Quote
"tere maikhaane kaa ye bhi ajab dastur hai saaqi koi tishna-dahan masti mein koi chuur hai saaqi dilon ke rabt-e-paiham ko khudaa qaaem rakhe hamdam na main huun duur saaqi se na mujh se duur hai saaqi bahal jaae jahaan dil hai vahi jannat haqiqat mein jo dil insaan kaa le le vo insaan huur hai saaqi na le mukhtaariyon se kaam tu us ke muqaabil mein tere mai-kash ke siine mein dil-e-majbur hai saaqi miri khuddaariyaan bad-kaifiyon se dab nahin saktin agarche shisha-e-dil apnaa chaknaa-chur hai saaqi tiri jaadu bhari aankhon ne aisi mai pilaai hai hamaari zindagi ki zindagi makhmur hai saaqi Thikaana hi nahin koi mire armaan-e-masti kaa na ye mahdud hai saaqi na vo mahsur hai saaqi jahaan haajat na mai ki hai na shishe ki na saaghar ki abhi vo manzil-e-hasti nihaayat duur hai saaqi inaayat se pilaa de rind-e-khud-atvaar 'akmal' ko tiri dariyaa-dili kaunain mein mashhur hai saaqi"







