SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAtbaf Abrak(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jis qadar faasle baDhaae hain aap utnaa hi paas aae hain qaasido jaan maang lo chaahe gar khabar aap un ki laae hain ham ko likhtaa ki jaa chalaa jaa tu kaise jaaein ki tere saae hain ek main hi nahin makin apnaa aap mehmaan bin bulaae hain khaak koi hasin nazar aae aap jab aankh mein samaae hain aap to de ke zakhm bhuul gae ham ne marham vo sab banaae hain 'ishq ke rog ne sataayaa thaa ab tabibon ke ham sataae hain aap ko zindagi kahaa aise zindagi ko bhi ham na bhaae hain maantaa huun vafaa nahin laazim khvaab kyuun baa-vafaa dikhaae hain kaun kaafir kare jafaa 'abrak' vo khayaalon mein muskuraae hain"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"chaahe ik pal kaa sahi saath gavaaraa kar lo phir koi gham nahin gar ham se kinaaraa kar lo meraa hissa hai mohabbat to adaa naqd karo gar nahin bas mein to nafrat hi khudaa-raa kar lo kaun kahtaa hai ki laazim inhein taa'bir bhi do mere khvaabon ko bas aankhon mein gavaaraa kar lo gar nahin aur vajah koi shanaasaai ki ik mohabbat hai vahi phir se dubaaraa kar lo phir kahaan aur kisi kaa vo kabhi ho paayaa jis pe ik baar yahaan tum jo ijaaraa kar lo maanaa mushkil hai miraa tum se bichhaD kar jiinaa saath mein to huun tire tum to guzaaraa kar lo dam nikal jaaegaa yuun hi miraa hanste hanste ik nazar meri taraf hans ke ishaaraa kar lo ham nahin vo ki jo le jaaeinge manzil ki taraf yahi behtar hai koi aur sitaaraa kar lo ek hi shakhs ki chaahat mein bhalaa kyaa marnaa bevafaai ko hi jiine kaa sahaaraa kar lo jab kabhi baandhaa hai 'abrak' ne yahaan rakht-e-safar dil machaltaa hai zaraa aur nazaara kar lo"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"vo ham ko dil mein rakkhegaa yaa dil se ab nikaalegaa uThegaa jab talak parda tajassus maar Daalegaa main aksar jaanchne ko ye bas apnaa haq jataataa huun kahaan tak baat maanegaa kahaan par ham ko Taalegaa ta'ayyun kab hai mumkin ab ta'alluq kaa ravayyon se use ham par yaqin hai zakhm sab chup-chaap khaa legaa mohabbat ki Dagar par jo bhi nikle soch kar nikle safar ye vo nahin jo laaziman manzil bhi paa legaa kabhi sochaa gayaa jo thak ke dil ki vaaguzaari kaa savaal uTThaa yahi masrufiyat kyaa aur paalegaa chalan ahl-e-vafaa kaa hai aTal khaamoshiyaan 'abrak' zamaana dekhtaa hai sab vo khud qissa uchhaalegaa"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"zang-aalud havaalon se nikal aae ho khvaab-e-taaza liye khvaabon se nikal aae ho sukhe khvaabida gulaabon se nikal aae ho baa'd muddat ke kitaabon se nikal aae ho yunhi saamaan puraane pe nazar jaa Thahri phir se tum band lifaafon se nikal aae ho kyaa ye zanjir ye zindaan kaDe pahre karein raushni ban ke kivaaDon se nikal aae ho tum jo har aan yunhi rahte ho hanste-baste kyaa mohabbat ke 'itaabon se nikal aae ho kis qadar saadgi hai saans bhi tum lete ho aur samajhte ho 'azaabon se nikal aae ho ab talab hai na tajassus na hai vo 'ahd-e-vafaa tum ghalat soch iraadon se nikal aae ho vaqt guzraa nahin lauTegaa so be-kaar hi tum bad-gumaani ki panaahon se nikal aae ho ye jo ik chup si lagi hai tumhein taaza 'abrak' thak gae ho yaa savaalon se nikal aae ho"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"mehmaan chaar din ke aur ghar samajh liyaa hai ham ne saraab hi ko manzar samajh liyaa hai kitnon ne kar liyaa hai duniyaa ko ab musakhkhar khud ko sikandaron se bartar samajh liyaa hai achchhaa hai kyaa buraa kyaa is baat se gharaz kyaa bas zaat hi ko apni mehvar samajh liyaa hai bhule kitaab ko ham paighaam saaraa bhule bhaTke musaafiron