SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ishq mein vasl ki tadbir bataane vaalaa kaun thaa zahr ko iksir bataane vaalaa hogaa naa-vaaqif-e-aadaab-e-mohabbat koi halqa-e-zulf ko zanjir bataane vaalaa aaina dekh ke samjhaa huun ki sach kahtaa thaa vo mujhe aap ki tasvir bataane vaalaa mushaf-e-rukh ki bhi tafsir bataataa jaae lafz-e-quraan ki tafsir bataane vaalaa main hi yusuf thaa zulekhaa ke qafas mein kal shab hai koi khvaab ki taabir bataane vaalaa vo jo kahtaa thaa mire haath ki rekhaa mein hai tu kitnaa jhuTaa thaa vo taqdir bataane vaalaa laai hai maut ko ab saamne taqdir miri ab bataae koi tadbir bataane vaalaa vo bhi hogaa koi majruh yaqinan yaaro abru-e-naaz ko shamshir bataane vaalaa 'ehtishaam' itne baDe shahr mein koi na milaa is nazar mein tiri tauqir bataane vaalaa"
Ehtisham BachhrayuniEhtisham Bachhrayuni
Quote
"haathon mein thaa ik haath abhi kal ki baat hai jannat thi kaaenaat abhi kal ki baat hai nairangi-e-bahaar-e-chaman taana-zan hai kyon rangin thi hayaat abhi kal ki baat hai itne baDe jahaan mein akelaa nahin thaa main vo bhi the mere saath abhi kal ki baat hai dil bhi thaa aap bhi the javaan hasratein bhi thiin kyaa kyaa the vaaqiaat abhi kal ki baat hai tabdil ho gayaa hai jo miTTi ke Dher mein vo dil thaa somnaat abhi kal ki baat hai aaj un ko dekhnaa bhi muqaddar nahin rahaa hoti thi un se baat abhi kal ki baat hai hansiye na mujh pe vaqt ki mizaan dekhiye din se sivaa thi raat abhi kal ki baat hai mere liye thaa dosto har roz roz-e-id thi shab shab-e-baraat abhi kal ki baat hai aaj 'ehtishaam' koi bhi qimat nahin rahi thi apni baat baat abhi kal ki baat hai"
Ehtisham BachhrayuniEhtisham Bachhrayuni
Quote
"haram ki raah mein saaqi kaa ghar bhi aataa hai safar mein lamha-e-tar ki safar bhi aataa hai tujhe ki parda-nashin ye hunar bhi aataa hai nazar bhi aataa nahin aur nazar bhi aataa hai dabi dabi si zabaan mein ye puchhnaa qaasid kabhi khayaal mein aashufta-sar bhi aataa hai tumhaari baat hai kuchh aur yuun to aane ko gharib-khaane pe aksar qamar bhi aataa hai ghamon ki shaam hai be-shak magar udaas na ho ba-shakl-e-shaam payaam-e-sahar bhi aataa hai miri tabaahi kaa baais miraa nasib sahi magar ye harf tiri zaat par bhi aataa hai javaab-e-khat ki to ummid 'ehtishaam' kujaa ye dekh lauT ke paighaambar bhi aataa hai"
Ehtisham BachhrayuniEhtisham Bachhrayuni
Quote
"kyaa us kaa gila yurish-e-tohmaat bahut hai zinda hain jo ham log yahi baat bahut hai jo tum ne bujhaa Daale diye un ko jalaa do ai subh ke matavaalo abhi raat bahut hai is vaaste gul-chin ko hui mujh se adaavat tazin-e-gulistaan mein miraa haath bahut hai in firqa-paraston ke dilon mein hai kudurat aur vird-e-zabaan lafz-e-musaavaat bahut hai in amn-pasandon ke parakhne ko kasauTi is daur ki tafsil-e-fasaadaat bahut hai ye beTon ke sar bhaai kaa khuun bahnon ki chikhein ibrat ho agar ham ko ye saughaat bahut hai behis ho jo insaan to kahe jaaiye kuchh bhi ghairat ho agar dil mein to ik baat bahut hai siine se tari gham ko lagaae to rakheinge naa-saaz magar gardish-e-haalaat bahut hai haan baiTho gadaa ban ke baras jaaegi daulat in pukhta mazaaron mein karaamaat bahut hai"
