SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAsif Shafi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jahaan-e-husn-o-nazar se kinaara karnaa hai vajud-e-shab ko mujhe istiaara karnaa hai mire daricha-e-dil mein Thahar na jaae kahin vo ek khvaab ki jis ko sitaara karnaa hai tamaam shahr andheron mein Duub jaaegaa havaa ko ek hi us ne ishaara karnaa hai ye qurbaton ke hain lamhe inhein ghanimat jaan inhi dinon ko to ham ne pukaaraa karnaa hai vo doston ko bataaegaa pyaar kaa qissa aur us ne zikr bahut kam hamaaraa karnaa hai miri nigaah mein jachtaa nahin koi 'aasif' visaal-e-yaar ko haasil dobaara karnaa hai"
Asif ShafiAsif Shafi
Quote
"zamin kahin hai miri aur aasmaan kahin bhaTak rahaa huun khalaaon ke darmiyaan kahin miraa junun hi miraa aakhiri taaaruf hai main chhoD aayaa huun apnaa har ik nishaan kahin isi liye main rivaayat se munharif na huaa ki chhoD de na mujhe meraa khaandaan kahin likhi gai hai miri fard-e-jurm aur jagah liye gae hain gavaahaan ke bayaan kahin havaa-e-tund se laDnaa miri jibillat hai Dubo hi de na mujhe ye miri uDaan kahin dil-e-hazin kaa ajab haal hai mohabbat mein koi ghazab hi na Dhaa de ye naa-tavaan kahin main daastaan-e-mohabbat ise sunaa aayaa kahin kaa zikr thaa lekin kiyaa bayaan kahin havaa-e-shahr tujhe raas hi nahin 'aasif' misaal-e-qais tu sahraa mein khaak chhaan kahin"
Asif ShafiAsif Shafi
Quote
"jamaal-e-yaar ko tasvir karne vaale the ham ek khvaab ki taa'bir karne vaale the shab-e-visaal vo lamhe ganvaa diye ham ne jo dard-e-hijr ko iksir karne vaale the kahin se TuuT gayaa silsila khayaalon kaa kai mahal abhi taa'mir karne vaale the aur ek din mujhe us shahr se nikalnaa paDaa jahaan sabhi miri tauqir karne vaale the hamaari dar-badari par kise ta'ajjub hai ham aise log hi taqsir karne vaale the jo lamhe biit gae hain tiri mohabbat mein vo lauh-e-vaqt pe tahrir karne vaale the charaagh le ke unhein DhunDhiye zamaane mein jo log 'ishq ki tauqir karne vaale the vahi charaagh vafaa kaa bujhaa gae 'aasif' jo shahr-e-khvaab ki taa'mir karne vaale the"
Asif ShafiAsif Shafi
Quote
"raah-e-junun pe chal pare jiinaa muhaal kar liyaa ham ne talaash-e-husn mein khud ko niDhaal kar liyaa mujh ko to khair chhoDiye meri to baat aur thi ye bhi bahut hai us ne kuchh apnaa khayaal kar liyaa kaise vo din the pyaar ke khud pe bhi jab yaqin thaa pal mein judaai Daal li pal mein visaal kar liyaa jaise rahe hain vasl mein marte rahe hain hijr mein ye bhi kamaal kar liyaa vo bhi kamaal kar liyaa apni bhi kuchh khabar nahin dil ki bhi kuchh khabar nahin ham ne tumhaare hijr mein kaisaa ye haal kar liyaa"
Asif ShafiAsif Shafi
Quote
"ek yusuf ke kharidaar hue hain ham log phir mohabbat mein giraftaar hue hain ham log chashm-e-rangin ki karaamaat se ghaayal ho kar teri ulfat ke talabgaar hue hain ham log shahr-e-khubaan ki rivaayaat se shorish kar ke gham-e-hijraan ke sazaa-vaar hue hain ham log zindagi tu ne hamein dard ke aansu bakhshe phir bhi tere hi taraf-daar hue hain ham log subh-e-aalaam kaa chehra nahin dekhaa jaataa khvaab-e-khush-rang se bedaar hue hain ham log manzil-e-ishq bhi ham ko hi mili hai 'aasif' dasht-o-sahraa mein agar khvaar hue hain ham log"
Asif ShafiAsif Shafi
Quote
"ai mujhe 'mir' ke ashaar sunaane vaale jaag uTThe hain kai dard puraane vaale mujh ko tanhaai mein yuun chhoD ke jaataa kyuun hai teri jaanib hain kai qarz chukaane vaale ye bataa hijr ke mausam kaa mudaavaa kyaa hai mujh ko andaaz mohabbat ke sikhaane vaale ishq vaalon se hasab aur nasab puchhte ho log hain ye to miyaan unche gharaane vaale varna sahraa ki na yuun khaak uDaai hoti tu ne dekhe hi nahin saanp khazaane vaale dil ki manzil kaa hai aaghaaz vahaan se 'aasif' lauT aate hain jahaan se ye zamaane vaale"
Asif ShafiAsif Shafi
Quote
"dil mein vafaa ki hai talab lab pe savaal bhi nahin ham hain hisaar-e-dard mein us ko khayaal bhi nahin vo jo anaa parast hai main bhi vafaa parast huun us ki misaal bhi nahin meri misaal bhi nahin ahd-e-visaal-e-yaar ki tujh mein nihaan hain dhaDkanein mauja-e-khun-e-ehtiyaat khud ko uchhaal bhi nahin tum ko zabaan de chuke dil kaa jahaan de chuke ahd-e-vafaa ko toD dein apni majaal bhi nahin us se kaho ki do ghaDi ham se vo aa mile kabhi maanaa ye hai muhaal par itnaa muhaal bhi nahin"
Asif ShafiAsif Shafi
Quote
"kaar-e-duniyaa se gae dida-e-bedaar ke saath rabt laazim thaa magar nargis-e-bimaar ke saath qimat-e-shauq baDhi ek hi inkaar ke saath vaaqia kuchh to huaa chashm-e-kharidaar ke saath har koi jaan bachaane ke liye dauD paDaa kaun thaa aakhir-e-dam qaafila-saalaar ke saath main tire khvaab se aage bhi nikal saktaa huun dekh mujh ko na parakh vaqt ki raftaar ke saath zulm se haath uThaanaa nahin aataa hai agar kuchh riaayat hi karo apne giraftaar ke saath qimat-e-husn-o-adaa jaan ki baazi Thahri log aae the vahaan dirham-o-dinaar ke saath had se baDh kar bhi taghaaful nahin achchhaa hotaa kuchh taalluq bhi to rakhte hain parastaar ke saath"
Asif ShafiAsif Shafi
Quote
"umr saari tiri chaahat mein bitaani paD jaae ye bhi mumkin hai ki ye aag bujhaani paD jaae meri is khaana-badoshi kaa sabab puchhte ho apni divaar agar tum ko giraani paD jaae mere aadaa se kaho had se tajaavuz na karein ye na ho mujh ko bhi shamshir uThaani paD jaae kyaa tamaashaa ho agar vaqt ke sultaan ko bhi dar-e-insaaf ki zanjir hilaani paD jaae kaash phir mujh se vo puchhein miri vahshat kaa sabab kaash phir mujh ko vo tasvir dikhaani paD jaae dasht se shahr mein kuchh soch ke aanaa 'aasif' zindagi bhar ki riyaazat pe na paani paD jaae"
Asif ShafiAsif Shafi