SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"log kahte hain ki qaatil ko masihaa kahiye kaise mumkin hai andheron ko ujaalaa kahiye chehre paDhnaa to sabhi siikh gae hain lekin kaisi tahzib hai apnon ko paraayaa kahiye jaane pahchaane hue chehre nazar aate hain vaqt qaatil hai yahaan kis ko masihaa kahiye aap jis peD ke saae mein khaDe hain is ko sehn-e-gulshan nahin jaltaa huaa sahraa kahiye sab ke chehron pe hain akhlaaq-o-muravvat ke naqaab kis ko apnaa yahaan aur kis ko paraayaa kahiye shab ke maathe pe koi saaya numudaar huaa us ko ab pyaar ke aangan kaa saveraa kahiye zahr-e-tanhaai-e-gham pi ke mohabbat mein 'khayaal' kis tarah maut ko jiine kaa sahaaraa kahiye"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"vo jitne duur hain utne hi mere paas bhi hain ye aur baat hai khush hain magar udaas bhi hain ye dekhnaa hai hamein kis kaa zauq kaisaa hai yahaan sharaab bhi hai zahr ke gilaas bhi hain unhi pe tohmat-e-divaangi lagaate ho jo ittifaaq se mahfil mein ru-shanaas bhi hain jo raushni ke libaade ko oDh kar aae shab-e-siyaah ke vo maatami libaas bhi hain tum apne shahr mein amn-o-amaan ki baat karo jahaan sukun hai vahaan log bad-havaas bhi hain ghazal ke saaz hain faiz-ul-hasan-'khayaal' jahaan vahaan pe aah ba-lab bhi hain mahv-e-yaas bhi hain"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"subh-e-nau laati hai har shaam tumhein kyaa maalum zakhm khushiyon ke hain paighaam tumhein kyaa maalum bhuul kar bhi jo kisi bazm mein aayaa na gayaa sainkaDon us pe hain ilzaam tumhein kyaa maalum log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se un mein kitne hain tah-e-daam tumhein kyaa maalum kuchh andhere bhi khataavaar-e-tabaahi hain magar raushni par bhi hai ilzaam tumhein kyaa maalum jis ko tum DhunDte ho sham-e-rukh-e-naaz liye vo to arse se hai gumnaam tumhein kyaa maalum jo rukh-e-zist pe thaa harf-e-ghalat ki maanind mil rahaa hai use inaam tumhein kyaa maalum jo kafan baandh ke chalte hain vafaa ki rah mein zindagi kar chuke nilaam tumhein kyaa maalum surkh-ru kaun huaa kucha-e-jaanaan mein kabhi naamvar bhi hue badnaam tumhein kyaa maalum do qadam bhi na chale raah-e-vafaa mein ham log hai abhi zauq-e-talab khaam tumhein kyaa maalum jo jalaa raat ki tanhaai mein us par bhi 'khayaal' bevafaai kaa hai ilzaam tumhein kyaa maalum"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"ham ne sahraa ko sajaayaa thaa gulistaan ki tarah tum ne gulshan ko banaayaa hai bayaabaan ki tarah raat kaa zahr piye khvaab kaa aanchal oDhe kaun hai saath mire gardish-e-dauraan ki tarah DhunDhtaa phirtaa huun ab tak bhi hain sahraa sahraa usi lamhe ko jo thaa fasl-e-bahaaraan ki tarah maslahat-kosh zamaane kaa bharosa kyaa hai jo bhi miltaa hai yahaan gardish-e-dauraan ki tarah aaj vo lamhe mujhe Daste hain tanhaa paa kar kabhi mahbub the jo mujh ko dil-o-jaan ki tarah jaane kyaa baat hai kyuun jashn-e-masarrat mein nadim yaad aati hai tiri shaam-e-gharibaan ki tarah kab talak shahr ki galiyon mein phiroge yaaro aasmaanon pe uDo takht-e-sulaimaan ki tarah ye to parvaanon ke dil hain jo pighal jaate hain kaun jaltaa hai yahaan sham-e-shabistaan ki tarah kaun khvaabon ke jazire se chalaa aayaa 'khayaal' dil mein ik raushni hai subh-e-darakhshaan ki tarah"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"ai dil achchhaa nahin masruf-e-fughaan ho jaanaa gham ki tauhin hai ashkon kaa ravaan ho jaanaa dil ki aavaaz bhi majruh jahaan hoti hai aise haalaat mein khaamosh vahaan ho jaanaa mere aansu jo girein Taank lo tum juuDe mein dekh le koi to phulon kaa gumaan ho jaanaa ahl-e-saahil ko bhi andaaza-e-tufaan ho jaae qatra-e-ashk zaraa sail-e-ravaan ho jaanaa rukhsat-e-mausam-e-gul ke bhi uThaao sadme itnaa aasaan nahin ehsaas-e-khizaan ho jaanaa qaid-e-mausam nahin naghmaat-e-anaa dil ke liye koi mausam ho gul-e-tar ki zabaan