ko rahbar samajh liyaa hai hote sabaq nahin jo ab yaad is jahaan ko un ko nisaab hi se baahar samajh liyaa hai tahzib apni khoi kho baiThe 'ilm saaraa rangini-e-jahaan ko zevar samajh liyaa hai khud nuqs se mubarraa khud 'aib se hain 'aari aur sab ko raaste kaa patthar samajh liyaa hai samjhegaa khaak koi ab raaz is jahaan ke qatre ne khud ko 'abrak' saagar samajh liyaa hai"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"sab gunaah-o-haraam chalne do keh rahe hain nizaam chalne do zid hai kyaa vaqt ko badalne ki yunhi sab be-lagaam chalne do be-kasi bhuuk aur musibat kaa khuub hai ehtimaam chalne do ahliyat kyaa hai meri chhoD us ko naam kaafi hai naam chalne do muft martaa nahin to raahon mein tujh ko dete hain daam chalne do tum ho zaahid to jaao sajde mein mai-kade mein to jaam chalne do tere ajdaad ke the aaqaa ham khud ko bhi zer-e-daam chalne do haq ko chhoDo kitaab ko chhoDo hukm-e-haakim se kaam chalne do ham jo utre to phir andheraa hai so yahi gham ki shaam chalne do shaah jaaegaa shaah aaegaa tum rahoge ghulaam chalne do"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"sab ke hisse mein kai baar hai baT kar dekhaa kuchh na haasil huaa manzar se bhi haT kar dekhaa duur be-kaar saa mubham saa nazar aataa huun aaine se bhi bahar-taur chimaT kar dekhaa hai musalsal mire sar dhuup kisi sahraa si laakh divaaron ke saae se lipaT kar dekhaa farq hone se na hone se mire kuchh bhi nahin baar-haa ham ne kahaani mein simaT kar dekhaa kitni hasrat thi ki anjaam badal jaaegaa varaq aakhir kaa kai baar palaT kar dekhaa phir yahi hotaa hai rah jaataa huun tanhaa main hi vaqt ke saaz ko har lai ko ulaT kar dekhaa jitni shiddat se mire khvaab ko toDaa gayaa hai utni shiddat se vahi khvaab hai DaT kar dekhaa jo parakh sakti hamein aankh mayassar na hui apni qimat se bhi 'abrak' ne to ghaT kar dekhaa"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"'ajab ik parda haael hai jo sarkaayaa nahin jaataa bahut sidhi si baaton ko bhi samjhaayaa nahin jaataa kabhi ye naaz thaa khud par ki mir-e-kaarvaan ham hain luTe phir qaafile aise ki itraayaa nahin jaataa bahut vaa'de hue ham se mudaavaa laazmi hogaa magar hai vaqt aisaa qarz lauTaayaa nahin jaataa bahaarein jab nahin apni to phir kyaa aarzu rakhnaa ye gulshan maange ki khushbu se mahkaayaa nahin jaataa na-jaane kyuun sabhi rishte hue jaate hain ab laaghar ki duuri do qadam ki ho magar aayaa nahin jaataa kisi se mashvara kaisaa kisi se puchhnaa kyaa ab mohabbat hai hunar aisaa jo batlaayaa nahin jaataa mire sayyaad se keh do nahin ab lauTnaa mumkin samundar mein gire qatre ko phir paayaa nahin jaataa ab aage DhunDte ho kyaa mujhe tum is kahaani mein main huun kirdaar jo anjaam tak laayaa nahin jaataa kaheinge kyaa mujhe apne kahegaa ye zamaana kyaa ho 'abrak' sach agar likhnaa to ghabraayaa nahin jaataa"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"bikharte raabton kaa hai bichhaDte raaston kaa hai december naam hai jis kaa mahina haadson kaa hai kahin hai aas kaa baadal kahin yaadon ki bundein hain machalti khvaahishon kaa hai ye mausam baarishon kaa hai vahi mai-kash havaaein hain vahi gum-sum fazaaein hain miri pur-amn duniyaa mein ye mausam saazishon kaa hai puraane 'aarize saare umaD aae hain aankhon mein ye mausam hai saraabon kaa ye mausam vasvason kaa hai vahi sab rat-jage 'abrak' vahi tere gile 'abrak' ki us ke baa'd bhi har pal usi ki vahshaton kaa hai"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"tum ko baanhon mein bulaate hue ro paDtaa huun khud ko khvaabon se jagaate hue ro paDtaa huun bisiyon baar bulaataa huun tumhein bhule se bisiyon