SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHasan Rizvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tamaam shobade us ke kamaal us ke hain shikaari aur hai zaahir mein jaal us ke hain vo ek shakhs jo ojhal huaa hai aankhon se har ek chehre pe ab khadd-o-khaal us ke hain basar kiyaa hai jise ham ne zindagi ki tarah mataa-e-umr ke sab maah-o-saal us ke hain vo khush-nasib hai kitnaa ki itne barson se sitaare burj mein sab hasb-e-haal us ke hain ab us se baDh ke bhalaa mo'tabar kahein kis ko zamaana us kaa hai maazi-o-haal us ke hain badalti rut mein jise main na bhuul paayaa 'hasan' nishaan dil pe mire laa-zavaal us ke hain"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"mohabbat kaa ajab zaaviya hai havaaein chaar-su aur ik diyaa hai ham ahl-e-dard khud se puchhte hain vatan ko ham ne ab tak kyaa diyaa hai sitamgar ke sitam itne baDhe hain labon ko aaj ham ne si liyaa hai achaanak bol uThe divaar-o-dar bhi ye kis kaa naam main ne le liyaa hai tumhaare khvaab aakhir kyaa hue hain haqiqat-aashnaa kis ne kiyaa hai tumhaari pyaas kyuun bujhti nahin hai ye kis ki ok se paani piyaa hai miri aankhon se aansu kis ne ponchhe garebaan chaak ye kis ne siyaa hai sabhi ko lauTnaa hai ik na ik din 'hasan' duniyaa mein kaun itnaa jiyaa hai"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"phir nae khvaab bunein phir nai rangat chaahein zinda rahne ke liye phir koi surat chaahein nae mausam mein karein phir se koi ahd-e-vafaa ishq karne ke liye aur bhi shiddat chaahein ek vo hain ki nazar bhar ke na dekhein ham ko ek ham hain ki faqat un ki hi surat chaahein baat sunne ke liye hausla dil mein rakkhein baat kahne ke liye harf-e-sadaaqat chaahein un ko paane ke liye tesha-e-farhaad banein qais banne ke liye qais si vahshat chaahein saans qurbaan karein des pe ik din ham bhi aisi taqdir mile aisi saaadat chaahein ham milein aise ki jon rang mile paani mein un ki qurbat mein 'hasan' aisi rifaaqat chaahein"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"anis-e-jaan hain abhi tak nishaaniyaan us ki bhulaae bhuul na paae kahaaniyaan us ki har ek lahje mein shaamil hai zaaiqa us kaa sadaa sadaa mein hain gauhar-fishaaniyaan us ki kisi ko maar gayaa is kaa tund-o-tez mizaaj hamein to maar gaiin qadr-daaniyaan us ki zaraa si baat pe us kaa simaT simaT jaanaa vo baat baat pe nazraan jhukaaniyaan us ki kiye hain jab bhi taqaaze nae nae us se suni hain phir vahi baataan puraaniyaan us ki kisi ki baat pe us kaa mahak mahak uThnaa vo mere zikr pe kuchh bad-gumaaniyaan us ki nazar mein husn kisi kaa 'hasan' samaataa nahin ki ham ne dekhi hain uThti javaaniyaan us ki"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"khilne lage hain phuul aur patte hare hue lagte hain peD saare ke saare bhare hue suraj ne aankh khol ke dekhaa zamin ko saae andheri raat ke jhaT se hare hue mil kar karein vo kaam jo pahle kiye gae! arsa huaa hai kaam bhi aise kare hue kaisi ajiib rut hai parinde gharon se ab nikle nahin hain khauf ke maare Dare hue aataa hai roz khvaab mein vo paikar-e-jamaal aankhon ki gaagaron ko hayaa se bhare hue phir se kisi pe zulm kisi ne kiyaa hai aaj dekhe hain ghonslon mein parinde mare hue mashal liye hue koi aaegaa ab 'hasan' baiThe hain kab se taaq mein aankhein dhare hue"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"kabhi shaam-e-hijr guzaarte kabhi zulf-e-yaar sanvaarte kaTi umr