Quote
"machhliyaan jaal machhere dariyaa ye mire khvaab ye bahte dariyaa barf pighli tiri aahaT paa kar teri aavaaz pe jaage dariyaa ye ravaani nahin dekhi hogi tu ne dekhe hain bahut se dariyaa jis ne dekhi nahin aankhein teri vo kabhi shaam ko dekhe dariyaa kis ko kis paar utarnaa hai bataa is kahaani mein hain kitne dariyaa kashti-e-nuh mein baiThaa huun main kyaa pichhe tufaan hai aur aage dariyaa Dubne vaale bataate hi nahin kis qadar hote hain gahre dariyaa bastiyaan un ko bhi aati hain nazar itne andhe nahin hote dariyaa tu ne paayaab kiyaa hai mujh ko main huaa kartaa thaa pahle dariyaa tu nahin jaantaa paani ki kashish tu ne dekhe nahin aise dariyaa"