baar bulaate hue ro paDtaa huun bhigti khuub hai be-vaqt ki barsaat mein tu jahaan tasvir banaate hue ro paDtaa huun puchhtaa jab hai koi hamdam-e-derina tiraa main koi baat banaate hue ro paDtaa huun jo faqat likkhaa gayaa tujh ko sunaane ke liye ab vo ghairon ko sunaate hue ro paDtaa huun jab koi maangtaa hai kaandhaa miraa rone ko use khaamosh karaate hue ro paDtaa huun jab bhi aataa mire jangal mein shikaari koi aashiyaanon ko jalaate hue ro paDtaa huun rah gayaa ek shanaasaa hai bhari duniyaa mein aaine ko main hansaate hue ro paDtaa huun ab koi ghair bhi kahtaa hai khudaa haafiz jab main vahin haath hilaate hue ro paDtaa huun"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"dil se vo kaam nahin lete hain ab miraa naam nahin lete hain vo bhi aaghaaz bhulaa baiThe hain ham bhi anjaam nahin lete hain ham se naalaan hain mohabbat kyuun ki khud par ilzaam nahin lete hain hazrat-e-dil kaa bhalaa kyaa kiije zaraa aaraam nahin lete hain zid hai girnaa hai yahaan roz-o-shab jab talak thaam nahin lete hain koi samjhaae bujhaae dil ko dil par aalaam nahin lete hain mere she'ron pe hai marti duniyaa vahi paighaam nahin lete hain lijiye muft mein jaan le liije jaan ke ham daam nahin lete hain tauba kitnaa hai buraa naam 'abrak' jab vahi naam nahin lete hain"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"raat din aasaan hote jaa rahe hain jab se ham anjaan hote jaa rahe hain saans the ham jaan the ham zindagi the ab kidhar vo dhyaan hote jaa rahe hain kyaa gila ab kijiye ik dusre se dil hi be-imaan hote jaa rahe hain tum bhi ab vo apsaraa si kab rahi ho ham bhi ab insaan hote jaa rahe hain jis ko jo chaahe samajhtaa hai samajh le is qadar aasaan hote jaa rahe hain dekh ham ko vaapsi ke raaston par raaste hairaan hote jaa rahe hain gham alam tanhaaiyaan vo ratjage sab mere bin viraan hote jaa rahe hain ham ne sochaa thaa bahut mushkil hai jiinaa khud-ba-khud aasaan hote jaa rahe hain is tarah aazaad hain ab sab fazaaein qaid khud zindaan hote jaa rahe hain ham tire bin aaj yuun zinda hain 'abrak' zindagi ki jaan hote jaa rahe hain"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"jab log hon aasuda bhulaa dete hain duniyaa ham logon ki duniyaa mein milaa dete hain duniyaa logon ko to mil jaate hain duniyaa mein masihaa ham chaaragari mein hi ganvaa dete hain duniyaa ho zarf zamaane kaa zamaane ko mubaarak ham phir se ujaDne ko basaa dete hain duniyaa hairaan hai khud ham pe ye fan baazigari kaa haTte hain yuun manzar se sajaa dete hain duniyaa dil rakhne ko duniyaa kaa yahaan jhuk ke hain milte par baat ho dil ki to jhukaa dete hain duniyaa thaa qissa vo jaan-levaa sunaanaa nahin mumkin bas hanste hain aise ki rulaa dete hain duniyaa is fikr mein Duube hain samajh aae haqiqat vo khvaab nahin ham jo jagaa dete hain duniyaa"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"zindagi khvaab dikhaati hai ye kaise kaise ham bhi saade hain kiye jaate hain vaise vaise ham hain kuchh putliyaan insaan yunhi kahte hain ham ko har saans bataayaa gayaa aise aise ham ko maa'lum nahin apnaa muqaddar lekin likkhaa haathon ki lakiron mein hai jaise taise aankh se mahv hue aur bhi manzil ke nishaan diip jalte hi rahe raah mein jaise jaise us mohabbat ki kahaani ke hain kirdaar sabhi jis ke dibaache pe likkhaa gayaa paise paise jin ki khu mein na vafaaein na nibhaane ki adaa un ki daanist mein ham log hain aise vaise ye muravvat ye mohabbat ye ta'alluq naate rog 'abrak' ye lage hain tujhe kaise kaise"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"jiine ke un ke saath bahaane chale gae uTh kar gae vo yuun ki zamaane