SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"gham-e-aafaaq hai rusvaa gham-e-dil-bar ban ke tohmat-e-ishq lagi ham pe sukhan-var ban ke vo nahin maut sahi maut nahin niind sahi koi aa jaae shab-e-gham kaa muqaddar ban ke raahbar tum ko banaayaa hamein maalum na thaa raah-rau raah bhaTak jaate hain rahbar ban ke is ziyaan-khaane mein ik qatre pe kyaa kyaa guzri kabhi aansu kabhi shabnam kabhi gauhar ban ke maut ki niind ke maaton pe na kyuun rashk aae jaagnaa hai unhein hangaama-e-mahshar ban ke yaad phir aa gaiin bhuli hui baatein kyaa kyaa phir mulaaqaat hui aise muqaddar ban ke aah ye uqda-e-gham bazm-e-tarab mein bhi 'hafiz' baar-haa aankh chhalak jaati hai saaghar ban ke"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"ab koi aarzu nahin zauq-e-payaam ke sivaa ab koi justuju nahin shauq-e-salaam ke sivaa koi sharik-e-gham nahin ab tiri yaad ke baghair koi anis-e-dil nahin ab tire naam ke sivaa teri nigaah-e-mast se mujh pe ye raaz khul gayaa aur bhi gardishein hain kuchh gardish-e-jaam ke sivaa khvaahish-e-aarzu sahi haasil-e-zindagi magar haasil-e-aarzu hai kyaa soz-e-mudaam ke sivaa aah koi na kar sakaa chaara-e-talkhi-e-firaaq naala-e-subh ke baghair giriya-e-shaam ke sivaa rang-e-bahaar par na bhuul bu-e-chaman se dar-guzar ye bhi hain khush-numaa fareb daana-o-daam ke sivaa mar ke hayaat-e-jaavidaan ishq ko mil gai 'hafiz' ji ke havas ko kyaa milaa marg-e-davaam ke sivaa"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"phir se aaraaish-e-hasti ke jo saamaan honge tere jalvon hi se aabaad shabistaan honge ishq ki manzil-e-avval pe Thaharne vaalo is se aage bhi kai dasht-o-bayaabaan honge tu jahaan jaaegi ghaarat-gar-e-hasti ban kar ham bhi ab saath tire gardish-e-dauraan honge kis qadar sakht hai ye tark-o-talab ki manzil ab kabhi un se mile bhi to pashemaan honge tere jalvon se jo mahrum rahe hain ab tak vahi aakhir tire jalvon ke nigahbaan honge ab to majbur hain par hashr kaa din aane de tujh se insaaf-talab ru-e-gurezaan honge jab kabhi ham ne kiyaa ishq pashemaan hue zindagi hai to abhi aur pashemaan honge koi bhi gham ho gham-e-dil ki gham-e-dahr 'hafiz' ham ba-har-haal ba-har-rang ghazal-khvaan honge"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"na puchh kyuun miri aankhon mein aa gae aansu jo tere dil mein hai us baat par nahin aae vafaa-e-ahd hai ye paa-shikastagi to nahin Thahar gayaa ki mire ham-safar nahin aae na chheD un ko khudaa ke liye ki ahl-e-vafaa bhaTak gae hain to phir raah par nahin aae abhi abhi vo gae hain magar ye aalam hai bahut dinon se vo jaise nazar nahin aae kahin ye tark-e-mohabbat ki ibtidaa to nahin vo mujh ko yaad kabhi is qadar nahin aae ajiib manzil-e-dilkash adam ki manzil hai musaafiraan-e-adam lauT kar nahin aae hafiz kab unhein dekhaa nahin ba-rang-e-digar 'hafiz' kab vo ba-rang-e-digar nahin aae"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"aaj unhein kuchh is tarah ji khol kar dekhaa kiye ek hi lamhe mein jaise umr-bhar dekhaa kiye