SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHameed Almas(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"sarhad-e-gul se nikal kar ham judaa ho jaaeinge kal tumhaari qaid-e-khushbu se rihaa ho jaaeinge zehn mein ehsaas-e-rukhsat hi na hogaa shaam tak baDhte baDhte din ke lamhe yuun havaa ho jaaeinge chhoD jaao daaman-e-imroz mein bhi kuchh na kuchh varna tum se taair-e-fardaa khafaa ho jaaeinge jab na ho kaar-e-nafas to phir hamaare saath saath ye zamin-o-aasmaan donon fanaa ho jaaeinge saamne hai saaat-e-aakhir kaa an-dekhaa azaab umr-bhar kahte rahe ab be-navaa ho jaaeinge"
Hameed AlmasHameed Almas
Quote
"jitne achchhe log hain vo mujh se vaabasta rahe mere saare bol un ke lab se paivasta rahe sab parinde laa rahe hain aasmaanon se khabar mere ghar aangan mein aa kar kab vo par-basta rahe vo tariq-e-khauf-o-dahshat par amal-pairaa sahi main ye kahtaa huun ki qatl-o-khun bhi shaaista rahe baavajud-e-ham-nashini us se kuchh paayaa na faiz dil bhi aazurda rahaa haalaat bhi khasta rahe kam se kam baaqi rahe sab ke dilon mein rasm-o-raah ye munaasib hai gharon ke darmiyaan rasta rahe sarhad-e-imkaan se aage thiin yahi taarikiyaan kyaa zaruri hai andheraa har jagah Dastaa rahe umr-bhar karte rahe 'almaas' milne se gurez kijiye tahqiq kyuun vo raaz sar-basta rahe"
Hameed AlmasHameed Almas
Quote
"churaa ke mere taaq se kitaab koi le gayaa miri tamaam umr kaa hisaab koi le gayaa ye vaaqia hai jab luTi mire chaman ki aabru larazti shaakh rah gai gulaab koi le gayaa vahi to ik zariya-e-najaat mere paas thaa magar mire zamir kaa savaab koi le gayaa savaal ban ke ru-ba-ru khaDi hui thi zindagi miraa lahu nichoD kar javaab koi le gayaa mire badan mein chubh rahi thiin suiyaan si raat bhar sahar hui to lutf-e-iztiraab koi le gayaa chhupaa liyaa hai main ne saaraa dard apni ruuh mein tasalliyon kaa zaahiri naqaab koi le gayaa"
Hameed AlmasHameed Almas
Quote
"us ke karam se hai na tumhaari nazar se hai mausam dilon kaa dard ke raushan shajar se hai jis se mire vajud ke pahlu ayaan hue shaayad miraa moaamla us ke hunar se hai haail huaa na koi taalluq ki raah mein daaim tamaam silsila bint-e-sahar se hai aayaa na vo haram mein imaamat ke vaaste kuchh rabt hi ajiib use apne ghar se hai apni gali mein nasb hai vo sang-e-be-navaa kahte hain garche vaasta us ko safar se hai us ke sivaa na dil ki hikaayat koi paDhe mansub meri daastaan ik dida-var se hai mahsus kis tarah ho mujhe dhuup kaa azaab 'almaas' kaarobaar miraa baad-e-tar se hai"
Hameed AlmasHameed Almas
Quote
"ghar hai to dar bhi hogaa divaar bhi rahegi zanjir bhi hilegi jhankaar bhi rahegi taarikiyon ke qalb-e-taarik-tar mein DhunDo ik shama maavaraa-e-anvaar bhi rahegi behtar thaa be-rukhi kaa izhaar yuun na hotaa maanaa ki kuchh to vajh-e-inkaar bhi rahegi jis aankh ko chhupaa kar rakkhaa hai har nazar se vo nim-vaa bhi hogi bedaar bhi rahegi sahraa talab kaa goyaa maidaan-e-karbalaa hai paanv mein ret sar par talvaar bhi rahegi qurbat ki saaaton mein duuri kaa khauf hogaa saae se raushni ki paikaar bhi rahegi zaahir hai saadgi bhi 'almaas' ke sukhan se lekin ghazal ki fitrat pur-kaar bhi rahegi"
Hameed AlmasHameed Almas
Quote
"phir kisi yaad kaa darvaaza khulaa aahista kaun aataa hai chalaa aae zaraa aahista dam-zadan mein nahin jaaegi bahaar-e-gulshan aable phuTeinge ai aabla-paa aahista baat vo saaf hi kab thi jo samajh mein aati mujh se kuchh kahti rahi chashm-e-hayaa aahista shaam hai ek sitaara hai sar-e-charkh-e-vafaa maang us vaqt koi dil se duaa aahista haae us shakhs pe kyaa jaaniye kyaa guzri thi baaton baaton mein tire ghar se uThaa aahista hijr ki raat hai pichhle kaa samaan hai 'almaas' dard aahista zaraa baad-e-sabaa aahista"
Hameed AlmasHameed Almas
Quote
"harf-e-ghazal se rang-e-tamannaa bhi chhin le main jal rahaa huun aatish-e-naghma bhi chhin le be-barg-o-baar ho gayaa imroz kaa shajar mujh se mataa-e-gulshan-e-fardaa bhi chhin le mere junun ko haajat-e-divaar-o-dar nahin ghar se judaa huaa huun to saaya bhi chhin le ab to nashaat-e-did kaa bhi silsila gayaa yaani dil-o-nigaah kaa rishta bhi chhin le chhinaa hai tu ne shaam ke rukh se salonaa-pan ab shahr-e-aarzu se ujaalaa bhi chhin le baaqi rahe na dast-e-tasarruf mein koi shai jo kuchh mujhe diyaa thaa vo hissa bhi chhin le"
Hameed AlmasHameed Almas
Quote
"yuun bhi kyaa thaa aur ab kyaa rah gayaa main akelaa thaa akelaa rah gayaa hijr mein hai kaun kitnaa be-qaraar lekin in baaton mein ab kyaa rah gayaa maslahat kaafir thi baaz aai nahin dil vo naadaan thaa ki rotaa rah gayaa saaqi-e-umr-e-do-roza yaad rakh meri jaanib se taqaaza rah gayaa chaarasaazo bhuul jaaungaa use ab sunaao zakhm kitnaa rah gayaa zindagi kuchh is tarah kaTti gai jaise koi haath maltaa rah gayaa bhiiD tanhaai ki chhuTti hi nahin har taraf chehra hi chehra rah gayaa maut kyaa aati bichhaD kar dost se dekh lo 'almaas' zinda rah gayaa"
Hameed AlmasHameed Almas