SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byBano Saima(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kyuun aankh se surkhi ab chhalki hui lagti hai ye niind ki raani bhi ruThi hui lagti hai yaadon kaa tasalsul hai ghanghor judaai hai saavan ki tarah ye bhi chhaai hui lagti hai sujhe na mudaavaa kyuun khud mere masihaa ko zakhmon ki tarah chaahat risti hui lagti hai aavaaz ye kis ne di phir yaad ye kaun aayaa be-taabi-e-dil kuchh kuchh sambhali hui lagti hai guzri hai gulaabon ko daaman mein khizaan bhar ke har shaakh-e-chaman lekin mahki hui lagti hai baazaar-e-mohabbat ke taajir hain sitam-pesha ai 'baano' tiri qimat lagti hui lagti hai"
Bano SaimaBano Saima
Quote
"khamir meraa uThaa vafaa se vajud meraa faqat hayaa se kuchh aur bojhal huaa miraa dil ghuTi hui dard ki fazaa se baras paDe hasraton ke baadal nazar pe chhaai hui ghaTaa se hai vahshaton kaa safar musalsal baDhaa junun hijr ki sazaa se hatheliyon par na rach saki vo jo naam likkhaa tiraa hinaa se banaa gai tum ko aur chanchal jhuki jo meri nazar hayaa se gulon pe ik be-khudi si chhaai chaman mein bahki hui sabaa se hai vajd kyuun shaakh-e-gul pe taari lipaT ke jhumi vo kyuun havaa se mahak ki kirnein chaman mein raqsaan gulaab ki reshmi qabaa se kali ko chumaa gulon ko nochaa kisi ne simaab si adaa se hai to masihaa to kar mudaavaa hai soch zakhmi tiri jafaa se vahi adaa be-niyaaziyon ki to kaam kab tak na luun anaa se yaqin kaise karun main 'baano' sukun kyaa de sakein dilaase"
Bano SaimaBano Saima
Quote
"khabar hai ki aayaa gulaabon kaa mausam gulon ke badan par hai kaanTon kaa mausam khudaa jaane is rut mein kyaa gul khilaae gulistaan kaa joban ye kaliyon kaa mausam labon ki sharaarat nazar se ishaarat dam-e-vasl kaisaa hayaaon kaa mausam ye daur-e-mohabbat bhi kaisaa ajab hai huun aankhon mein baatein ishaaron kaa mausam havaae judaai ye kaisi chali phir ghamon ki fazaa mein azaabon kaa mausam jo pyaase hain 'baano' tum un ko sadaa do ki sahraa mein utraa hai chashmon kaa mausam"
Bano SaimaBano Saima
Quote
"zindagi se hasin udaasi hai ye miri ham-nashin udaasi hai kab se pindaar mein muqayyad hai kaisi parda-nashin udaasi hai lahza lahza use kashid karo ki mai-e-angbin udaasi hai jura jura pilaa mujhe saaqi man hiran saatgin udaasi hai kaaba-e-dil mein hai jo mahv-e-tavaaf jahaan taab-e-jabin udaasi hai parbaton vaadiyon mein basti hai jangalon ki makin udaasi hai vo tah-e-aab jal-pari si hai meri sahraa-nashin udaasi hai dekh kar laa rahi hai hasti mein jaan-e-jaan jaa-guzin udaasi hai sun adam se vajud tak har jaa khaanumaan mein makin udaasi hai jaada-o-sang-mil-o-maskan mein rahbaron kaa yaqin udaasi hai diip bim-o-rajaa kaa jaan gul ho dekhnaa tum vahin udaasi hai zarb ik khol ki fasilon mein haashiyon ke qarin udaasi hai jauhar-e-hast mirzaa-'ghaalib' thi aaj khaak-e-barin udaasi hai vaan khushi ki numu muhaal si hai us ke dil ki zamin udaasi hai"
