SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHari Chand Akhtar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"shabaab aayaa kisi but par fidaa hone kaa vaqt aayaa miri duniyaa mein bande ke khudaa hone kaa vaqt aayaa unhein dekhaa to zaahid ne kahaa imaan ki ye hai ki ab insaan ko sajda ravaa hone kaa vaqt aayaa khudaa jaane ye hai auj-e-yaqin yaa pasti-e-himmat khudaa se kah rahaa huun naa-khudaa hone kaa vaqt aayaa hamein bhi aa paDaa hai doston se kaam kuchh yaani hamaare doston ke be-vafaa hone kaa vaqt aayaa naved-e-sar-bulandi di munajjim ne to main samjhaa sagaan-e-dahr ke aage khudaa hone kaa vaqt aayaa"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"zindagi-bhar dahr ki nairangiyaan dekhaa kiye gardish-e-ayyaam-o-daur-e-aasmaan dekhaa kiye ham asiraan-e-qafas ki haae re majburiyaan saamne aankhon ke jaltaa aashiyaan dekhaa kiye aashiyaan baandhaa kiye har fasl-e-gul mein ham-safir aur ham apne qafas ki tiliyaan dekhaa kiye aashiyaan baandhaa magar aasudgi kaa zikr kyaa kis tarah girti hain us par bijliyaan dekhaa kiye jaan bhi aakhir maraz ke saath rukhsat ho gai ham tiri rah ai masihaa-e-zamaan dekhaa kiye"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"kisi ke husn-e-aalam-taab ki tanvir ke sadqe kisi bad-bakht ki surat bhi pahchaani nahin jaati muravvat ki adaa par band aankhein kar ke luT jaanaa ye naadaani sahi lekin ye naadaani nahin jaati vahaan dil le chalaa hai phir vahi ik baat kahne ko kahi jaati hai jo aksar magar maani nahin jaati khudaavandaa phir aakhir kyaa tamannaa hai mire dil ki vo pahlu mein bhi hain lekin pareshaani nahin jaati kiyaa thaa main ne shikva aap ne aankhein jhukaa li thiin hui muddat magar ab tak pashemaani nahin jaati vahi hai apni rindi aur vahi vaaiz ki fahmaaish buri aadat koi bhi ho ba-aasaani nahin jaati"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"ghurur-e-zabt se aah-o-fughaan tak baat aa pahunchi havas ne kyaa kiyaa dil se zabaan tak baat aa pahunchi sukun-e-dil se naaqus o azaan tak baat aa pahunchi khudaa vaalon ki himmat se kahaan tak baat aa pahunchi khilaafat se jabin o aastaan tak baat aa pahunchi khudaa aur ibn-e-aadam mein yahaan tak baat aa pahunchi mili thi aankh aur aah-o-fughaan tak baat aa pahunchi zaraa si baat thi lekin yahaan tak baat aa pahunchi hamaari daastaan mein zikr-e-qais-o-kohkan aayaa vahaan se phir hamaari daastaan tak baat aa pahunchi"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"mohabbat mein tapaake-zaahiri se kuchh nahin hotaa jahaan dil ko lagi ho dil-lagi se kuchh nahin hotaa ye hai jabr-e-mashiyat yaa miri taqdir hai yaarab sahaaraa jis kaa letaa huun usi se kuchh nahin hotaa koi meri khataa hai yaa tiri sanat ki khaami hai farishte kah rahe hain aadmi se kuchh nahin hotaa tire ahkaam ki duniyaa mire aamaal kaa mahshar yahaan meri vahaan teri khushi se kuchh nahin hotaa razaa teri likhaa taqdir kaa meri ziyaan-koshi kisi ki dosti yaa dushmani se kuchh nahin hotaa"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"kaliyon kaa tabassum ho ki tum ho ki sabaa ho is raat ke sannaaTe mein koi to sadaa ho yuun jism mahaktaa hai havaa-e-gul-e-tar se jaise koi pahlu se abhi uTh ke gayaa ho duniyaa hama-tan-gosh hai aahista se bolo kuchh aur qarib aao koi sun na rahaa ho yuun raat ko hotaa hai gumaan dil ki sadaa par jaise koi divaar se sar phoD rahaa ho yuun teri nigaahon mein asar DhunD rahaa huun jaise ki tujhe dil ke dhaDakne kaa pata ho is darja mohabbat mein taghaaful nahin achchhaa ham bhi jo kabhi tum se gurezaan hon to kyaa ho ham khaak ke zarron mein hain 'akhtar' bhi guhar bhi tum baam-e-falak se kabhi utro to pataa ho"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"jama hain saare musaafir naa-khudaa-e-dil ke paas kashti-e-hasti nazar aati hai ab saahil ke paas saarbaan kis justuju mein hai yahaan majnun kahaan ab bagulaa bhi na bhaTkegaa tire mahmil ke paas ibtidaa-e-ishq yaani ek mohlik haadsa aa gai hasti yakaayak maut ki manzil