apni qafas qafas tiri khushbuon ko pukaarte na vo mah-jabinon ki Toliyaan na vo rang rang ki boliyaan na mohabbaton ki vo baaziyaan kabhi jitte kabhi haarte vo jo aarzuon ke khvaab the vo khayaal the vo saraab the sar-e-dasht ek bhi gul na thaa jise aansuon se sanvaarte thaa jo ek lamha visaal kaa vo riyaaz thaa kai saal kaa vahi ek pal mein guzar gayaa jise umr guzri pukaarte the jo jaan se bhi aziz-tar rahe umr bhar vahi be-khabar thi ye aarzu mire chaaraa-gar miri naav paar utaarte nahin lab pe koi savaal thaa miraa dil tamaam malaal thaa main khamosh dar pe khaDaa rahaa rahe vo bhi gesu sanvaarte"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"main apne-aap se ghaafil na yuun huaa hotaa mire bhi paas agar koi aaina hotaa zaraa to soch kar itnaa hi kar liyaa hotaa mujhe kitaab samajh kar hi paDh liyaa hotaa tamaam-umr faqat ek aarzu hi rahi kiyaa thaa pyaar to phir TuuT kar kiyaa hotaa ye aur baat ki main tujh se duur huun lekin main tere paas bhi hotaa bhalaa to kyaa hotaa papihaa saavanon mein yuun pukaartaa na kabhi agar tu chaandni raaton mein mil gayaa hotaa miri bisaat ke baare mein puchhne vaale kisi faqir kaa chehra hi paDh liyaa hotaa karun to kis se karun main gilaa jahaalat kaa ye aarzu thi ki main bhi paDhaa-likhaa hotaa khanDar-zamin pe basaa letaa bastiyaan vo bhi agar vo vaqt se pahle na mar gayaa hotaa bhari bhari kisi mahfil mein dekh kar us ko main apne jism ke andar hi chhup gayaa hotaa mire qalam se Tapaktaa huaa lahu 'rizvi' kisi ki aankh kaa kaajal hi ban gayaa hotaa"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"chup hain huzur mujh se koi baat ho gai yaa phir kisi se aaj mulaaqaat ho gai taaza lagi thi choT ki mausam badal gayaa aur dekhte hi dekhte barsaat ho gai yuun to diye fareb kisi aur ne unhein lekin gunaahgaar miri zaat ho gai aae to dil mein pyaar kaa chashma ubal paDaa aur chal diye to dard ki bohtaat ho gai chunte ho tirgi mein bhi taaza ghazal ke phuul kyaa soch teri vaaqif-e-haalaat ho gai ham ne kiyaa savaal to vo chup rahe 'hasan' lo aaj apni baat khuraafaat ho gai"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"kabhi aabaad kartaa hai kabhi barbaad kartaa hai sitam har roz hi vo ik nayaa ijaad kartaa hai ham us ki har adaa par roz par phailaae aate hain nazar ke jaal mein paaband jo sayyaad kartaa hai vo kal bhi mo'atabar thaa aaj bhi rahbar hamaaraa hai vo dushman jo vatan ki khokhli buniyaad kartaa hai usi ke ishq mein jalnaa miri taqdir Thahri hai mohabbat ki nai jo bastiyaan aabaad kartaa hai main us ke pyaar ke dhaagon se apni umr buntaa huun jo meraa naam le le kar mujhe barbaad kartaa hai tazaad-e-ishq kaa ye khel bhi kitnaa anokhaa hai use ham bhuul jaate hain jo ham ko yaad kartaa hai zamaana ho gayaa lekin khabar lene nahin aayaa jo panchhi roz mere naam par aazaad kartaa hai ajab vo shakhs hai us ki mohabbat bhi niraali hai jo pahle qaid kar ke baad mein aazaad kartaa hai main ik muddat se us ke pyaar ki khushbu mein jiitaa huun 'hasan' misl-e-havaa jo roz mujh ko shaad kartaa hai"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"munh apni rivaayaat se pheraa nahin karte dushman ko achaanak kabhi gheraa nahin karte divaar ke pichhe koi rahzan na chhupaa ho is vaaste ham ghar mein andheraa nahin karte jis peD ki chhaanv bhi lage dhuup ki surat us peD pe panchhi bhi baseraa nahin karte aankhon se na paDh le koi chehre ki udaasi