Quote
"rahbar-e-tabl-o-nishaan aur zaraa tez qadam haan mire azm-e-javaan aur zaraa tez qadam is andhere se na ghabraa ki zaraa aur aage hai charaaghaan kaa samaan aur zaraa tez qadam kahin maayus na honaa jo nigaahon se abhi un ki mahfil hai nihaan aur zaraa tez qadam ye yaqin hai ki pahunch jaaeinge un tak ik din chaliye be-vahm-o-gumaan aur zaraa tez qadam bujh na jaaein rah-e-hasti mein tamannaa ke charaagh khvaaja-e-raah-ravaan aur zaraa tez qadam kis bulandi pe ravaan tum ho zamin ke zarro hain sitaare nigaraan aur zaraa tez qadam mil hi jaaegaa kahin shahr-e-nigaaraan 'akhtar' ai parastaar-e-butaan aur zaraa tez qadam"