chale gae ehsaas jin ke hone se hone kaa thaa kabhi un be-gharon ke saare Thikaane chale gae karnaa yahaan pe kyaa thaa magar kar rahe hain kyaa ham kyaa karein ki apne siyaane chale gae jo paas the to qissa bhi kyaa dil-fareb thaa kholi jo ab kitaab fasaane chale gae raunaq to chaar su hai magar muflison ko kyaa khaali hain un ki jebein khazaane chale gae taptaa hai aaftaab to jalti hai ye zamin mausam bhi un ke saath suhaane chale gae haasid samajh na liije yunhi sochtaa huun main ab vo na jaane kis ko rijhaane chale gae 'abrak' mohabbaton mein na daa've kiyaa karein kyuun khud na aap un ko manaane chale gae"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"sar ye har haal jhukaa ham ne qanaa'at ki thi ik tiri baar hi bas rab se shikaayat ki thi is qadar sakht sazaa bhi to nahin banti thi ham ne bachpan se nikalne ki sharaarat ki thi hosh vaalon ki na baaton mein hami aae kabhi varna har ik ne sanbhalne ki hidaayat ki thi mo'tabar the kabhi duniyaa ki nazar mein ham bhi phir huaa yuun ki miri tum ne himaayat ki thi ham ne maanaa ki chalo markazi mujrim ham hain kuchh dinon tum ne bhi to ham se mohabbat ki thi be-vafaaon se vafaa khabt hai laa-haasil saa hamein maa'lum thaa phir bhi ye himaaqat ki thi naf' nuqsaan ki baatein nahin jachti ham ko ham ne kab yaar tire saath tijaarat ki thi mubtalaa taaza hai tu khush hai mohabbat se to sun us ne aaghaaz mein ham par bhi 'inaayat ki thi kyuun zabaanon pe faqat naam tiraa hai 'abrak' tum se pahle bhi to kitnon ne baghaavat ki thi"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"main to huun sirf qissa-khvaan is mein duniyaa teri hai daastaan is mein chaahe koi bhi dil TaTolo tum koi rahtaa hai nim-jaan is mein kaT rahaa hai shajar shajar ye chaman kaisaa ghaafil hai baaghbaan is mein kabhi mahfil thi gham-gusaaron ki aaj rahte hain bad-gumaan is mein khud jahaan degaa aandhiyon ko khabar tum banaao to aashiyaan is mein har ta'alluq hai naav kaaghaz ki aur mohabbat hai baadbaan is mein ghar banaao to ehtiyaat karo rah na jaae faqat makaan is mein the fasaane ki aankh mein aansu zikr aayaa miraa jahaan is mein mil gai to guzaar li ham ne yuun jiyaa jaataa hai kahaan is mein go ki saakit hai zindagi meri dard rakkhaa gayaa ravaan is mein shikva hai to hayaat se itnaa jaa rahaa huun main raaegaan is mein ye zamaana hai aaina 'abrak' DhunDtaa kyaa hai khubiyaan is mein"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"raston se kyaa gila hai jo manzil yahaan nahin jis paar thaa utarnaa vo saahil yahaan nahin maanaa vahi hai shahr vahi bhiD-bhaaD hai jis ko miri talaash vo mahfil yahaan nahin laazim hai kyuun hami pe har ik khvaab dekhnaa kyuun ham kisi ke khvaab kaa haasil yahaan nahin mumkin kahaan hai aur ki ab justuju ai dil jab ik nazar ke bhi koi qaabil yahaan nahin tum aur tumhaare baa'd ye aasaaniyaan huiin ab aur koi bhi hamein mushkil yahaan nahin nindon ko ham se bichhDe zamaane guzar gae yaadon se aaj kahnaa vo ghaafil yahaan nahin jo bhi yahaan pe niklaa mohabbat hai baanTne dariyaa mein pheink aayaa ki saail yahaan nahin 'abrak' uTho chalo kahin dete hain aur jaan tu jis ko DhunDtaa hai vo qaatil yahaan nahin"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"khud-ba-khud aise vo she'ron mein utar aataa hai jaise maalik binaa dastak diye ghar aataa hai ye zaruri nahin ho ghar kaa pata to aae us ko bin aae bhi aane kaa hunar aataa hai dil se uTh jaati hai har shai ki mohabbat us dam jab mohabbat ke koi zer-e-asar aataa hai mujh ko maa'lum nahin aap ki surat kyaa hai mujh ko har shakhs mein vo shakhs nazar aataa hai ye mohabbat kabhi taa-der nahin