us Dar se kabhi zikr vo meraa nahin karte bas yunhi hamein yaad to aa jaataa hai varna daanista kabhi tazkira teraa nahin karte ham sinchte hain kisht-e-sahar apne lahu se maange hue suraj se saveraa nahin karte lahraate hain shaanon pe 'hasan' zulf vo kam kam saaya to vo karte hain ghaneraa nahin karte"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"na vo iqraar kartaa hai na vo inkaar kartaa hai hamein phir bhi gumaan hai vo hamin se pyaar kartaa hai main us ke kis sitam ki surkhiyaan akhbaar mein dekhun vo zaalim hai magar har zulm se inkaar kartaa hai munDeron se koi maanus si aavaaz aati hai koi to yaad ham ko bhi pas-e-divaar kartaa hai ye us ke pyaar ki baatein faqat qisse puraane hain bhalaa kachche ghaDe par kaun dariyaa paar kartaa hai hamein ye dukh ki vo aksar kai mausam nahin miltaa magar milne kaa vaa'da ham se vo har baar kartaa hai 'hasan' raaton ko jab sab log miThi niind sote hain to ik khvaab-aashnaa chehra hamein bedaar kartaa hai"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"kabhi kitaabon mein phuul rakhnaa kabhi darakhton pe naam likhnaa hamein bhi hai yaad aaj tak vo nazar se harf-e-salaam likhnaa vo chaand chehre vo bahki baatein sulagte din the mahakti raatein vo chhoTe chhoTe se kaaghazon par mohabbaton ke payaam likhnaa gulaab chehron se dil lagaanaa vo chupke chupke nazar milaanaa vo aarzuon ke khvaab bunnaa vo qissa-e-naa-tamaam likhnaa mire nagar ki hasin fazaao kahin jo un kaa nishaan paao to puchhnaa ye kahaan base vo kahaan hai un kaa qayaam likhnaa khuli fazaaon mein saans lenaa abas hai ab to ghuTan hai aisi ki chaaron jaanib shajar khaDe hain salib-surat tamaam likhnaa gai ruton mein 'hasan' hamaaraa bas ek hi to ye mashghala thaa kisi ke chehre ko subh kahnaa kisi ki zulfon ko shaam likhnaa"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"ab ke yaaro barkhaa-rut ne manzar kyaa dikhlaae hain jalte bujhte chehre hain aur maddham maddham saae hain aaj bhi suraj ke bujhte hi halki gahri shaam hui aaj bhi ham ne tanhaa ghar mein angaare dahkaae hain kaun kisi kaa dukh-sukh baanTe kaun kisi ki raah take chaaron jaanib chalte-phirte khud-gharzi ke saae hain un ki yaad mein pahron ronaa apni yahi bas aadat hai log bhi kaise divaane hain hamein hansaane aae hain ham pyaason ke dil mein aag lagaane kaa hai shauq 'hasan' yaa phir baadal aaj kisi ki zulfein chhune aae hain"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"main apne aap se ghaafil na yuun huaa hotaa mire bhi paas agar koi aainaa hotaa zaraa tu soch ki itnaa hi kar liyaa hotaa mujhe kitaab samajh kar hi paDh liyaa hotaa tamaam umr faqat ek aarzu hi rahi kiyaa thaa pyaar to phir TuuT kar kiyaa hotaa ye aur baat ki main tujh se duur huun lekin main tere paas bhi hotaa bhalaa to kyaa hotaa papihaa saavanon mein yuun pukaartaa na kabhi agar tu chaandni raaton mein mil gayaa hotaa miri bisaat ke baare mein puchhne vaale kisi faqir kaa chehra hi paDh liyaa hotaa karun to kis se karun main gila jahaalat kaa ye aarzu thi ki main bhi paDhaa likhaa hotaa"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"Thahre paani ko vahi ret puraani de de mere maulaa mire dariyaa ko ravaani de de aaj ke din karein tajdid-e-vafaa dharti se phir vahi subh vahi shaam suhaani de de teri miTTi se miraa bhi to khamir uTThaa hai meri dharti tu mujhe meri kahaani de de vo mohabbat jise ham bhuul chuke barson se us ki