dil agar betaab hai dil kaa muqaddar hai yahi jis qadar thi ham ko taufiq-e-nazar dekhaa kiye khud-faroshaana adaa thi meri surat dekhnaa apne hi jalve ba-andaaz-e-digar dekhaa kiye naa-shanaas-e-gham faqat daad-e-hunar dete rahe ham mataa-e-gham ko rusva-e-hunar dekhaa kiye dekhne kaa ab ye aalam hai koi ho yaa na ho ham jidhar dekhaa kiye pahron udhar dekhaa kiye husn ko dekhaa hai main ne husn ki khaatir 'hafiz' varna sab apnaa hi meyaar-e-nazar dekhaa kiye"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"raaz-e-sar-basta mohabbat ke zabaan tak pahunche baat baDh kar ye khudaa jaane kahaan tak pahunche kyaa tasarruf hai tire husn kaa allaah allaah jalve aankhon se utar kar dil-o-jaan tak pahunche tiri manzil pe pahunchnaa koi aasaan na thaa sarhad-e-aql se guzre to yahaan tak pahunche hairat-e-ishq miri husn kaa aaina hai dekhne vaale kahaan se hain kahaan tak pahunche khul gayaa aaj nigaahein hain nigaahein apni jalve hi jalve nazar aae jahaan tak pahunche vahi is gosha-e-daamaan ki haqiqat jaane jo mire dida-e-khun-naaba-fishaan tak pahunche ibtidaa mein jinhein ham nang-e-vafaa samjhe the hote hote vo gile husn-e-bayaan tak pahunche aah vo harf-e-tamannaa ki na lab tak aae haae vo baat ki ik ik ki zabaan tak pahunche kis kaa dil hai ki sune qissa-e-furqat meraa kaun hai jo mire andoh-e-nihaan tak pahunche khalish-angez thaa kyaa kyaa tiri mizhgaan kaa khayaal TuuT kar dil mein ye nashtar rag-e-jaan tak pahunche na pata sang-e-nishaan kaa na khabar rahbar ki justuju mein tire divaane yahaan tak pahunche na ghubaar-e-rah-e-manzil hai na aavaaz-e-jaras kaun mujh rahrav-e-gum-karda-e-nishaan tak pahunche saaf tauhin hai ye dard-e-mohabbat ki 'hafiz' husn kaa raaz ho aur meri zabaan tak pahunche"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"har qadam par ham samajhte the ki manzil aa gai har qadam par ik nai darpesh mushkil aa gai yaa khalaa par hukmaraan yaa khaak ke andar nihaan zindagi DaT kar anaasir ke muqaabil aa gai baDh rahaa hai dam-ba-dam subh-e-haqiqat kaa yaqin har nafas par ye gumaan hotaa hai manzil aa gai TuTte jaate hain rishte joDtaa jaataa huun main ek mushkil kam hui aur ek mushkil aa gai haal-e-dil hai koi khvaab-aavar fasaana to nahin niind abhi se tum ko ai yaaraan-e-mahfil aa gai"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"mohabbat karne vaale kam na honge tiri mahfil mein lekin ham na honge main aksar sochtaa huun phuul kab tak sharik-e-girya-e-shabnam na honge zaraa der-aashnaa chashm-e-karam hai sitam hi ishq mein paiham na honge dilon ki uljhanein baDhti raheingi agar kuchh mashvare baaham na honge zamaane bhar ke gham yaa ik tiraa gham ye gham hogaa to kitne gham na honge kahun bedard kyuun ahl-e-jahaan ko vo mere haal se mahram na honge hamaare dil mein sail-e-girya hogaa agar baa-dida-e-pur-nam na honge agar tu ittifaaqan mil bhi jaae tiri furqat ke sadme kam na honge 'hafiz' un se main jitnaa bad-gumaan huun vo mujh se us qadar barham na