Quote
"barbaadi-e-sarmaaya-e-jaan dekh rahaa huun ulfat ki navaazish kaa samaan dekh rahaa huun kis shokh ke shaanon pe hain bikhre hue gesu barham jo nizaam-e-do-jahaan dekh rahaa huun dekhaa na jise hazrat-e-musaa ne sar-e-tur main us ko qarib-e-rag-e-jaan dekh rahaa huun betaab jo hai apni jabin sajdon ki khaatir jhuk kar tire qadmon ke nishaan dekh rahaa huun allaah re jazb-o-kashish-e-ishrat-e-hasti hasrat se su-e-umr-e-ravaan dekh rahaa huun"
H
Hasan Azimabadi