Ehtisham BachhrayuniEhtisham Bachhrayuni
Quote
"yuun bhi hoti hai sakhaavat is kaa andaaza na thaa bhiik us ghar se mili jis ghar kaa darvaaza na thaa shukriya teraa nigaah-e-naaz teraa shukriya muntashir is tarah apne dil kaa shiraaza na thaa ab na mustaqbil ayaan hai aur na maazi ke nuqush vaqt kaa chehra bahut shaffaaf thaa ghaaza na thaa thi mujhe duniyaa se nafrat thaa mujhe logon se bair aap par to band mere dil kaa darvaaza na thaa naapne aae the mujh ko gharq ho kar rah gae doston ko meri gahraai kaa andaaza na thaa ye hui uqda-kushaai dar-haqiqat baad-e-marg ziist maidaan-e-amal thi koi khamyaaza na thaa sehn-e-gulshan mein mili aksar dobaara taazgi dosto kunj-e-qafas mein zakhm-e-dil taaza na thaa qais vo batlaa rahaa thaa khud ko lekin 'ehtishaam' koi bhi sang-e-malaamat koi aavaaza na thaa"
Ehtisham BachhrayuniEhtisham Bachhrayuni
Quote
"uThaa bhi dil se agar meri chashm-e-tar mein rahaa khudaa kaa shukr hai tufaan ghar kaa ghar mein rahaa na jaane kaun si us mein kashish thi poshida tamaam umr vo chehra miri nazar mein rahaa sitam shiaar se ham jiite ji ye kyon kah dein ki hausla na hamaare dil-o-jigar mein rahaa na rok paaungaa hargiz main teri rusvaai tu ashk ban ke agar meri chashm-e-tar mein rahaa vo meri tarah bhi khaana-kharaab kyon rahtaa banaa ke dil ko mire ghar vo apne ghar mein rahaa fanaa ke baad bhi ki hai tiri qadam-bosi main khaak ho ke bhi teri hi rahguzar mein rahaa gayaa jo taaj mili baa-kamaal darveshi zamaana yuun bhi mire halqa-e-asar mein rahaa zarur ho na ho tu thaa mujhi mein poshida ye zauq-e-sajda hamesha jo sar ke sar mein rahaa gayaa jo manzil-e-maqsud tak to divaana ye ahl-e-hosh hamesha agar-magar mein rahaa hai 'ehtishaam' zamaane mein baDh ke ek se ek vo kaun hai ki jo yaktaa kisi hunar mein rahaa"
Ehtisham BachhrayuniEhtisham Bachhrayuni
Quote
"gila kyon ho mili ham ko vafaa kam zamaane se hamin the aashnaa kam khushaamad kam talab kam iltijaa kam viraasat mein hamein ye sab milaa kam bayaan kartaa phirun haal-e-gham-e-dil meri aadat mein ye shaamil rahaa kam buton vaale buton se Dar rahe hain khudaa vaalon ko hai khauf-e-khudaa kam mire daaman pe hain jin ki nigaahein vo shaayad dekhte hain aaina kam kabhi main paanv phailaa kar na soyaa mire qad se rahi meri ridaa kam zabaan par 'ehtishaam' aaya to un ki huaa to kuchh dilon mein faasla kam"
Ehtisham BachhrayuniEhtisham Bachhrayuni
Quote
"har-gaam haadse hain muqaddar bane hue rahzan dikhaai dete hain rahbar bane hue vo daur-e-khush-gavaar khudaa jaane kyaa huaa mandir the masjidon ke baraabar bane hue kyaa aashiyaan kahaan kaa chaman kaise rang-o-bu muddat hui qafas ko miraa ghar bane hue ham vo nahin jo raaz-e-gham-e-dil ayaan karein zindaan hain ham se log samundar bane hue ai muflisi bataa to sahi vo kidhar gae kuchh log the khulus ke paikar bane hue bhejaa hai us ne khat bhi to alfaaz ki jagah kaaghaz pe tiir hain kahin nashtar bane hue shaayad nahin hain ab kahin gauhar-shanaas log hiire paDe hain raah mein patthar bane hue qaaem hai baad-e-marg bhi baada-kashi miri rakkhe hain meri khaak ke saaghar bane hue yaaron ko 'ehtishaam' banaa kar hasin kitaab baiThe hain aap dard kaa daftar bane hue"
