SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFaysal Sahib(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"miri du'aa mein asar hotaa to main rotaa kyaa ki tere pahlu mein sar hotaa to main rotaa kyaa na-jaane kaun se raston se zindagi guzri tiri gali se guzar hotaa to main rotaa kyaa mire to jism kaa hissa rahi hain divaarein agar kahin koi dar hotaa to main rotaa kyaa kahaan main hijr ko chup-chaap kaaT saktaa thaa miraa jo itnaa jigar hotaa to main rotaa kyaa vo us kinaare rahaa 'umr bhar idhar main rahaa agar ki main bhi udhar hotaa to main rotaa kyaa jise bhi ghaur se dekhaa mujhe paraayaa lagaa miraa koi bhi agar hotaa to main rotaa kyaa"
Faysal SahibFaysal Sahib
Quote
"ham se logon kaa jahaan bhar mein Thikaanaa kyaa hai tum to sab jaante ho tum ko bataanaa kyaa hai jo diyaa dekh ke binaai se mahrum huaa aise kam-zarf ko suraj kaa dikhaanaa kyaa hai teri qismat jo ravaan zindagi haasil hai tujhe tu nahin jaantaa dhakke se chalaanaa kyaa hai hoti duuri to tire gham ko manaate ham bhi kaun saa hijr tiraa khvaab mein aanaa kyaa hai main jo andaaze lagaane mein lagaa huun kab se kyaa koi mujh ko bataaegaa zamaana kyaa hai dasht mein ret thi yaa ishq ki daulat ‘saahib’ ghar se nikle to samajh aai kamaanaa kyaa hai"
Faysal SahibFaysal Sahib
Quote
"ham ye kirdaar kar chuke pahle khud ko divaar kar chuke pahle ab tiraa ehtiraam karte hain ham tujhe pyaar kar chuke pahle tum se munkir to ab hue hain ham apnaa inkaar kar chuke pahle maut aasaan maangte hain ham jiinaa dushvaar kar chuke pahle naam badnaam kar ke dushman kaa vaar to yaar kar chuke pahle ishq kaa ain aag kaa dariyaa baarhaa paar kar chuke pahle khud-kushi vajh-e-kaif hai hi nahin kitne bimaar kar chuke pahle aakhiri intizaar saaraa din ham kai baar kar chuke pahle"
Faysal SahibFaysal Sahib
Quote
"karne vaale ne hi ki dekh inaayat kaisi teraa phir mujh se gila kaisaa shikaayat kaisi ab hamein duur se pahchaan liyaa jaataa hai ishq mein ham bhi banaa baiThe hain surat kaisi kyon khaDe munh ko take jaate ho main haaraa huun meraa sar kaaT ke le jaao ijaazat kaisi kitni aasaani se main khulne lagaa huun sab par khud pareshaan huun ki bigDi hai ye aadat kaisi aakhiri vaqt mein ye apnaa pataa detaa hai ishq hai ishq miyaan is ki alaamat kaisi to mohabbat mein zaruri thaa hamein har lamha tujh se ab ishq hai so ishq mein haajat kaisi chain se jiine kahaan dete tire baa'd hamein ham ne khud hosh ganvaae hain himaaqat kaisi roz-e-mahshar main bataaungaa tu kyaa puchhegaa ek muhtaaj pe guzri hai qayaamat kaisi"
Faysal SahibFaysal Sahib
Quote
"dil tamaasha hai tamaashaa-gar nahin hai yaar ji so zabaan bhi chup rahe behtar nahin hai yaar ji ham jahaan jis baat par majbur hain aamin hai aap ko apne khudaa kaa Dar nahin hai yaar ji dastakon ke khauf tak to baat aaegi nahin ham hain vo divaar jis kaa dar nahin hai yaar ji ek markaz aap hain jis kaa bane ham daaera apnaa koi dusraa mehvar nahin hai yaar ji raaste be-samt hain so manzilon ki fikr kar kaarvaan kaa koi bhi rahbar nahin hai yaar ji muflisi mein khvaab hon to khaak achchhi baat hai dekh kar hai faisla sun kar nahin hai haar ji ik zamaana do farishte laakh 'saahib' saath hon kam lagegi kul khudaai gar nahin hai yaar ji"
Faysal SahibFaysal Sahib
Quote
"khvaah-makhvaah be-sabab luTaai hui 'umr bhi baap ki kamaai hui hijr mein vasl ki talaash mein the vaqt se is liye laDaai hui tujh ko lag jaae zindagi meri mujh ko aae kisi ki aai hui teri yaadon ke naam hoti hai chaae aksar miri banaai hui yaadon ki gaThDi mein bachaa kyaa hai ik qasam yaad hai uThaai hui le ke phirte hain raat bhar ham log subh mein shaam-e-gham manaai hui dasht se chhaale the chhupaae hue pyaas dariyaa se thi chhupaai hui ham ne hans kar dikhaa diyaa 'saahib' rok li baat munh mein aai hui"
Faysal SahibFaysal Sahib
Quote
"aag hote hain kabhi log dhuaan hote hain ek jaise to miyaan ham bhi kahaan hote hain koi tahlil bhi kar degaa nahin sochaa thaa soch aati hi nahin thi ki ziyaan hote hain main gavaahi mein tumhein khvaab sunaaun apnaa bhed mujh par to khudaa ke bhi 'ayaan hote hain jin ki aavaaz qadam tez kiye deti hai hote hain pyaar mein kuchh log azaan hote hain khvaahishein vaqt ki Tahni se nahin jhaDti hain khvaab pachpan mein bhi dekhe hain javaan hote hain zindagi rail ki paTri pe le jaane vaale pyaar ko pyaar samajh sud-o-ziyaan hote hain main ne ik 'umr usi shakhs ko DhunDaa 'saahib' vo jo kahtaa thaa ki zakhmon ke nishaan hote hain"
Faysal SahibFaysal Sahib
Quote
"ho pareshaan na koi kashT uThaa mere liye ye hi behtar hai ki tu duur ho jaa mere liye haae is baar bhi dhoka hi rahaa mere liye vo jo palTaa to mujhe aisaa lagaa mere liye main ne is baat pe aakhir ko baghaavat kar di kitni aa sakti hai pinjre mein havaa mere liye saare pyaase the mire khuun ke lekin pahle aap andaaza karein yaar uThaa mere liye main ghulaamon ki tarah aur hai shahzaadi tu apne har khvaab ki qimat na ghaTaa mere liye maut se baDh ke tiraa hijr mujhe kyaa degaa aur tajviz karo koi sazaa mere liye vo to achchhaa huaa tab hosh nahin thaa 'saahib' varna main kahtaa ki duniyaa na banaa mere liye"
Faysal SahibFaysal Sahib
Quote
"mujh se divaane ki kyaa koi mohabbat samjhe dekhnaa yaar kaa chehra jo ibaadat samjhe mujh mein ab aur sakat baaqi nahin baTne ki main mayassar huun jise jitnaa ghanimat samjhe vo to yuun ham ne jahaan chhoD diyaa tere baa'd ham tire baa'd yahaan jiinaa aziyyat samjhe tum ne kyaa kyaa na kiyaa khauf se aari ho kar ham hi paagal the jo duniyaa ko adaalat samjhe saari mushkil mein guzaari to suhulat samjhe tum suhulat se suhulat ko suhulat samjhe jo uDaanon ki thakan dekh ke aaya hi nahin vo parinda bhi bhalaa khaak masaafat samjhe ham ne inkaar mein iqraar ke pahlu DhunDe chhup ke milne ko bhi qudrat ki ijaazat samjhe"
Faysal SahibFaysal Sahib