ke paas neamaton ko dekhtaa hai aur hans detaa hai dil mahv-e-hairat huun ki aakhir kyaa hai mere dil ke paas ye tire dast-e-karam ko khinch legaa ek din ai khudaa rahne na de dast-e-duaa saail ke paas"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"ji ko rog lagaa baiThaa ji ke rog se martaa huun is mein kisi se shikva kyaa apni karni bhartaa huun tark-e-gunaah ai vaaiz-ji dil se nahin majburi hai aap khudaa se Darte hain main duniyaa se Dartaa huun duniyaa se kuchh faiz na thaa duniyaa ko taj baiThaa huun allaah se ummidein hain allaah allaah kartaa huun duur to haT jaaun lekin fikr-e-mohabbat ne maaraa behad naazuk rishta hai TuuT na jaae Dartaa huun kaavish-e-paiham aakhir tak haasil-e-marg-e-maayusi ye bhi koi jiinaa hai kis jiine par martaa huun"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"kaliyon kaa tabassum ho, ki tum ho ki sabaa ho is raat ke sannaaTe mein, koi to sadaa ho yuun jism mahaktaa hai havaa-e-gul-e-tar se! jaise koi pahlu se abhi uTh ke gayaa ho duniyaa hama-tan-gosh hai, aahista se bolo kuchh aur qarib aao, koi sun na rahaa ho ye rang, ye andaaz-e-navaazish to vahi hai shaayad ki kahin pahle bhi tu mujh se milaa ho yuun raat ko hotaa hai gumaan dil ki sadaa par jaise koi divaar se sar phoD rahaa ho duniyaa ko khabar kyaa hai mire zauq-e-nazar ki tum mere liye rang ho, khushbu ho, ziyaa ho yuun teri nigaahon mein asar DhunD rahaa huun jaise ki tujhe dil ke dhaDakne kaa pataa ho is darja mohabbat mein taghaaful nahin achchhaa ham bhi jo kabhi tum se gurezaan hon to kyaa ho ham khaak ke zarron mein hain 'akhtar' bhii, guhar bhi tum baam-e-falak se, kabhi utro to pataa ho"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"milegi shaikh ko jannat, hamein dozakh ataa hogaa bas itni baat hai jis ke liye mahshar bapaa hogaa rahe do do farishte saath ab insaaf kyaa hogaa kisi ne kuchh likhaa hogaa kisi ne kuchh likhaa hogaa ba-roz-e-hashr haakim qaadir-e-mutlaq khudaa hogaa farishton ke likhe aur shaikh ki baaton se kyaa hogaa tiri duniyaa mein sabr o shukr se ham ne basar kar li tiri duniyaa se baDh kar bhi tire dozakh mein kyaa hogaa sukun-e-mustaqil dil be-tamannaa shaikh ki sohbat ye jannat hai to is jannat se dozakh kyaa buraa hogaa mire ashaar par khaamosh hai jiz-biz nahin hotaa ye vaaiz vaaizon mein kuchh haqiqat-aashnaa hogaa bharosa kis qadar hai tujh ko 'akhtar' us ki rahmat par agar vo shaikh-saahib kaa khudaa niklaa to kyaa hogaa"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"miraa mazmun savaar-e-tausun-e-tab-e-ravaan ho kar zamin-e-sher par phirtaa hai goyaa aasmaan ho kar khaTak jaate hain chashm-e-barq mein meraa nishaan ho kar ghazab Dhaate hain yaani chand tinke aashiyaan ho kar sun ai josh-e-junun taqlid-e-majnun ki nahin achchhi mabaadaa ham bhi rah jaaein kisi din daastaan ho kar damaa-dam shoabde ham ko dikhaataa hai koi jalva kahin shaikh-e-haram ho kar kahin pir-e-mughaan ho kar in aankhon se bahaar-e-baagh-e-duniyaa dene vaalo ye aankhein rang laaeingi kisi din khun-fishaan ho kar aji kyaa shama kyaa parvaana donon jal bujhe aakhir koi aatish-fishaan ho kar koi aatash-bajaan ho kar khudaa mahfuz rakkhe ye hasin dil le hi lete hain kisi par mehrbaan ho kar kisi se sargiraan ho kar na paayaa aur kuchh bhi juz khudaa kaabe mein ai 'akhtar' bahut naadim hue ham but-kade se bad-gumaan ho kar"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"shaikh o panDit dharm aur islaam ki baatein karein kuchh khudaa ke qahr kuchh inaam ki baatein karein yaas-o-hirmaan-o-gham-o-aalaam ki baatein karein aa dil-e-izaa-talab kuchh kaam ki baatein karein ye sunaaein paak naghme avvalin ilhaam ke vo khudaa ke aakhiri paighaam ki baatein karein ham khaDe sunte rahein aur dil mein ye kahte rahein ab ye rukhsat hon to ham kuchh kaam ki baatein karein dost se kah dein dil-e-be-muddaaa ki daastaan aaj saaqi se shikast-e-jaam ki baatein karein umr bhar kaa ahd-e-ulfat ik khayaal-e-khaam thaa aao lekin is khayaal-e-khaam ki baatein