SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFarhat Shahzad(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ranj ke haathon giit khushi ke likhvaao to baat bane toD ke ashkon ki zanjirein muskaao to baat bane shor machaati aavaazon se toD ke rishta pal-do-pal khaamoshi ki sargoshi gar sun paao to baat bane gulshan mein to khushbu har-su rahti hi hai gul-rut mein sahraaon mein jaanaan ghunche mahkaao to baat bane mujh ko hiir sayaal se matlab aur na raanjhe se kuchh kaam toD ke bandhan rasmon kaa tum aa jaao to baat bane baat vafaa ki dil vaalon ki nagri mein hai aam bahut shahr-e-butaan mein giit vafaa ke gaa paao to baat bane god mein khushiyon ki har koi chain se sotaa hai lekin muund ke aankhein gham baanhon mein lahraao to baat bane chaand sitaare toD ke laanaa afsaanon ki baatein hain mere liye to pyaar nazar mein bhar laao to baat bane"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"apni aankhon mein hasin khvaab sajaae rakkho laakh tufaan uThein shama jalaae rakkho raat phir raat hai ik roz guzar jaaegi subh ki aas azaaem mein basaae rakkho khvaahish-e-dil ki havaa tez bahut hai yaaro aag pindaar ki siine mein jalaae rakkho jitnaa chaaho to har maat saho hans hans kar fikr-e-maayus khayaalon se bachaae rakkho yuun zaraa der ko dil se hi lubhaa lete hain baat to jab hai ki taa-umr lubhaae rakkho tum ne sach bolaa hai maslub tumhein honaa hai apne kaandhe pe salib apni uThaae rakkho gar ye chaaho ki ayaan karb na ho siine kaa jaan-e-'shahzaad' nigaahon se banaae rakkho"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"aankh ko jakDe the kal khvaab azaabon ke main sairaab khaDaa thaa biich saraabon ke tujh ko kho kar mujh par vo bhi din aae chhup na sakaa dukh pichhe kai naqaabon ke fikr kaa tan kab Dhaanp saki mad-hoshi tak chhoD diye nashshon ne haath sharaabon ke umr inhi ke saath guzaari hai jaanaan zakhm mujhe lagte hain phuul gulaabon ke ek savaal ne jab se mujh ko pahnaa hai sharminda hain saare rang javaabon ke kis se puchhun main rasta ab tujh ghar kaa munh takte hain khaali varaq kitaabon ke jaane phir kab vaqt ye pal dohraaegaa lag jaa siine toD ke band hijaabon ke mulk mein mere amn ki khvaahish jaan-e-man bakri jaise biich mein sau qassaabon ke khatm nahin 'shahzaad' faqat tujh par takhliq ham bhi pyaare khaaliq hain kuchh khvaabon ke"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"shaam kahti hai koi baat judaa si likkhun dil kaa israar hai phir us ki udaasi likkhun aaj zakhmon ko mohabbat ki ataa ke badle tohfa o tamgha-e-ahbaab-shanaasi likkhun saath ho tum bhi mire saath hai tanhaai bhi kaun se dil se kise vajh-e-udaasi likkhun jis ne dil maangaa nahin chhin liyaa hai mujh se aap mein aauun to vo aankh hayaa si likkhun mujh pe ho jaae tiri chashm-e-karam gar pal bhar phir main ye donon jahaan ''baat zaraa sii'' likkhun dauDti hai jo mire khuun mein teri hasrat dekh aaina use khuun ki pyaasi likkhun tujh se kyuun duur hai majbur hai 'shahzaad' tiraa paDh sake tu to main sachchaai zaraa si likkhun"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"ye zamin khvaab hai aasmaan khvaab hai ik makaan hi nahin laa-makaan khvaab hai jaan-levaa sahi justuju ki thakan par sahaaraa diye ik javaan khvaab hai us ki aankhon mein apnaaiyat ki chamak meri aankhon kaa ik be-amaan khvaab hai TuuT jaae to kuchh bhi nahin koi bhi jis ke dam se hain donon jahaan khvaab hai chilchilaati hui vaqt ki dhuup mein saath ik saaya-e-mehrbaan khvaab hai tu saraab-e-hasin main fareb-e-nazar pyaar teraa miri jaan-e-jaan khvaab hai shaadi-e-be-panah kaa sabab hai magar vajh-e-aah-o-fughaan bhi miyaan khvaab hai zindagi ke kaThin jangalon mein miraa har qadam raahbar paasbaan khvaab hai jaan-e-'shahzaad' tanhaaiyaan hain aTal aur baaqi