honge"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"lafz abhi ijaad honge har zarurat ke liye sharh-e-raahat ke liye gham ki saraahat ke liye ab miraa chup-chaap rahnaa amr-e-majburi sahi main ne kholi hi zabaan kab thi shikaayat ke liye mere chashm-o-gosh-o-lab se puchh lo sab kuchh yahin mujh ko mere saamne laao shahaadat ke liye sakht-koshi sakht-jaani ki taraf laai mujhe mujh ko ye fursat ghanimat hai alaalat ke liye oxigen se shabistaan-e-anaasir taabnaak muztarib har zi-nafas us ki rifaaqat ke liye mar gae kuchh log jiine kaa mudaavaa soch kar aur kuchh jiite rahe jiine ki aadat ke liye aah marg-e-aadmi par aadmi roe bahut koi bhi royaa na marg-e-aadamiyat ke liye koi mauqa zindagi kaa aakhiri mauqa nahin is qadar taajil kyon raf-e-kudurat ke liye istaqaamat ai mire dair-aashnaa-e-gham-gusaar ek aansu hai bahut husn-e-nadaamat ke liye koi 'naasir' ki ghazal koi zafar ki mai-tarang chaahiye kuchh to miri shaam-e-ayaadat ke liye gulshan-aabaad-e-jahaan mein surat-e-shabnam 'hafiz' ham agar roe bhi to rone ki fursat ke liye"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"be-chaargi-e-hasrat-e-didaar dekhnaa mushkil na dekhnaa hai to dushvaar dekhnaa lamhaat-e-intizaar ki raftaar dekhnaa vo baar baar saaya-e-divaar dekhnaa yuun dekhnaa ki TuuTe na rishta nigaah kaa ik baar dekhne mein vo sau baar dekhnaa yaa subh hi se shaam kaa pur-kaif intizaar yaa shaam hi se subh ke aasaar dekhnaa kyaa dil-fareb hai tire khvaab-e-giraan kaa husn tujh se nihaan tire lab-o-rukhsaar dekhnaa dard-e-firaaq ki sahar-e-avvalin 'hafiz' uThte hi jaanib-e-dar-o-divaar dekhnaa"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"aisi bhi kyaa jaldi pyaare jaane milein phir yaa na milein ham kaun kahegaa phir ye fasaana baiTh bhi jaao sun lo koi dam vasl ki shirini mein pinhaan hijr ki talkhi bhi hai kam kam tum se milne ki bhi khushi hai tum se judaa hone kaa bhi gham husn-o-ishq judaa hote hain jaane kyaa tufaan uThegaa husn ki aankhein bhi hain pur-nam 'ishq ki aankhein bhi hain pur-nam meri vafaa to naadaani thi tum ne magar ye kyaa Thaani thi kaash na karte mujh se mohabbat kaash na hotaa dil kaa ye 'aalam parvaane ki khaak pareshaan sham' ki lau bhi larzaan larzaan mahfil ki mahfil hai viraan kaun kare ab kis kaa maatam kuchh bhi ho par in aankhon ne aksar ye 'aalam bhi dekhaa 'ishq ki duniyaa naaz-e-saraapaa husn ki duniyaa ijz-e-mujassam shahd-shikan honTon ki larzish 'ishrat baaqi kaa gahvaara daaera-e-imkaan-e-tamannaa narm lachakti baanhon ke kham apne apne dil ke haathon donon hi barbaad hue hain main huun aur vafaa kaa ronaa vo hain aur jafaa kaa maatam naakaami si naakaami hai mahrumi si mahrumi hai dil kaa manaanaa sai-e-musalsal un ko bhulaanaa koshish-e-paiham ahd-e-vafaa hai aur bhi mohkam teri judaai ke main qurbaan teri judaai ke main qurbaan ahd-e-vafaa hai aur bhi mohkam"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"nargis pe to ilzaam lagaa be-basari kaa arbaab-e-gulistaan pe nahin kam-nazari kaa taufiq-e-rifaaqat