Bano SaimaBano Saima
Quote
"vo mere qalb-o-ruh ko shaadaab kar gayaa phir is tarah gayaa mujhe betaab kar gayaa kaajal bhi niind kaa miri aankhon se le uDaa khvaabon mein aa ke vo mujhe be-khvaab kar gayaa us ne to iztiraab ke maani sujhaa diye aisi nigaah ki mujhe betaab kar gayaa jins-e-giraan samajh ke nahin dekhtaa koi mujh ko vo ek jauhar-e-naayaab kar gayaa jauf-e-sadaf samajh ke paDi abr ki nazar thi sath-e-aab par vo tah-e-aab kar gayaa baaqi rahe na baam-o-dariche na hi fasil kyaa haal mere dil kaa ye sailaab kar gayaa saahir thaa devtaa thaa koi but-taraash thaa patthar thi ek 'baano' vo simaab kar gayaa"
Bano SaimaBano Saima
Quote
"chaahaa hai ajab Dhang se chaahat bhi ajab hai mahbub ajab hai ye mohabbat bhi ajab hai pallu miraa thaamaa hai kai baar khirad ne par in dinon jazbon ki baghaavat bhi ajab hai jakDaa hai tiri yaad ne afkaar ko mere hamdam tire jazbaat mein shiddat bhi ajab hai qurbat ke hasin phuul miri ruuh pe vaare kyaa khuub sakhi hai ye sakhaavat bhi ajab hai ik aariz-e-gul par jamaa shabnam saa vo qatra kirnon se zaraa qabl rifaaqat bhi ajab hai lahja tiraa dahkaa huaa lagtaa hai ghazab kaa ghusse-bhare lahje mein haraarat bhi ajab hai chehra tiraa taptaa huaa dikhtaa hai tapish se masti-bhare nainon mein sharaarat bhi ajab hai baazi kabhi haari nahin zaalim ne anaa ki chaalein bhi ajab us ki siyaasat bhi ajab hai khud qaid-e-vafaa kaaT ke di us ko rihaai 'baano' ye tire dil ki adaalat bhi ajab hai"
Bano SaimaBano Saima
Quote
"aankhon mein jo basaa thaa vo kaajal kahaan gayaa thaa zabt jis ke dam se vo baadal kahaan gayaa ham jis ke saath shauq se nikle the sair ko vo ham-safar kahaan hai vo jangal kahaan gayaa kartaa thaa shahr mein jo mohabbat se guftugu maalum hai kisi ko vo paagal kahaan gayaa maujein bhi us ke paas uThin nazm-o-zabt se saahil ki jaan thaa jo vo dibal kahaan gayaa phaili hui thi jis ke taqaddus ki raushni aankhein talaash mein hain vo aanchal kahaan gayaa 'baano' jo gham milaa mujhe qismat se ab vahi le kar kisi ki yaad-e-musalsal kahaan gayaa"
Bano SaimaBano Saima
Quote
"sulagti nazron kaa khvaab ho tum mohabbaton kaa shabaab ho tum samajh na paai jise kabhi main kitaab-e-dil kaa vo baab ho tum kaho to juz daan mein chhupaa luun khuli hui ik kitaab ho tum bichhe the raahon mein phuul kitne jo bhaa gayaa vo gulaab ho tum buraa kahe tum ko laakh duniyaa mire to aali-janaab ho tum nahin hai bas main tumhein bhulaanaa ajab tarah kaa azaab ho tum lagaa ki manzil tumhi ho lekin nazar kaa meri saraab ho tum vafaa se aari sahi mizaajan vafaa kaa meri javaab ho tum kai savaalon mein tum ghire ho magar bahut laa-javaab ho tum ulaT ke rakh di hai meri duniyaa hayaat kaa inqalaab ho tum main raag rang aur raqs jaisi ghazal tarannum rabaab ho tum ye nashsha TuuTaa na zindagi-bhar bahut puraani sharaab ho tum ai jaan 'baano' ye jaan lo ab ba-zaat-e-khud intikhaab ho tum"
Bano SaimaBano Saima