ho jaanaa mere jiine kaa sahaaraa thiin jo nazrein kal tak kyaa sitam hai unhein nazron kaa garaan ho jaanaa shauq-afzaa hai ye andaaz-e-hijaab-e-khubaan dil mein rahte hue aankhon se nihaan ho jaanaa vo gulistaan mein jo aa jaaein to mumkin hai 'khayaal' muskuraati hui kaliyon kaa javaan ho jaanaa"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"ek muddat se sar-e-baam vo aayaa bhi nahin ham ko ab hasrat-e-didaar-e-tamannaa bhi nahin jaada-e-shauq mein tanhaa bhi huun tanhaa bhi nahin kyaa hasin baat hai rusvaa bhi huun rusvaa bhi nahin tum jo naaraaz hue ho gai duniyaa barham ab to girti hui divaar kaa saaya bhi nahin kis ko main duut kahun kis ko main dushman jaanun sabhi apne hain yahaan koi paraayaa bhi nahin aaj tak bhi main parastish to kiye jaataa huun ye alag baat ki main ne tumhein dekhaa bhi nahin subh ki shamein liye phirte ho kyuun divaano rishta-e-shab to abhi khair se TuuTaa bhi nahin to takhayyul ke dariche mein thaa khoyaa khoyaa paikar-e-husn tujhe main ne jagaayaa bhi nahin kis tarah gham ko main taqsim karungaa yaaro qissa-e-dard ko haalaat ne samjhaa bhi nahin kab talak chalnaa paDegaa hamein tanhaa tanhaa ab kisi moD pe mil jaaeinge aisaa bhi nahin ru-ba-ru un ke mire honT na khulne paae dil ko izhaar-e-tamannaa kaa sahaaraa bhi nahin jaane kyaa soch ke us ne mujhe divaana kahaa haae us ko abhi mahfil pe bharosa bhi nahin raabte joDne niklaa thaa main insaan ke 'khayaal' kisi insaan ne mujhe pyaar se dekhaa bhi nahin"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"dil jis kaa dard-e-ishq kaa haamil nahin rahaa vo shakhs tere pyaar ke qaabil nahin rahaa jab bhi hinaai haathon se gesu sanvar gae aaina-e-bahaar muqaabil nahin rahaa har aastaan se lauT ke aanaa paDaa use jo tere dar pe aane ke qaabil nahin rahaa mahrumiyaan hi jis kaa muqaddar hain dosto vo mahfil-e-nashaat ke qaabil nahin rahaa jab tum na the to kuchh bhi nahin thaa bahaar mein tum aa gae to koi muqaabil nahin rahaa divaane tere Duub gae gahri niind mein zindaan mein shor-e-tauq-o-salaasil nahin rahaa jab aap muskuraae gham-e-dil ki baat par dil dard ko chhupaane ke qaabil nahin rahaa tanhaaiyon ki bazm hi achchhi rahi 'khayaal' mahfil mein pur-sukun kabhi dil nahin rahaa"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"jaane kyaa soch ke us ne sitam ijaad kiyaa khud bhi barbaad huaa mujh ko bhi barbaad kiyaa shama ki tarah jale ham tiri mahfil mein magar tu ne kis vaqt hamein kaun si shab yaad kiyaa jumbish-e-lab ki ijaazat hai na izn-e-parvaaz kis liye tu ne mujhe qaid se aazaad kiyaa shukr hai tu ne mujhe dard ke qaabil samjhaa teri paimaan-shikani ne miraa dil shaad kiyaa haae us shakhs ki khaatir-shikani hoti hai jis ne apne ko tiri yaad mein barbaad kiyaa apni barbaadi pe naazaan bhi huun hairaan bhi huun shamein raushan huiin jab main ne tujhe yaad kiyaa tujh ko ye naaz ki to khaaliq-e-naghma hai 'khayaal' mujh ko ye fakhr ki tu ne mujhe barbaad kiyaa"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"kaanch ke shahr mein patthar na uThaao yaaro mai-kada hai ise maqtal na banaao yaaro sahn-e-maqtal mein bhi mai-khaana sajaao yaaro shab ke sannaaTe mein hangaama machaao yaaro zindagi bikne chali aai hai baazaaron mein is janaaze ke bhi kuchh daam lagaao yaaro jin ki shah-e-rag kaa lahu phuul ki angDaai thaa un ko ab haal-e-gulistaan na bataao yaaro phailte saaya-e-shab mein na chalo ruk ruk ke bujhti raahon ko kaf-e-paa se sajaao yaaro bazm-e-yaaraan mein vo kuchh soch ke aayaa hogaa aise divaane ko Thokar na lagaao yaaro raat Dhal jaaegi mai-khaana sambhal jaaegaa koi naghma koi paighaam sunaao yaaro zindagi reingti phirti hai yahaan kaasa-ba-kaf us ko ab vaqt kaa aaina dikhaao yaaro ab dhundlakon mein bhi hai taaza ujaalon kaa 'khayaal' shab ki divaar saliqe se giraao yaaro"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal