SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byBabar Zuhrab(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hamaari aankh mein manzar tumhaare raushan hain ki jaise niile falak par sitaare raushan hain kisi ne aag lagaai hai Thahre paani mein sulag rahaa hai samundar kinaare raushan hain ye saut hai ki 'alaamat hai sham'-e-mahfil ki ye lafz hain ki nae isti'aare raushan hain sanbhal ke mujh ko qadam rakhnaa honge duniyaa mein kinaaya-kaar hai vo aankh ishaare raushan hai kahin kahin to vo lau sar uThaane lagti hai kabhi kabhi to ye lagtaa hai saare raushan hain kisi ne jhonk diyaa hai badan ki dozakh mein tamaam sho'le tamaami sharaare raushan hain mujhe jalaanaa nahin paDtaa apnaa dil 'zahraab' khudaa kaa shukr hai mere nazaare raushan hain"
Babar ZuhrabBabar Zuhrab
Quote
"ik ek lafz ko bartun gar ehtimaam se main maqaam apnaa banaa saktaa huun kalaam se main vagarna us ki nazar mujh pe paD gai hoti khudaa kaa shukr pukaaraa gayaa na naam se main javaab mein mujhe milti hai raat ki kaalak savaal kartaa huun jab bhi charaagh-e-shaam se main isi liye to muqaddar pe naaz hai mujh ko ki baadshaah banaayaa gayaa ghulaam se main lagaa rahaa huun sadaa apne dil ke aivaan mein bulaa rahaa huun tujhe kitne ehtiraam se main vo aag mujh mein bhaDakti hai jaan taDakti hai jo aag le gayaa jalte hue khiyaam se main samajh rahaa thaa ki 'zahraab' huun magar phir bhi nikal sakaa na mohabbat tumhaare daam se main"
Babar ZuhrabBabar Zuhrab
Quote
"miri nigaah nai aab-o-taab dekhti hai kabhi sitaara kabhi maahtaab dekhti hai main us ki niind se dil mein utarnaa chaahtaa huun khudaa kaa shukr ki vo laDki khvaab dekhti hai zamin pe aa ke ye khalq-e-khudaa ba-naam-e-khudaa kharaab ho ke jahaan-e-kharaab dekhti hai faqat mujhe hi vo dariyaa nazar nahin aataa ki reg-e-sahraa bhi aksar saraab dekhti hai bashar ko khvaab dikhaati hai aur khvaabon mein khudaa ki aankh nayaa inqilaab dekhti hai qalam davaat mire muntazir hain muddat se kitaab uThaaun ki mujh ko kitaab dekhti hai kabhi chali nahin 'zahraab' vo havaa mujh mein jo shaakh shaakh mahakte gulaab dekhti hai"
Babar ZuhrabBabar Zuhrab
Quote
"dil se tumhaari yaad guzaaraa karungaa main tanhaai mein bhi tum ko pukaaraa karungaa main jo ashk hijr-e-yaar ne bakhshaa hai aankh ko kuchh din mein us ko apnaa sitaara karungaa main tab dekhnaa falak kaa badaltaa huaa mizaaj jab chaand ko zamin se ishaaraa karungaa main kyon saans band honge mire mere hukm se kyon bahr-e-zindagi se kinaara karungaa main main raah-e-fikr-o-fan se diyaa le ke 'ilm kaa guzraa karungaa khud ko guzaaraa karungaa main ab mujh pe asl haar kaa matlab khulaa hai dost is khel mein to jaan ke haaraa karungaa main khalq-e-khudaa sanvaar sake taaki khadd-o-khaal 'zahraab' aaine ko sanvaaraa karungaa main"
Babar ZuhrabBabar Zuhrab
Quote