kaa ye kaarvaan khvaab hai"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"nahin hai ab koi rasta nahin hai koi juz aap ke apnaa nahin hai har ik raste kaa patthar puchhtaa hai tujhe kyaa kuchh bhi ab dikhtaa nahin hai ajab hai raushni taarikiyon si ki main huun aur miraa saaya nahin hai parastish ki hai meri dhaDkanon ne tujhe main ne faqat chaahaa nahin hai main shaayad tere dukh mein mar gayaa huun ki ab siine mein kuchh dikhtaa nahin hai luTaa di maut bhi qadmon pe tere bachaa kar tujh se kuchh rakkhaa nahin hai qayaamat hai yahi idraak-e-jaanaan main us kaa huun ki jo meraa nahin hai miri baatein hain sab baatein tumhaari miraa apnaa koi qissa nahin hai tujhe mahsus bhi main kar na paaun andheraa hai magar itnaa nahin hai ba-juz niitu ki yaadein ab jahaan mein koi 'shahzaad' ji teraa nahin hai"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"do jhuki aankhon kaa pahunchaa jab mire dil ko salaam yuun lagaa hai dopahar mein jaise dar aai ho shaam us ke honTon kaa kiyaa jab zikr mere sher ne har samaaat ke labon se jaa lagaa labrez jaam jaise sajde mein koi gir kar na uTThe der tak yuun giri aankhon pe palkein sun ke ik kaafir kaa naam dukh kisi kaa ho use dhaDkan mein apni sinch le kis ne saunpaa hai mire dil ko ye paagal-pan kaa kaam ab to ji mein hai ki har dukh par lagaaun qahqaha ho gai hain shahr mein aansu-bhari aankhein to aam harf jaise ho gae saare munaafiq ek dam kaun se lafzon mein samjhaaun tumhein dil kaa payaam is qadar jaldi bhi kyaa 'shahzaad' thi aakhir bataa kyaa bigaDtaa saath gar tu aur chaltaa chand gaam"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"saut kyaa shai hai khaamushi kyaa hai gham kise kahte hain khushi kyaa hai aaj huun kal yahaan nahin hungaa mujh se jaanaan ye be-rukhi kyaa hai des pardes ho gayaa ab to aashnaa kaun ajnabi kyaa hai zindagi tere vasl ki khvaahish mil gayaa tu to zindagi kyaa hai aur gar tu bichhaD gayaa mujh se phir miri jaan maut bhi kyaa hai ek pal bhi sukun nahin miltaa tujh se mil kar ye be-kali kyaa hai tarz-e-mausam pe baat chal nikli varna maazi kaa zikr hi kyaa hai dosti jo nibhaa nahin sakte un se 'shahzaad' dushmani kyaa hai"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"ham se tanhaai ke maare nahin dekhe jaate bin tire chaand sitaare nahin dekhe jaate haarnaa din kaa hai manzur magar jaan-e-aziz ham se gesu tire haare nahin dekhe jaate dil phansaa bhi ho bhanvar mein to koi baat nahin ranj mein Dubte pyaare nahin dekhe jaate jin ke pairon mein samundar the jhukaae nazrein un ki aankhon mein kinaare nahin dekhe jaate chhin le meri samaaat ki basaarat yaa-rab un labon par mire naare nahin dekhe jaate jin ki aahaT se bandhi thi mire dil ki dhaDkan un nigaahon ke ishaare nahin dekhe jaate tuur patthar thaa mire dil ko dikhaa apni jhalak phir ye kahnaa ki nazaare nahin dekhe jaate maah-e-kaamil bhi jise dekh ke sajde mein gire aankh mein us ki sitaare nahin dekhe jaate"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"hayaat ko tiri dushvaar kis tarah kartaa main tujh se pyaar kaa izhaar kis tarah kartaa thaa meri saut pe pahra ''anaa-sipaahi'' kaa main apni haar kaa iqraar kis tarah kartaa use thaa pyaar se baDh kar khayaal duniyaa kaa ye jaan kar bhi main israar kis tarah kartaa tiraa vajud gavaahi hai mere hone ki main apni zaat se inkaar kis tarah kartaa mujhe khabar thi tujhe dukh mileinge badle mein qubul phir main tiraa pyaar kis tarah kartaa thaa ham-safar bhi safar bhi jo meri manzil bhi usi ko raah ki divaar kis tarah kartaa jo khud ko bechne baiThaa thaa kauDiyon ke evaz main us ko apnaa kharidaar kis tarah kartaa"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"main apne-aap se barham thaa vo khafaa mujh se sukun se kaise guzartaa ye raasta mujh se