Quote
"kabhi gunaahon ki mutlaq kafan utaar ke aa tu ujli ruuh se mailaa badan utaar ke aa jo mere vasl kaa ehsaas tujh pe taari hai kisi ke lams ki saari chhuvan utaar ke aa nai hayaat ke kapDe liye hai maut khaDi puraanaa zindagi kaa pairahan utaar ke aa nazar mein sharm hayaa kaa bhi paas baaqi rahe nazar ki shokhiyon ko gul-badan utaar ke aa nai bahaar ne paighaam ye havaa ko diyaa gulon ke tan se khizaan kaa kafan utaar ke aa hamesha uDte hain taair tire tasavvur ke kabhi to zehn se fikr-e-sukhan utaar ke aa"







