Quote
"aankhon kaa puuraa shahr hi sailaab kar gayaa ye kaun mujh mein nazm ki surat utar gayaa jangal mein teri yaad ke jugnun chamak uThe maidaan siyaah-shab kaa ujaalon se bhar gayaa varna siyaah raat mein jhulsaa huaa thaa main ye to tumhaari dhuup mein kuchh kuchh nikhar gayaa jhumaa thirakte naachte joDon mein kuchh ghaDi dil phir na jaane kaisi udaasi se bhar gayaa donon anaa mein chuur the an-ban si ho gai rishta nayaa nayaa saa thaa kuchh din mein mar gayaa pahle kuchh ek din to kaTi mushkilon mein raat phir teraa hijr meri ragon mein utar gayaa haathon se apne khud hi nasheman ujaaD kar dekho udaas ho ke parinda kidhar gayaa ik chikh aasmaan ke daaman mein so gai dil ki zamin pe dard har ik su bikhar gayaa"