ghazal sunaa ke kabhi nazm gungunaa ke miri vo kah rahaa thaa mire dil kaa maajraa mujh se guzar ke vaqt ne gungaa banaa diyaa thaa jinhein vo lafz maang rahe hain nai sadaa mujh se na gul ki koi khabar hai na baat gulshan ki khafaa si lagti hai kuchh roz se sabaa mujh se vo jis ne khvaab mire pal mein qatl kar Daale khiraaj maangne aayaa hai khuun kaa mujh se niyaaz-mand rahaa main bhi us kaa sab ki tarah ki koi bhaanp na le us kaa silsila mujh se aziiz mujh ko hain tufaan saahilon se sivaa isi liye hai khafaa meraa naakhudaa mujh se na jaane kaun si mahfil mein kis ke saath huun main hai munqat'a miraa apnaa bhi raabta mujh se bas ek baar nazar bhar ke main ne dekhaa thaa nazar milaa na sakaa phir vo be-vafaa mujh se"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"har ek chiiz hai faani faqat hayaat nahin ba-juz khudaa ke kisi ko yahaan sabaat nahin hayaat naam hi tabdiliyon kaa hai jaanaan badal gae ho jo tum bhi to koi baat nahin karam hai ye mire do ek khaas yaaron kaa tabaahiyon mein miri dushmanon kaa haath nahin ki jaise dil nahin siine mein dukh dhaDaktaa hai jahaan bhi jaaun alam se kahin najaat nahin ghazab kaa silsila thamne hi mein nahin aataa zaraa saa pyaar hi maangaa thaa kaaenaat nahin main zakhm zakhm sahi hausla to qaaem hai shikasta-haal to huun par ye meri maat nahin chali gai ho jo tum bhi to kyaa gila tum se yahaan to yuun hai ki main khud bhi apne saath nahin sahar bhi ghar mire 'shahzaad' tirgi laai qusur-vaar miri jaan sirf raat nahin"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"khud apne zakhm siinaa aa gayaa hai bil-aakhir mujh ko jiinaa aa gayaa hai munaafiq ho gae hain honT mere mire dil ko bhi kiina aa gayaa hai bahaa kar le gayaa tufaan javaani lab-e-saahil safina aa gayaa hai kisi dukh par bhi aankhein nam na paa kar masaaib ko pasina aa gayaa hai baDi ustaad hai ye zindagi bhi lo mujh ko zahr piinaa aa gayaa hai lagaa kar zakhm khud marham bhi degaa use itnaa qarina aa gayaa hai hare hone chale hain zakhm saare ki saavan kaa mahina aa gayaa hai"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"nayaa ik zakhm khaanaa chaahtaa huun main jiine ko bahaanaa chaahtaa huun rulaa deti hai har sachchi kahaani main ik jhuTaa fasaana chaahtaa huun mahak se jhuum uTThe saaraa jivan main aisaa gul khilaanaa chaahtaa huun mohabbat meri behad khud-gharaz hai tujhe sab se chhupaanaa chaahtaa huun ye paagal-pan nahin to aur kyaa hai main sach-much muskuraanaa chaahtaa huun bahut maa'sum thaa vo daur-e-vahshat main phir jangal basaanaa chaahtaa huun khaao khvaab yaa lahraao saaghar main khud ko bhuul jaanaa chaahtaa huun khudaayaa dard ko de aur shiddat ki main ab haar jaanaa chaahtaa huun vo aa jaaein to dil par ho na qaabu vahi qissa puraanaa chaahtaa huun mire har dukh kaa kaaran hain ye aankhein main ye dipak bujhaanaa chaahtaa huun koi shahzaad ko mujh paas laae main us kaa dukh baTaanaa chaahtaa huun"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad
Quote
"nahin hai ab koi rasta nahin hai koi juz aap ke apnaa nahin hai har ik raste kaa patthar puchhtaa hai tujhe kyaa kuchh bhi ab dikhtaa nahin hai ajab hai raushni taarikiyon si ki main huun aur miraa saayaa nahin hai parastish ki hai meri dhaDkanon ne tujhe main ne faqat chaahaa nahin hai main shaayad tere dukh mein mar gayaa huun ki ab siine mein kuchh dukhtaa nahin hai luTaa di maut bhi qadmon pe tere bachaa kar tujh se kuchh rakkhaa nahin hai qayaamat hai yahi idraak-e-jaanaan main us kaa huun ki jo meraa nahin hai miri baatein hain sab baatein tumhaari miraa apnaa koi qissa nahin hai tujhe mahsus bhi main kar na paaun andheraa hai magar itnaa nahin hai ba-juz 'nitu' ki yaadein ab jahaan mein koi 'shahzaad'-ji teraa nahin hai"
Farhat ShahzadFarhat Shahzad