai daastaan meri churaa ke le gai saare hi raaz gulshan ke vahi sabaa thi muqaddar mein raaz-daan meri ulajh paDaa hai vo qaatil bhi be-sabab ham se khudaa bachaae kahin le na le vo jaan meri koi nahin hai jo is zindagi kaa mehvar ho bhaTak rahi hai azal se kahaan kahaan meri uThaa janaaza to kohraam mach gayaa 'barham' sanbhal ke le gae miTTi si mehrbaan meri"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"kabhi dil mein utar jaanaa kabhi dil se utar jaanaa yahi hai dilbari un ki miraa ghuT ghuT ke mar jaanaa chaman mein jo huaa us kaa na do ilzaam gulchin ko bahaaron kaa khafaa honaa gulaabon kaa bikhar jaanaa tumhaare haath mein suraj tumhaare haath mein taare ai qaasid le ke lailaa ko miri rah se guzar jaanaa karein shikva kisi se kyaa yahi qismat hamaari thi vahi dushman nikal aayaa jise bhi mo'tabar jaanaa baDaa hi khvaar karti hai miri naazuk-mizaaji bhi kahin par zabt kar jaanaa kahin par aankh bhar jaanaa hamaari saadgi dekhein 'adu ke saath chal nikle takalluf hi takalluf mein use bhi ham-safar jaanaa mujhe to haadson ne hi kisi surat na di mohlat kabhi zindaan ko jaa nikle kabhi sahraa ko ghar jaanaa na daulat hai na shohrat hai mohabbat kyaa musibat hai ai pyaare dost kuchh ilzaam mere naam kar jaanaa nigaah-e-yaar bhi qaatil 'adu ke vaar bhi qaatil kaleja thaam kar tu bhi vahaan ai naama-bar jaanaa hamein har haal mein jiinaa hai aur har haal mein marnaa ye kaisaa khel hai 'barham' idhar rahnaa udhar jaanaa"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"ehsaas se 'aari hain vo andar se ziyaada ahbaab mire sakht hain patthar se ziyaada tanhaa saa paDaa rahtaa huun main kunj-e-makaan mein ik shor saa barpaa hai samundar se ziyaada kuchh yaadon ke saae mujhe jiine nahin dete zakhmi huun main alfaaz ke khanjar se ziyaada niklun main kahaan par ki shanaasaa nahin koi viraan hai ye shahr mire ghar se ziyaada raste mire gum-gashta hain manzil bhi hui gum chaltaa huun baDaa tez main rahbar se ziyaada hai fakhr ki huun shaah-e-madina kaa main khaadim hai kaun miraa shaafe'-e-mahshar se ziyaada hairat hai ki baazaar mein kis chiiz ko bechun dastaar ke bhaao hain mire sar se ziyaada koshish jo hui ham se vo ham ne bhi ki 'barham' miltaa hi nahin rizq muqaddar se ziyaada"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"kaun jaane hai ye di kis ne duaa jiine ki main ne har saans mein paai hai sazaa jiine ki dil ke TukDe jo liye phirtaa huun qarya qarya ba-khudaa kaisi hui mujh se khataa jiine ki ik to is shahr kaa har shakhs huaa hai dushman us pe bhaari hai ye mujh par bhi qazaa jiine ki zindagi vaise bhi ruThi si chali jaati thi ab to mohlat bhi nahin jaan-e-vafaa jiine ki saaqiyaa dil miraa lagtaa nahin mai-khaanon mein mujh ko tadbir koi aur bataa jiine ki vo hain betaab nayaa zakhm lagaane ke liye ik ghaDi aur mujhe de de khudaa jiine ki ai dil-e-khasta tujhe le ke kahaan jaaein ham zahr-e-gham ko bhi vo kahte hain davaa jiine ki dil se utre hue bekaar hain ham bhi 'barham' raas aati nahin ham ko bhi fazaa jiine ki"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"zindagi ki shaam hai izn-e-safar hone ko hai ik musaafir vo huun jo ki dar-ba-dar hone ko hai daagh-daar is dil ko le kar ham kahaan ab jaaeinge fitna-gar vo shahr-bhar mein jalva-gar hone ko hai jo hamaari jaan the hone lage hain ajnabi kaisaa kaisaa zakhm kaari ruuh par hone ko hai ai shab-e-gham tu bataa in hasraton se kyaa kahein bach rahi hain chand saansein aur sahar hone ko hai ik balaa ke baa'd phir se ik balaa aati rahi laazmi ik zarb ham par kaargar hone ko hai daastaan-e-gham sunaa kar vo to uTh kar chal diye phir se ham par gham ki baarish taaza-tar hone ko hai hain miri aankhon mein aansu aur labon par jaan hai zindagi ai zindagi tu mukhtasar hone ko hai jo ki maangi thiin duaaein kho gaiin jaane kahaan kuchh hai ghabraahaT ki ye sab be-asar hone ko hai un kaa aanaa thaa ki saare baam-o-dar sajne lage khushnumaa is shahr ki har rahguzar hone ko hai bas nazar ki baat thi jo ham ko ghaayal kar gai qatl-gaah-e-ishq ki ham par nazar hone ko hai kuchh to aisi baat hai vo baam par aane lage kis pe maail aaj-kal bedaad-gar hone ko hai ham ne 'barham' dekh li ye zindagi vo zindagi dekhte hi dekhte khun-e-jigar hone ko hai"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"kuchh na kuchh is sar-zamin par naagahaan honaa hi thaa un ko mujh se bhi khafaa ai mehrbaan honaa hi thaa chhoD jaaegi hamaari zindagi maa'lum thaa faasla us ke hamaare darmiyaan honaa hi thaa laaeinge ab dekhiye ilzaam kyaa ham par nayaa imtihaan ke baa'd bhi to imtihaan honaa hi thaa kuchh samundar the hamaare chashm-e-tar mein chhup gae kuchh to aansu the jinhein aab-e-ravaan honaa hi thaa tishnagi ai tishnagi is dhuup mein ham kyaa karein qatra qatra khun-e-dil se nim-jaan honaa hi thaa jo sitaare the hamaari gardish-e-ayyaam ke un ko to aakhir hamaari kahkashaan honaa hi thaa shumi-e-qismat ki saare shahr mein badnaam hain jo bhi kuchh achchhaa kiyaa vo raaegaan honaa hi thaa sun ke vo qisse hamaare chup ke chup hi rah gae phir bhi 'aariz the ki un ko gulsitaan honaa hi thaa ai dil-e-naadaan tujhe bhi fikr hai kis baat ki tujh ko bhi ik din kisi ki daastaan honaa hi thaa ham ne khaae hain hazaaron zakhm apni jaan par 'barham' un ko phir bhi ham se bad-gumaan honaa hi thaa"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"ham se afsaane mohabbat ke sunaae na gae daagh-e-dil aise bhi the un ko dikhaae na gae baat kuchh bhi na hui thi ki vo hote naalaan kaun si baat thi ham jis pe rulaae na gae ai mire dost tiri nazr-e-karam hai shaayad tu ne jo gham bhi diye the vo chhupaae na gae ham ne chaahaa thaa ki kuchh bhi na rahe yaad hamein na hi tum yaad rahe aur bhulaae na gae haalat-e-vasl mein ham is ke sivaa kyaa karte ashk aankhon mein jo Thahre vo bahaae na gae bas-ki ik dard-e-mohabbat hi nahin thaa 'barham' kyaa se kyaa zakhm the jo ham pe lagaae na gae"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"chupke chupke dard-o-gham kaa silsila rahne diyaa main ne apni chaahaton ko be-sadaa rahne diyaa kyaa tamaashaa-e-sitam sayyaad ne barpaa kiyaa Daal kar mujh ko qafas mein dar khulaa rahne diyaa qurbatein mujh se rahin aur dil se rakkhaa duur bhi saath rah kar bhi unhon ne faasla rahne diyaa kaarvaan chaltaa rahaa lekin giraa jo zoaf se raaste mein jaise ik patthar paDaa rahne diyaa ab tavaqqo hi nahin vo ghair hain to ghair hain bas yahi kuchh soch kar ham ne gila rahne diyaa faisle un ke rahe aur jiit bhi un ki rahi mujh ko to har haal mein be-dast-o-paa rahne diyaa chal rahi hai zindagi ye dauD hai vo dauD hai is tarah kuchh paa liyaa jo kho gayaa rahne diyaa thaa pari-paikar ko apne husn par itnaa ghurur jaan-e-bulbul se bhi us ne faasla rahne diyaa ab kahaan DhunDoge 'barham' chaahatein aur qurbatein tum ne khud hi shahr ko naa-aashnaa rahne diyaa"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"ho jo mumkin to gayaa vaqt bulaaun vaapas zindagi phir se tujhe DhunD ke laaun vaapas kuchh tire naqsh jo aankhon mein chhupaa rakkhe the sochtaa huun inhein paani mein bahaaun vaapas ek hi qatl se us shakhs ne kar li tauba ai khudaa teri qasam sar ko jhukaaun vaapas rog to rog hai kab tak main uThaaun is ko kyaa tumhein 'ahd-e-vafaa yaad dilaaun vaapas koi hamdam nahin saathi nahin tanhaai hai kyon na us shakhs ke phir naaz uThaaun vaapas vo to aae the gae jaan se khaali kar ke kyaa zaruri hai ki main jaan mein jaaun vaapas meri taqdir ki ab vo bhi nahin hain apne zakhm hi zakhm hain kaanTon pe lagaaun vaapas ab yahaan kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin hai 'barham' ab tire shahr mein kis ke liye aauun vaapas"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"shab-e-gham tu hi bataa kaise vo ghar jaate hain jin ke mausam bhi bahaaron mein bikhar jaate hain ik taraashe hue patthar se umidein kar ke kaisi vahshat hai ki ham jaan se guzar jaate hain ham mizaajon ke hain naazuk ki faqat jhonke se zard patton ki tarah TuuT ke gir jaate hain jab bhi guzre hue lamhon kaa khayaal aataa hai kitne mausam miri aankhon mein utar jaate hain main to divaana huun is shahr-e-vafaa mein lekin jaane kyon log miri aah se Dar jaate hain zindagi teri kaThin raahon pe chalte chalte ham bhi kyaa log hain be-maut hi mar jaate hain ham tire shahr mein lab tishna liye phirte hain ab to lahje bhi yahaan zahr se bhar jaate hain ab nahin ahd-e-vafaa kaa bhi bharosa 'barham' zarf khulte hain to phir dost bhi mar jaate hain"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"na vo tum ho na vo masihaai yunhi sochaa to aankh bhar aai ab vo pahli si raunaqein bhi nahin na vo pahli si hai chaman-aaraai vaqt-e-piri hai hu kaa aalam hai su-e-mahshar chali hai tanhaai dil-e-pur-khun ki ye numaaish hai nau-ba-nau yuun bahaar hai aai kyon tiri yaad bhi nahin aati gham-e-jaanaan hai tu bhi harjaai kaise kaise guzar gae mausam dil se jaati rahi shakebaai kyon mire shahr aa gae ho tum kyaa zaruri hai ab bhi rusvaai bas karo ab vazaahatein 'barham' us se achchhi nahin shanaasaai"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"mohabbat kaa taqaazaa hai ghamon se chuur ho jaanaa kabhi hansnaa kabhi ronaa kabhi majbur ho jaanaa tumhaari kaj-adaai ne bhi mujh se khel khelaa hai miraa badnaam ho jaanaa tiraa mashhur ho jaanaa hamaare dil kaa afsaana jahaan tak yaad aataa hai faqat pahli nazar mein gir ke naa-manzur ho jaanaa miri piine ki aadat bhi ajab se gul khilaati hai jahaan dekhi hasin aankhein vahin makhmur ho jaanaa zamaana bhar to patthar hai faqat hain aabgine ham zaraa si Thes kyaa pahunchi ki chaknaa-chur ho jaanaa kabhi jo aaina dekhaa vahin sharmaa gae khud se unhein aataa hai kaise husn se maghrur ho jaanaa kamaal un ki tabiat hai kabhi bigDe kabhi sanvre karein jo lab-kushaai bhi vahi dastur ho jaanaa hamaari haalat-e-dil kaa bharosa bhi nahin 'barham' jahaan manzil nazar aae vahaan se duur ho jaanaa"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"mahfil mein baar baar jo ham par nazar gai har dil pe jaise lahr-e-qayaamat guzar gai kar ke umid-e-zindagi jiite rahe hain ham ab ki umid-e-zindagi jaane kidhar gai milnaa tumhaaraa jaise bahaaron kaa imbisaat puchhaa jo meraa haal to qismat sanvar gai vo kyaa khabar thi jis ne hamein be-khabar kiyaa vo kyaa nazar thi zakhm-e-jigar tak utar gai kaise hue farefta ye raaz hi rahaa shaayad nigaah-e-yaar baDaa kaam kar gai uljhe hain is tarah se gham-e-rozgaar mein lazzat gham-e-firaaq ki shaam-o-sahar gai ai husn tere chaahne vaalon ki khair ho ai 'ishq teri aah-o-fughaan be-asar gai har dil sulag rahaa hai mohabbat ki aag mein jaane balaa-e-‘ishq bhi kis kis ke ghar gai badnaam kar gai hai hamein rasm-e-dilbari jo bhi nazar uThi hai vo ham par Thahar gai meri kitaab-e-gham kaa bhi qissa huaa tamaam is shahr-e-naa-shanaas mein vo dar-ba-dar gai 'barham' gayaa hai kaam se dil bhi hamaare saath aayaa khayaal-e-yaar to bhi aankh bhar gai"
Aftab RanjhaAftab Ranjha
Quote
"talaash-e-yaar mein jaan se guzar ke dekhte hain jo khaak hain to zamin par bikhar ke dekhte hain vo kis ne dekhi hai gahraai shaam-e-furqat ki ufuq ke paar zamin par utar ke dekhte hain sunaa hai us ki nigaahein shikaar karti hain karishme ham bhi chalo fitna-gar ke dekhte hain agar gulaab hi un ko pasand aate hain to kyon na aaj se ham bhi sanvar ke dekhte hain ye kaun shakhs hai jaane kidhar se aaya hai divaane saare hamein shahr-bhar ke dekhte hain khudaa unhein to bure din kabhi na dikhlaae vo hausle jo hamaare jigar ke dekhte hain hamaari aankhon mein chashme se phuuT paDte hain kabhi kabhi vo hamein aankh bhar ke dekhte hain kaleja thaam ke rakhnaa ai dost mahfil mein vo kyaa se kyaa na sitam ham pe kar ke dekhte hain hamaare sar pe qayaamat si TuuT paDti hai kabhi zamin se zaraa saa ubhar ke dekhte hain talaash-e-yaar mein rahti hai meri tanhaai dayaar-e-ghair mein kyaa kyaa na kar ke dekhte hain miraa hi aks hai mujh se khafaa khafaa 'barham' to kyon na us ke hi haathon se mar ke dekhte hain"
Aftab RanjhaAftab Ranjha