Quote
"ye aur baat ki taakhir se alag karungaa magar tujhe tiri tasvir se alag karungaa musaafirat se jo fursat hui nasib to phir thakan ko paanv ki zanjir se alag karungaa jo mere daaimi ehsaas se juDaa hai sabaq main kis tarah use tahrir se alag karungaa kunvaare khvaab hue jaa rahe hain aavaara unhein main lazzat-e-taabir se alag karungaa utaarnaa hai mujhe ab anaa ko maut ke ghaaT so us ko lahja-e-shamshir se alag karungaa mire badan mein lagi hai jo hijr ki dimak main us ko vasl ki tadbir se alag karungaa rivaayaton se rakhungaa main 'faiz' rishta magar sukhan zaraa saa taqi-'mir' se alag karungaa"







