Quote
"rahe asir-e-qafas aashiyaan na dekh sake bhari bahaar mein ham gulsitaan na dekh sake bas ik jhalak hi ne behosh kar diyaa ham ko tire jamaal ki raanaaiyaan na dekh sake dil-o-jigar tap-e-furqat mein jal rahe hain magar kabhi nikaltaa huaa ham dhuaan na dekh sake hamein to jab se ye zulmat-kada nasib huaa kabhi ham apni bhi parchhaaiyaan na dekh sake hazaar tarah se tadbir ki dil-e-naashaad magar kabhi tujhe ham shaadmaan na dekh sake rah-e-talab mein rakhe paanv jab se ai 'fayyaaz' junun-e-shauq mein sud-o-ziyaan na dekh sake"
F
Fayyaz Jaipuri