karein zindagi be-shak tiraa inaam hai yaa-rab magar sun sake to kuchh tire inaam ki baatein karein"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"fikr-e-uqbaa hai mujhe khvaahish-e-duniyaa hai mujhe aish ki dhun hai mujhe maut kaa dhaDkaa hai mujhe maut kahte hain jise zabt ki takmil na ho ki tanaffus pe bhi fariyaad kaa dhokaa hai mujhe husn vo chaahiye jo ishq kaa aaina bane yaani apne liye apni hi tamannaa hai mujhe tum na ghabraao mujhe tum se koi kaam nahin apni khvaahish hai mujhe apni tamannaa hai mujhe ye to maalum nahin un kaa iraada kyaa hai haan nigaah-e-ghalat-andaaz se dekhaa hai mujhe hijr ki shab udhar allaah idhar vo but hai dekhnaa ye hai ki ab kaun bulaataa hai mujhe ek but ek hi but kaa huun pujaari 'akhtar' apne is shirk pe tauhid kaa daavaa hai mujhe"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"jis zamin par tiraa naqsh-e-kaf-e-paa hotaa hai ek ik zarra vahaan qibla-numaa hotaa hai kaash vo dil pe rakhe haath aur itnaa puchhe kyuun taDap uThtaa hai kyaa baat hai kyaa hotaa hai bazm-e-dushman hai khudaa ke liye aaraam se baiTh baar baar ai dil-e-naadaan tujhe kyaa hotaa hai meri surat miri haalat miri rangat dekhi aap ne dekh liyaa ishq mein kyaa hotaa hai ai sabaa khaar-e-mughilaan ko sunaa de muzhda aazim-e-dasht koi aabla-paa hotaa hai ham jo kahte hain hamesha hi ghalat kahte hain aap kaa hukm durust aur bajaa hotaa hai"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"jahaan tujh ko biThaa kar pujte hain pujne vaale vo mandir aur hote hain shivaale aur hote hain dahaan-e-zakhm se kahte hain jin ko marhabaa bismil vo khanjar aur hote hain vo bhaale aur hote hain jinhein mahrumi-e-taasir hi asl-e-tamannaa hai vo aahein aur hoti hain vo naale aur hote hain jinhein haasil hai teraa qurb khush-qismat sahi lekin tiri hasrat liye mar jaane vaale aur hote hain jo Thokar hi nahin khaate vo sab kuchh hain magar vaaiz vo jin ko dast-e-rahmat khud sambhaale aur hote hain talaash-e-shama se paidaa hai soz-e-naa-tamaam 'akhtar' khud apni aag mein jal jaane vaale aur hote hain"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"sunaa kar haal qismat aazmaa kar lauT aae hain unhein kuchh aur begaana banaa kar lauT aae hain phir ik TuuTaa huaa rishta phir ik ujDi hui duniyaa phir ik dilchasp afsaana sunaa kar lauT aae hain fareb-e-aarzu ab to na de ai marg-e-mayusi ham ummidon ki ik duniyaa luTaa kar lauT aae hain khudaa shaahid hai ab to un saa bhi koi nahin miltaa ba-zom-e-khvesh un ko aazmaa kar lauT aae hain bichhe jaate hain yaa rab kyuun kisi kaafir ke qadmon mein vo sajde jo dar-e-kaaba pe jaa kar lauT aae hain"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"abhi to yahi dekhnaa chaahtaa huun nahin chaahtaa un ko yaa chaahtaa huun vo kahte hain tum mujh se kyaa chaahte ho yahi kuchh to main jaannaa chaahtaa huun miri niyaton par nazar rakhne vaalo khudaaraa bataa do main kyaa chaahtaa huun na samjhaa koi jis ko vo harf huun main ghalat ho gayaa huun miTaa chaahtaa huun vo pur-josh aansu vo khaamosh aahein vahi ishq ki ibtidaa chaahtaa huun main samjhaa vo kuchh puchhnaa chaahte hain vo samjhe ki main kuchh kahaa chaahtaa huun"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar
Quote
"umidon se dil-e-barbaad ko aabaad kartaa huun miTaane ke liye duniyaa nai ijaad kartaa huun tiri mi’aad-e-gham puuri hui ai zindagi khush ho qafas TuuTe na TuuTe main tujhe aazaad kartaa huun jafaa-kaaro miri mazlum khaamoshi pe hanste ho zaraa Thahro zaraa dam lo abhi fariyaad kartaa huun main apne dil kaa maalik huun miraa dil ek basti hai kabhi aabaad kartaa huun kabhi barbaad kartaa huun mulaaqaatein bhi hoti hain mulaaqaaton ke baa'd aksar vo mujh ko bhuul jaate hain main un ko yaad kartaa huun khudi ki ibtidaa ye thi ki apne-aap mein gum thaa khudi ki intihaa ye hai khudaa ko yaad kartaa huun buton ke 'ishq mein khoyaa gayaa huun varna ai 'akhtar' khudaa shaahid hai main aksar khudaa ko yaad kartaa huun"
Hari Chand AkhtarHari Chand Akhtar