"koi taa'bir mire khvaab mein dar aai hai jal-pari jis tarah taalaab mein dar aai hai kyaa zamin aur zamaane kaa safar thaa dushvaar kyon thakan vaqt ke aa'saab mein dar aai hai dekhtaa rahtaa huun main jaanib-e-aflaak ki ab us ki surat bhi to mahtaab mein dar aai hai baat mein zahr milaayaa hai isi duuri ne talkhi-e-hijr adab-aadaab mein dar aai hai ye nadi jis mein miri bastiyaan bah jaaeingi hai ye sailaab ki sailaab mein dar aai hai vo ghaDi jis ne baDhaayaa hai mohabbat kaa vaqaar dekh le ab tire 'zahraab' mein dar aai hai"
Babar ZuhrabBabar Zuhrab
Quote
"na koi subh kaa manzar na shaam ki tasvir sukut khinch rahaa hai kalaam ki tasvir rakheinge naqsh mohammad kaa dil mein taaki rahe hamaare paas hamaare imaam ki tasvir ye subh-o-shaam ke manzar mein vaqt kaa kirdaar ye roz-o-shab hain 'ajab ehtimaam ki tasvir piyeinge dil se shahaadat kaa jaam barsar-e-khaak ki hai ye maut hamaare davaam ki tasvir jahaan-jahaan se vo guzraa zamaana ruk gayaa thaa har ik maqaam ne khinchi khiraam ki tasvir vo aankh jis ko mayassar ho vo nahin rakhtaa ye jaam-e-jam kaa tasavvur ye jaam ki tasvir zamin pe bijli giraai gai hai yuun 'zahraab' banaa rahaa hai khudaa inhidaam ki tasvir"
Babar ZuhrabBabar Zuhrab
Quote
"kaase mein apne chaand sitaare liye hue darvesh chal rahaa hai khasaare liye hue kis intizaar mein hai khudaa jaane aaina qabze mein nain-naqsh hamaare liye hue gaaDi ke niche aa gayaa ik baap kaa ghurur bachchon ke man-pasand ghubaare liye hue lahrein palaT rahi hain use chhu ke khvaab mein dariyaa simaT rahaa hai kinaare liye hue ham bhi guzar rahe hain tumhaare firaaq se aankhon mein aansuon ke sharaare liye hue saada-mizaaj log samajhte nahin magar vo aankh hai hazaar ishaare liye hue dil dab rahaa hai baar-e-mohabbat mein aaj-kal 'zahraab' khvaahishon ke sahaare liye hue"
Babar ZuhrabBabar Zuhrab
Quote
"safar ki zulmaton mein ye sitaara chaahiye mujh ko abhi teri mohabbat kaa sahaaraa chaahiye mujh ko koi taaza bahut taaza nazar kaa zaaviya mil jaae koi raushan bahut raushan nazaara chaahiye mujh ko mire alfaaz ki jholi kahin khaali na rah jaae ye jo sarmaaya-e-gham hai ye saaraa chaahiye mujh ko koi barsaat kaa baadal yahaan baar-e-digar aae dhanak jaisaa koi lamha dubaara chaahiye mujh ko khudaa-e-bahr mujh ko paaniyon mein saans di tuun ne magar ab is samundar se kinaara chaahiye mujh ko abhi to ik sitaare par qadam main ne jamaae hain abhi to aasmaan saare kaa saaraa chaahiye mujh ko tiri khvaahish ke aangan mein ho mere pyaar ki chhaayaa mukammal is haveli par ijaaraa chaahiye mujh ko abhi 'zahraab' us ko dekhtaa huun chashm-e-hairat se abhi dariyaa-e-hairat kaa kinaara chaahiye mujh ko"
Babar ZuhrabBabar Zuhrab
Quote
"hijr kaa aaina na ho jaanaa khud se mil kar judaa na ho jaanaa mujh ko sach bolne ki 'aadat hai dost mujh se khafaa na ho jaanaa jab koi raasta na de tum ko apni jaanib ravaana ho jaanaa ehtimaaman bashar na ho sake to intiqaaman khudaa na ho jaanaa sil ko siine mein kaun rakhtaa hai dil kaa ham-qaafiya na ho jaanaa qafas-e-‘ishq hai ye jail nahin qaidiyo tum rihaa na ho jaanaa aankh khulte hi subh dhulte hi khvaab kaa be-Thikaana ho jaanaa gar zamaana na mil sake 'zahraab' tum khud apnaa zamaana ho jaanaa"
Babar ZuhrabBabar Zuhrab