nahin un ko sar-e-manzil raste mein jinhein paas rahaa ham-safari kaa ab khaanqah o madrasa o mai-kada hain ek ik silsila hai qaafila-e-be-khabari kaa har naqsh hai aaina-e-nairang-e-tamaashaa duniyaa hai ki haasil miri hairaan-nazari kaa ab farsh se taa-arsh zabun-haal hai fitrat ik maarka dar-pesh hai azm-e-bashari kaa kab milti hai ye daulat-e-bedaar kisi ko aur main huun ki ronaa hai isi dida-vari kaa be-vaasta-e-ishq bhi rang-e-rukh-e-parvez unvaan hai farhaad ki khunin-jigari kaa aakhir tire dar pe mujhe le aai mohabbat dekhaa na gayaa haal miri dar-badari kaa dil mein ho faqat tum hi tum aankhon pe na jaao aankhon ko to hai rog pareshaan-nazari kaa be-pairvi-e-'mir' 'hafiz' apni ravish hai ham par koi ilzaam nahin kam-hunari kaa"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"kahaan kahaan na tasavvur ne daam phailaae hudud-e-shaam-o-sahr se nikal ke dekh aae nahin payaam rah-e-naama-o-payaam tu hai abhi sabaa se kaho un ke dil ko bahlaae ghurur-e-jaadaa-shanaasi bajaa sahi lekin suraagh-e-manzil-e-maqsud bhi koi paae khudaa vo din na dikhaae ki raahbar ye kahe chale the jaane kahaan se kahaan nikal aae guzar gayaa koi darmaanda-raah ye kahtaa ab is fazaa mein koi qaafile na Thahraae na jaane un ke muqaddar mein kyuun hai tira-shabi vo ham-navaa jo sahar ko qarib-tar laae koi fareb-e-nazar hai ki taabnaak fazaa kise khabar ki yahaan kitne chaand gahnaae gham-e-zamaana tiri zulmatein hi kyaa kam thiin ki baDh chale hain ab un gesuon ke bhi saae bahut buland hai is se miraa maqaam-e-ghazal agarche main ne mohabbat ke giit bhi gaae 'hafiz' apnaa muqaddar 'hafiz' apnaa nasib gire the phuul magar ham ne zakhm hi khaae"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"man-o-tu kaa hijaab uThne na de ai jaan-e-yaktaai kahin aisaa na ho ban jaaun khud apnaa tamannaai vahi main huun vahi hai tere gham ki kaar-farmaai kabhi tanhaai mein mahfil kabhi mahfil mein tanhaai khalish-angez hai vo aalam-e-jazb-o-gurez ab tak tiri achchhi buri har baat yuun to mujh ko yaad aai qusur-e-zarf samjhun yaa shour-e-lazzat-andozi tire lutf-o-karam mein tishnagi hi tishnagi paai na chhoDaa daaman-e-hosh-o-khirad dil ne mohabbat mein sazaa-e-dil hisaar-e-aagahi ki qaid-e-tanhaai"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri
Quote
"ab koi aarzu nahin zauq-e-payaam ke sivaa ab koi justuju nahin shauq-e-salaam ke sivaa koi sharik-e-gham nahin ab teri yaad ke sivaa koi anis-e-dil nahin ab tere naam ke sivaa kaahish-e-aarzu sahi haasil-e-zindagi magar haasil-e-aarzu hai kyaa soz-e-mudaam ke sivaa aah koi na kar sakaa chaara-e-talkhi-e-firaaq naala-e-subh ke baghair giriya-e-shaam ke sivaa teri nigaah-e-mast se mujh pe ye raaz khul gayaa aur bhi gardishein hain kuchh gardish-e-jaam ke sivaa rang-e-bahaar par na phuul bu-e-chaman se darguzar ye bhi hain khushnumaa fareb-e-daana-o-daam ke sivaa mar ke hayaat-e-jaavidaan ishq ko mil gai 'hafiz' ji ke hosh ko kyaa milaa marg-e-davaam ke sivaa"
Hafeez HoshiarpuriHafeez Hoshiarpuri