Ehtisham BachhrayuniEhtisham Bachhrayuni
Quote
"ahd-e-rafta ki lakiron pe na chalte rahiye vaqt ke saath khayaalaat badalte rahiye Thokarein khaa ke bahar-gaam sanbhalte rahiye manzil-e-shauq bhi mil jaaegi chalte rahiye ghuncha-o-gul ko ba-sad-shauq masalte rahiye ehtiyaatan kabhi kaanTon pe bhi chalte rahiye dost ban ban ke yunhi zahr ugalte rahiye aastinon mein miri shauq se palte rahiye qahqahe ban ke mire lab pe na Thahre na sahi ashk ban kar miri palkon pe machalte rahiye shabnam o barf ki ThanDak hai na phulon ki mahak ishq ik aag hai is aag mein jalte rahiye aap yunhi nikhat-o-nur ke chashme ban kar gham ki taarik chaTaanon se ubalte rahiye mere giton kaa madhur saaz na baniye lekin soz ban kar mire naghmaat mein Dhalte rahiye 'ehtishaam' aap ko jiine ki tamanna hai agar zindagi ke nae unvaan badalte rahiye"
Ehtisham BachhrayuniEhtisham Bachhrayuni
Quote
"yuun tire hijr mein aankhon se sitaare TuuTe jaise sailaab se dariyaa ke kinaare TuuTe shaq hui jaise zamin jaise falak TuuT paDaa aah vo vaqt ki jab ham se hamaare TuuTe aakhirash aaj tiraa gham bhi huaa dil se judaa rafta-rafta sabhi jiine ke sahaare TuuTe meri aankhon mein har ik samt hai laq-daq sahraa khvaab bikhre kabhi rangin nazaare TuuTe ahl-e-dil pyaar se mahrum hue hain aise jaise mahngaai mein iflaas ke maare TuuTe dekhtaa rah gayaa vo khelne vaalaa bachcha us ke haathon mein achaanak jo ghubaare TuuTe 'ehtishaam' ek na piine ki qasam bhi dekhein ahd-o-paimaan to miyaan aap ke saare TuuTe"
Ehtisham BachhrayuniEhtisham Bachhrayuni
Quote
"jaan si aa gai hai jaan mein kyaa kah gae hain vo mere kaan mein kyaa mujh se haal-e-dil-e-tabaah na puchh ab hai ujDe hue makaan mein kyaa meraa har zakhm kyon mahaktaa hai phuul rakhte ho tum kamaan mein kyaa puchhte hain mujhe dikhaa ke shafaq khuun barsaa hai aasmaan mein kyaa baat kahne se peshtar socho tiir lauT aaegaa kamaan mein kyaa teraa jalva hai aur kuchh bhi nahin tu hi to hai bhare jahaan mein kyaa be-vafaa us ko ru-ba-ru kahiye paD gae qufl ab zabaan mein kyaa pyaar honTon pe aur dil mein fareb kyaa zabaan par hai aur gumaan mein kyaa 'ehtishaam' ek lafz-e-gham ki jagah aur hai teri daastaan mein kyaa"
Ehtisham BachhrayuniEhtisham Bachhrayuni
Quote
"nigaah yunhi na bas rahguzar se vaapas aa murassaa ho ke hadon ki khabar se vaapas aa tu mujh se haT ke kahin aur kyon rahe aakhir nikal ke manzar-e-divaar-o-dar se vaapas aa agar hain dekhnaa apni tajalliyaan mujh mein utar ke nuur kaa dariyaa qamar se vaapas aa falak pe baiThaa huaa jaane kaun hai mujh se ye kah rahaa hai ki tu bahr-o-bar se vaapas aa sukun-o-amn kaa saahil hai muntazir teraa miri hayaat ki kashti bhanvar se vaapas aa tu us ko bhiiD mein har chand paa nahin saktaa khudaa milegaa khudaaon ke ghar se vaapas aa vafaa kitaab mein paDh le vafaa ke khvaab na dekh tu 'ehtishaam' khayaali safar se vaapas aa"
Ehtisham BachhrayuniEhtisham Bachhrayuni