chhup sakti ye vo Duubaa hai jo kuchh duur ubhar aataa hai kis ki ban sakti hai khud socho bhalaa is dil se jo bhi kahtaa huun ulaT us kaa ye kar aataa hai dost aasaan nahin barson ki riyaazat hai ki ab ba-khushi sog manaane kaa hunar aataa hai hai ye ehsaas ghalat raah nikal aayaa huun aise raste mein magar moD kidhar aataa hai aaj phirtaa hai jo is shahr mein hanstaa-bastaa kal ke akhbaar mein vo ban ke khabar aataa hai laaziman maan ne miri yaad kiyaa hogaa mujhe varna sahraa mein bhalaa sabz shajar aataa hai apni marzi yahaan rakhtaa nahin koi 'abrak' uTh ke chal detaa hai jab hukm-e-safar aataa hai"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"jo bujh rahe hain diye un ko ye khabar karnaa unhi ke dam se hai mumkin huaa sahar karnaa jo qaafilon mein na the manzilon ko jaa pahunche koi sikhaae hamein is tarah safar karnaa bharose dil ke jo kiin hijratein to ye jaanaa hai is kaa mashghala basti ko dar-ba-dar karnaa ganvaa di zindagi manzil ki chaah mein ham ne magar na chaahaa kabhi raaston ko ghar karnaa dilon ke faisle hote nahin dimaaghon se so ham ne chhoD diyaa hai agar magar karnaa gar apne shaam-o-sahar dekh lein to ham jaanein du'aa ne chhoD diyaa ab hai kyuun asar karnaa bas apne aap ki baaton mein aae rahte hain kisi ke bas mein kahaan khun-e-dil jigar karnaa qusur vaqt bhalaa kab mu'aaf kartaa hai khamir mein hi nahin is ke darguzar karnaa rahe vo shaad zamaane mein sab ki hasrat hai magar ye khvaab hai aayaa kise basar karnaa"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"sadiyon ke faasle par apnaa qayaam us se ummid phir sabaa se laae payaam us se maanaa nahin hai mumkin khud lauT aanaa us kaa koi to le ke aae bas ik salaam us se miltaa hai jaa-ba-jaa vo har raaste par ab tak khaali nahin hai koi ab bhi maqaam us se din mein khayaal-e-mahshar raatein hain dasht-e-vahshat ab bhi chale hamaaraa saaraa nizaam us se yaadon se jab kare hai tanhaai meri shikva divaar tum ho jaise huun ham-kalaam us se badle hain taur us ne ham aaj bhi hain qaaim apnaa to bas yahi hai ab intiqaam us se saaraa qusur apnaa kab kuchh khataa hai us ki kyunkar banaae rishte ham ne tamaam us se 'abrak' majaal kis ki keh de buraa jo us ko is 'ishq ko milaa hai saaraa davaam us se"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"qisse pur-nam nahin rahe is mein jab tire gham nahin rahe is mein aap kis dil ki baat karte hain ab vo 'aalam nahin rahe is mein gham-e-dauraan se dil hai yuun bahlaa tere maatam nahin rahe is mein ab to kirdaar daastaan ke kahin aap kuchh jam nahin rahe is mein maantaa huun vujud hai baaqi ab magar ham nahin rahe is mein sach ye hai jism bhi hai thakne lagaa ham bhi to kam nahin rahe is mein har zarurat kahe nichoDo ise thoDaa bhi dam nahin rahe is mein aankh ne dekhi hai hayaat 'abrak' ashk ab tham nahin rahe is mein"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak
Quote
"anjaam kahaani kaa ye hai taa-'umr hamein naashaad kiyaa is bahs se ab kyaa haasil hai kis kis ne hamein barbaad kiyaa har aankh ki binaai the kabhi ham kaar-e-masihaai the kabhi us basti par phir bojh bane jis basti ko aabaad kiyaa ham khvaab kabhi the gulshan kaa ummid the har ik mausam ki phir vaqt ne ham ko yuun bartaa har rishte se aazaad kiyaa ham raste banaayaa karte the chalnaa bhi sikhaayaa karte the ye 'ishq jo tum ab karte ho ham jaison ne ijaad kiyaa ham log puraanaa qissa hain ham log puraani rasmein hain vo said hain jis ne apni khushi kuchh yaadon ko sayyaad kiyaa naaseh na banaa 'abrak' koi kab koi chaara-saaz milaa tab zakhmon ko aaraam aayaa jab se hai khudaa ko yaad kiyaa"
Atbaf AbrakAtbaf Abrak