SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAusaf Shaikh(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hai bapaa ik hashr saa divaar par kaun paDhtaa hai likhaa divaar par main ne puchhaa kyaa pas-e-divaar hai us ne likkhaa daaera divaar par aao aadaab-e-mohabbat siikh lo likh diyaa hai zaabta divaar par ab na chhaaegaa tilism-e-tirgi chhoD aayaa huun diyaa divaar par sar uThaati sar paTakhti hai nadi muskuraataa hai ghaDaa divaar par chhoD di teri gali teraa nagar paDh chukaa huun faisla divaar par phir koi aangan hai kam lagne lagaa phir khaDaa hai masala divaar par is liye 'ausaaf' chhoD aayaa huun ghar phir na guzre saaneha divaar par"
Ausaf ShaikhAusaf Shaikh
Quote
"ek ehsaas-e-ziyaan chhoDegaa hijr hai ye to nishaan chhoDegaa yaa bulaaegaa sar-e-dasht-e-balaa yaa sar-e-nok-e-sinaan chhoDegaa pahle raste se uThaaegaa yaqin aur phir us pe gumaan chhoDegaa main bhi bolungaa bahut bolungaa khauf jab meri zabaan chhoDegaa jaantaa huun ki vo chhoDegaa zarur dekhnaa hai ki kahaan chhoDegaa shahryaari na thi tere bas mein main na kahtaa thaa miyaan chhoDegaa jo rivaayat hai vo puuri hogi ishq mujh ko bhi kahaan chhoDegaa main hi 'ausaaf' likhungaa anjaam ye kahaani vo jahaan chhoDegaa"
Ausaf ShaikhAusaf Shaikh
Quote
"ajab dekhaa hai manzar daaere mein simaT aayaa samundar daaere mein kahin to khatm ho kaisaa safar hai phiraa huun zindagi bhar daaere mein tu faateh hai khule maidaan kaa maanaa khulegaa teraa jauhar daaere mein tu meri aankh se dariyaa churaa le main laaungaa samundar daaere mein main teraa vaqt huun mat rok mujh ko main tere saath huun har daaere mein ai mere ham-nafas likkhaa gayaa hai tiraa meraa muqaddar daaere mein mujhe TukDon mein baanTaa jaa rahaa hai bapaa hai ek mahshar daaere mein main jis ki khoj mein 'ausaaf' gum huun vo aayaa hai baraabar daaere mein"
Ausaf ShaikhAusaf Shaikh
Quote
"khiDkiyaan suuni dar-o-divaar chup saari galiyaan aur bhare baazaar chup kis qayaamat ki khabar aane ko hai gaanv ke chaupaal chup akhbaar chup darmiyaan hai khauf kaa dariyaa ravaan main yahaan khaamosh vo us paar chup ik sadaa us ko bulaane ke liye ik sadaa aae mujhe har baar chup kaisaa qaht-e-aadmiyyat hai yahaan zindagaani ke sabhi aasaar chup kis qayaamat kaa hai ye tanhaa safar raaste chup raah ke ashjaar chup main ne to insaaf maangaa thaa magar aaj hai 'ausaaf' har darbaar chup"
Ausaf ShaikhAusaf Shaikh
Quote
"Thahar gayaa hai ek hi manzar kamre mein main teri tasvir december kamre mein main teri yaadon ki baarish tez havaa tanhaa bhiig rahaa hai bistar kamre mein main dariyaa ke paar ki soch rahaa huun aur dar aayaa hai ek samundar kamre mein le aai hai galiyon mein ik aag mujhe chhoD aayaa huun ThanDaa bistar kamre mein khauf-zada hain ghar ki saari divaarein Deraa Daale baiThaa hai Dar kamre mein aangan mein hai jaari raqs havaaon kaa sahmaa baiThaa ek qalandar kamre mein kaun khizaan mein phuul khilaane aayaa hai kis ki khushbu hai ye banjar kamre mein aangan mein hai sune-pan kaa raaj 'ausaaf' chikh rahi hai tanhaai har kamre mein"
Ausaf ShaikhAusaf Shaikh
Quote
"bas mohabbat mein tiraa hijr kamaayaa huaa hai aur is hijr ko aangan mein ugaayaa huaa hai tu jise dasht samajhtaa hai ye ab dasht nahin main ne is dasht mein ik shahr basaayaa huaa hai ye jo ik raushni pahlu se mire phuTti hai ye vahi zakhm hai jo tu ne lagaayaa huaa hai aankh suraj se milaate hue katraataa huun main ne aankhon mein koi chaand basaayaa huaa hai ruThnaa bhi nahin aataa na manaanaa tujh ko pyaar ko tu ne tamaashaa saa banaayaa huaa hai vo mohabbat kaa vo giit sunaataa hai mujhe main ne 'ausaaf' jo logon ko sikhaayaa huaa hai"
Ausaf ShaikhAusaf Shaikh
Quote
"TuuT kar bikhre hain sapne sahn mein kis ne khinche hain ye raste sahn mein kaun detaa hai udaasi ko fareb kaun ugaataa hai ye chehre sahn mein koi samjhaa hi nahin ik lafz bhi gunjte hain kitne lahje sahn mein ik shajar bhi naam ko ghar mein nahin uD rahe hain khushk patte sahn mein jaane kab TuuTe tilism-e-tirgi jaane kab utrein savere sahn mein chhoD jaataa hai koi aankhein yahaan khol jaataa hai dariche sahn mein raat phir 'ausaaf' yaad aayaa koi raat jaise phuul mahke sahn mein"
Ausaf ShaikhAusaf Shaikh