Quote
"manzilon ki or jaate sab ishaare mar gae aankh ki dahliz par jab khvaab saare mar gae lamha-bhar ko chaand muTThi mein chhupaa ke rakh liyaa lamha bhar mein dekh to kitne sitaare mar gae us ne jab ik phuul ke rukhsaar par bosa diyaa tum ne dekhaa hi nahin kitne nazaare mar gae paaniyon ki chaah mein us ke qadam uTThe to phir ho gayaa dariyaa samundar aur kinaare mar gae us ne jab sar ko mire kaandhe pe aa ke rakh diyaa phir shajar divaar-o-dar aur sab sahaare mar gae vaqt-e-rukhsat hausla jaane kahaan gum ho gayaa soch paagal ho gai alfaaz saare mar gae is tarah sadqe utaare us ne apni zaat ke us ne apne sar se jitne log vaare mar gae"
A
Ashfaq Ahmad Saim