khushbu hi bataur ek nishaani de de tapte sahraaon pe ho lutf-o-karam ki baarish khushk chashmon ke kinaaron ko bhi paani de de dida-o-dil jise ab yaad kiyaa karte hain vahi chehra vahi aankhein vo javaani de de jis ki chaahat mein 'hasan' aankhein bichhi jaati hain meri aankhon ko vahi laal-e-yamaani de de"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"surat hai vo aisi ki bhulaai nahin jaati rudaad-e-gham-e-hijr sunaai nahin jaati har subh-e-alam shaam-e-sitam kaa hai tasalsul kyaa dil pe guzarti hai bataai nahin jaati kahti hai dulhan shaam ki baalon ko bikhere yuun niind bhi aankhon se uDaai nahin jaati chaahat pe kabhi bas nahin chaltaa hai kisi kaa lag jaati hai ye aag lagaai nahin jaati aasaan nahin hai nai duniyaa kaa basaanaa lekin kabhi tanhaa ye basaai nahin jaati ashkon se 'hasan' aag kahin dil ki bujhi hai ye aag to dariyaa hai bujhaai nahin jaati"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"havaa ke rukh par charaagh-e-ulfat ki lau baDhaa kar chalaa gayaa hai vo ik diye se na jaane kitne diye jalaa kar chalaa gayaa hai ham us ki baaton ki baarishon mein har ek mausam mein bhigte the vo apni chaahat ke saare manzar hamein dikhaa kar chalaa gayaa hai usi ke baare mein harf likkhe usi pe ham ne ghazal kahi hai jo kajli aankhon se mere dil mein naqab lagaa kar chalaa gayaa hai mataa-e-jaan bhi usi pe vaari usi ke dam se hai saans jaari mire badan mein vo khushbuon ki havaa basaa kar chalaa gayaa hai ye fasl-e-fikr-o-khayaal apni usi ke dam se hari-bhari hai jo kachche koThon ke aanganon se dhuaan uThaa kar chalaa gayaa hai hamaari aankhon mein ratjage ki jhaDi lagi hai usi ghaDi se ki jab se koi ghazaal apni jhalak dikhaa kar chalaa gayaa hai hiran mohabbat ke sabza-zaaron mein jaane kab chaukDi bhareinge vo jaate jaate savaal aisaa 'hasan' uThaa kar chalaa gayaa hai"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"gai ruton ko bhi yaad rakhnaa nai ruton ke bhi baab paDhnaa gulaab-chehron ne jo likhi hai tamaazaton ki kitaab paDhnaa tamaam rangon ki ek rangat tamaam mausam ki ek nighat tamaam chehre hasin likhnaa tamaam aankhein saraab paDhnaa har ek aangan khamosh pahre har ek lab par sukut taari hamaare ghar ghar jo TuTte hain qayaamaton ke azaab paDhnaa khuli fazaaon mein par-kushaai mire lahu kaa khamir Thahri magar mire un kaTe paron mein uDaan ke iztiraab paDhnaa mire khayaalon mein aaj bhi hain vo baankpan ki mahakti raatein kisi ki aankhon se jaam piinaa kisi badan ke gulaab paDhnaa bas ek rasta hai guftugu kaa bas ek surat hai raabte ki khaton mein un se savaal karnaa khaton mein un ke javaab paDhnaa 'hasan' hamaari udaas aankhein kisi ki aankhon se kah rahi hain jo ham ne tum ne kabhi bune the visaal-lamhon ke khvaab paDhnaa"
Hasan RizviHasan Rizvi
Quote
"is darja meri zaat se us ko hasad huaa jo bhi savaal main ne kiyaa mustarad huaa us ne hi di sazaa mujhe sahraa ki dhuup mein mere badan ki chhaanv se jo naa-balad huaa aisi chali havaa ki har ik shaakh jal gai vo peD jo haraa thaa ghamon ki sanad huaa sochein hain khvaab-khvaab to tahrir aab-aab ham kyaa kahein ki kaun yahaan nek-o-bad huaa us ki hi aarzu mein ye chehre udaas hain vo aaina ki jis kaa taqaazaa ashad huaa jis ne sadaaqaton ko lahu se kiyaa raqam us shakhs kaa har ek sukhan mustanad huaa meraa sitaaraa us ke sitaare se yuun milaa meraa aur us kaa naam 'hasan' ham-adad huaa"
Hasan RizviHasan Rizvi